Huzoor Taajush Shariah Hazrat Allama Mufti Akhtar Raza Khan Qadri Azhari Ka Yeh Nihayat Hi Dilkash Kalam Hai.
Is Pyare Kalam Me Dunya Ki Be-Wafai Aur Nabi-E-Kareem Se Lau Lagane Ka Dars Diya Gaya Hai.
Aaiye Is Ruhani Aur Imaan-Afza Kalaam Ka Mutala Karein.
| Naat Information | Details |
| Naat Title | Ghayr Apne Ho Ga-E Jo Hamaare Badal Ga-E |
| Poet / Writer | Huzoor Taajush Shariah Hazrat Allama Mufti Akhtar Raza Khan Qadri Azhari |
| Category | Urdu Kalam |
| Naatkhawan / Reciter | Sayyed Abdul Wasi Qadri |
| Book Name | Safeena E Bakhshish |
Ghayr Apne Ho Ga-E Jo Hamaare Badal Ga-E Lyrics In Roman
Ghayr Apne Ho Ga-E Jo Hamaare Badal Ga-E
Nazre Badal Ga-Eeñ To Nazaare Badal Ga-E
Kis Ko Suna-Iyega Yahaañ Gham Ki Daastaan
Jo Gham Me Saath Dete Woh Saare Badal Ga-E
Dhoon’De Se Paa-Iyega Na Pehli Si Mastiyaañ
Badli Sharaab Kohna Woh Piyaale Badal Ga-E
Is Dawr E Maslihat Me Wafa Ko-Ee Shay Nahiñ
Gaahe Huwe Hamaare To Gaahe Badal Ga-E
Akhtar Laga-Iye Lau Nabi E Kareem Se
Kya Fikr Ahl E Dunya Jo Sitaare Badal Ga-E
Ghayr Apne Ho Ga-E Jo Hamaare Badal Ga-E Lyrics In Hindi
ग़ैर अपने हो गए जो हमारे बदल गए
नज़रें बदल गईं तो नज़ारे बदल गए
किस को सुनाइएगा यहाँ ग़म की दास्ताँ
जो ग़म में साथ देते वो सारे बदल गए
ढूँढे से पाइएगा न पहली सी मस्तियाँ
बदली शराब कोहना वो प्याले बदल गए
इस दौर-ए-मस्लहत में वफ़ा कोई शय नहीं
गाहे हुए हमारे तो गाहे बदल गए
अख़्तर लगाइए लौ नबी-ए-करीम से
क्या फ़िक्र अहल-ए-दुनिया जो सितारे बदल गए
Ghayr Apne Ho Ga-E Jo Hamaare Badal Ga-E Lyrics In Urdu
غیر اپنے ہو گئے جو ہمارے بدل گئے
نظریں بدل گئیں تو نظارے بدل گئے
کس کو سنائیے گا یہاں غم کی داستاں
جو غم میں ساتھ دیتے وہ سارے بدل گئے
ڈھونڈے سے پائیے گا نہ پہلی سی مستیاں
بدلی شراب کہنہ وہ پیالے بدل گئے
اس دورِ مصلحت میں وفا کوئی شے نہیں
گاہے ہوئے ہمارے تو گاہے بدل گئے
اخترؔ لگائیے لو نبیٔ کریم سے
کیا فکرِ اہلِ دنیا جو ستارے بدل گئے