Hai pyari zaat hai aur naam pyara Fakhre Azhar ka Lyrics || Barkate Raza

Hazrat Asad Iqbal Kalkattavi Ka Yeh Nihayat Hi Shandaar Aur Dilkash Manqabat-E-Pak Hai.
Is Pyare Kalam Me Huzoor Tajushshariah Fakhre Azhar Ki Azeem Azmat Aur Shaan Ko Bayan Kiya Gaya Hai.
Aaiye Is Barkat-Bhare Aur Ruhani Kalam-E-Azeem Ka Dil Se Mutala Karein.

Naat Information Details
Naat Title Hai Pyari Zaat Hai Aur Naam Pyara Fakhre Azhar Ka
Poet / Writer Asad Iqbal Kalkattavi
Category Manqabat E Huzoor Tajushshariah
Naatkhawan / Reciter Asad Iqbal
Book Name Unknown

Hai Pyari Zaat Hai Aur Naam Pyara Fakhre Azhar Ka Lyrics In Roman

Hai Pyari Zaat Hai Aur Naam Pyara Fakhre Azhar Ka
Bulandi Per Hamesha Hai Sitara Fakhre Azhar Ka

Are O! Hasido Le Lo Abhi Bhi Aql Ke Nakhun
Zaban E Ghair Se Lagta Hai Nara Fakhre Azhar Ka

Nigahe Ala Hazrat Mein Agar Girne Se Bachna Hai
Abhi Bhi Waqt Hai Le Lo Sahara Fakhre Azhar Ka

Huzoor E Asjad E Millat Ko Duniya Dekh Kar Boli
Hai Pyara Ahle Sunnat Ka Dulara Fakhre Azhar Ka

Abhi Tak Padri Muh Ko Chhupaye Fir Raha Hai Kyun
Bhala Kya Muh Dikhaye Woh Hai Mara Fakhre Azhar Ka

Asad Iqbal Ke Dil Mein Mere Maula Yeh Hasrat Hai
Wo Dekhe Khwab Mein Jalwa Dobara Fakhre Azhar Ka

Hai Pyari Zaat Hai Aur Naam Pyara Fakhre Azhar Ka Lyrics In Hindi

है प्यारी ज़ात है और नाम प्यारा फख़रे अज़हर का
बुलन्दी पर हमेशा है सितारा फ़ख़रे अज़हर का

अरे ओ हासिदो ले लो अभी भी अक़्ल के नाखुन
ज़बान ए ग़ैर से लगता है नारा फ़ख़रे अज़हर का

निगाहे आला हज़रत में अगर गिरने से बचना है
अभी भी वक़्त है ले लो सहारा फ़ख़रे अज़हर का

हुज़ूर ए अस्जद ए मिल्लत को दुनिया देख कर बोली
है प्यारा अहले सुन्नत का दुलारा फ़ख़रे अज़हर का

अभी तक पादरी मुंह को छुपाए फिर रहा है क्यूं
भला क्या मुंह दिखाए वो है मारा फ़ख़रे अज़हर का

असद इक़बाल के दिल में मेरे मौला ये हसरत है
वो देखे ख्वाब में जल्वा दुबारा फ़ख़रे अज़हर का

Hai Pyari Zaat Hai Aur Naam Pyara Fakhre Azhar Ka Lyrics In Urdu

ہے پیاری ذات ہے اور نام پیارا فخرِ ازہر کا
بلندی پر ہمیشہ ہے ستارہ فخرِ ازہر کا

ارے او حاسدو لے لو ابھی بھی عقل کے ناخن
زبانِ غیر سے لگتا ہے نعرہ فخرِ ازہر کا

نگاہِ اعلیٰ حضرت میں اگر گرنے سے بچنا ہے
ابھی بھی وقت ہے لے لو سہارا فخرِ ازہر کا

حضورِ اسجدِ ملت کو دنیا دیکھ کر بولی
ہے پیارا اہل سنت کا دلارا فخرِ ازہر کا

ابھی تک پادری منہ کو چھپائے پھر رہا ہے کیوں
بھلا کیا منہ دکھائے وہ ہے مارا فخرِ ازہر کا

اسدؔ اقبال کے دل میں میرے مولا یہ حسرت ہے
وہ دیکھے خواب میں جلوہ دوبارہ فخرِ ازہر کا

Leave a Comment