Nabi Ka Naam Jab Mere Labon Par Raqs Karta Hai Ek Nihayat Hi Roohani Aur Maqbool Naat-E-Pak Hai. Is Pakeeza Kalam Ke Shayer Janab Muzaffar Warsi Sahab Hain, Jinhone Ishq-E-Mustafa Se Labrez Jazbaat Ko Is Kalam Mein Pesh Kiya Hai. Niche Is Haseen Kalam Ke Mukammal Lyrics Roman, Hindi Aur Urdu Zabaan Mein Mulahiza Farmayein.
| Naat Information | Details |
| Naat Title | Nabi Ka Naam Jab Mere Labon Par Raqs Karta Hai |
| Poet / Writer | Muzaffar Warsi |
| Category | Naat Sharif |
| Naatkhawan / Reciter | Milad Raza Qadri |
| Book Name | Barkate Raza Naat Book |
Nabi Ka Naam Jab Mere Labon Par Raqs Karta Hai Lyrics In Roman
Nabi Ka Naam Jab Mere Labon Par Raqs Karta Hai
Lahu Bhi Meri Shiryaanon Ke Andar Raqs Karta Hai
Meri Be Chain Aankhon Mein Wo Jab Tashreef Laate Hain
Tasawwur Unke Daaman Se Lipat Kar Raqs Karta Hai
Wo Sahraon Mein Bhi Paani Pila Dete Hain Pyason Ko
Ke Unki Ungliyon Mein Bhi Samandar Raqs Karta Hai
Pade Hain Naqshe Paaye Mustafa Ke Haar Gardan Mein
Jabhi To Rooh Lahraati Hai Paikar Raqs Karta Hai
Zameen-O-Aasmaan Bhi Apne Qaabu Mein Nahi Rahte
Tadap Kar Jab Muhammad Ka Qalandar Raqs Karta Hai
Lagi Hai Bheed Uske Gird Ye Kaisi Farishton Ki
Ye Kis Ka Naam Le Le Kar Muzaffar Raqs Karta Hai
Nabi Ka Naam Jab Mere Labon Par Raqs Karta Hai Lyrics In Hindi
नबी का नाम जब मेरे लबों पर रक़्स करता है
लहू भी मेरी शिरयानों के अंदर रक़्स करता है
मेरी बेचैन आंखों में वो जब तशरीफ़ लाते हैं
तसव्वुर उनके दामन से लिपट कर रक़्स करता है
वो सहराओं में भी पानी पिला देते हैं प्यासों को
कि उनकी उंगलियों में भी समंदर रक़्स करता है
पड़े हैं नक़्श-ए-पाए-मुस्तफ़ा के हार गर्दन में
जभी तो रूह लहराती है पैकर रक़्स करता है
ज़मीन-ओ-आसमां भी अपने क़ाबू में नहीं रहते
तड़प कर जब मुहम्मद का क़लंदर रक़्स करता है
लगी है भीड़ उस के गिर्द ये कैसी फ़रिश्तों की
ये किस का नाम ले ले कर मुज़फ़्फ़र रक़्स करता है
Nabi Ka Naam Jab Mere Labon Par Raqs Karta Hai Lyrics In Urdu
نبی کا نام جب میرے لبوں پر رقص کرتا ہے
لہو بھی میری شریانوں کے اندر رقص کرتا ہے
مری بے چین آنکھوں میں وہ جب تشریف لاتے ہیں
تصور ان کے دامن سے لپٹ کر رقص کرتا ہے
وہ صحراؤں میں بھی پانی پلا دیتے ہیں پیاسوں کو
کہ ان کی انگلیوں میں بھی سمندر رقص کرتا ہے
پڑے ہیں نقش پائے مصطفیٰ کے ہار گردن میں
جبھی تو روح لہراتی ہے پیکر رقص کرتا ہے
زمین و آسماں بھی اپنے قابو میں نہیں رہتے
تڑپ کر جب محمد کا قلندر رقص کرتا ہے
لگی ہے بھیڑ اس کے گرد یہ کیسی فرشتوں کی
یہ کس کا نام لے لے کر مظفرؔ رقص کرتا ہے