Madina Jo Dil Mein Nihaañ Hai To Kya Gham Lyrics || Barkate Raza

Yeh Shukur O Sukoon Se Labraiz Nihayat Hi Khoobsurat Aur Ruhani Naat E Paak Khalid Mahmood Khalid Naqshbandi Ki Likhi Hui Hai. Is Mubarak Kalam Mein Madinah Munawwarah Ki Bargah Se Aqeedat Aur Be-Misal Mohabbat Ka Izhaar Kiya Gaya Hai. Aaiye Is Ruhani Kalam Ke Mubarak Ashaar Ka Mutala Karte Hain.

Naat InformationDetails
Naat TitleMadina Jo Dil Mein Nihaan Hai To Kya Gham
Poet / WriterKhalid Mahmood Khalid Naqshbandi
CategoryNaat Shareef
Naatkhawan / ReciterAlhaj Owais Raza Qadri
Book NameBarkate Raza Naat Book

Madina Jo Dil Mein Nihaan Hai To Kya Gham Lyrics In Roman

Madina Jo Dil Mein Nihaan Hai To Kya Gham
Zameen Bhi Agar Aasmaan Hai To Kya Gham

Dahekta Rahe Aaftaab E Qayaamat
Jo Unka Karam Saayeban Hai To Kya Gham

Dawa Bhi Hai Ye Har Maraz Ki Shifa Bhi
Tera Naam Vird E Zabaan Hai To Kya Gham

Jo Maangenge Payenge Paate Rahenge
Salaamat Tira Aastaan Hai To Kya Gham

Ulajhte Rahen Meri Kashti Se Toofan
Habeeb E Khuda Paasbaan Hai To Kya Gham

Tumahari Nazar Mein Hain Jaise Bhi Hain Ham
Zamaana Agar Bad Gumaan Hai To Kya Gham

Nahin Hai Na Ho Koyi Ghamkhwar Apna
Wo Rahmat Laqab Mehrbaan Hai To Kya Gham

Tere Naam Se Sab Mujhe Jaante Hain
Yahi Mera Naam O Nishan Hai To Kya Gham

Sar E Hashr Bhi Daad Payenge Khalid
Jo Naat E Nabi Hirz E Jaan Hai To Kya Gham

Madina Jo Dil Mein Nihaan Hai To Kya Gham Lyrics In Hindi

मदीना जो दिल में निहां है तो क्या ग़म
ज़मीं भी अगर आसमां है तो क्या ग़म।

दहकता रहे आफ़ताब-ए-क़यामत
जो उनका करम सायबां है तो क्या ग़म।

दवा भी है ये हर मरज़ की शफा भी
तेरा नाम विर्द-ए-ज़बां है तो क्या ग़म।

जो मांगेंगे पाएंगे पाते रहेंगे
सलामत तेरा आस्तां है तो क्या ग़म।

उलझते रहें मेरी कश्ती से तूफ़ां
हबीब-ए-ख़ुदा पासबां है तो क्या ग़म।

तुम्हारी नज़र में हैं जैसे भी हैं हम
ज़माना अगर बदगुमां है तो क्या ग़म।

नहीं है न हो कोई ग़मख़्वार अपना
वो रहमत लक़ब मेहरबां है तो क्या ग़म।

तेरे नाम से सब मुझे जानते हैं
यही मेरा नाम-ओ-निशां है तो क्या ग़म।

सर-ए-हश्र भी दाद पाएंगे ख़ालिद
जो नात-ए-नबी हिर्ज़-ए-जां है तो क्या ग़म।

Madina Jo Dil Mein Nihaan Hai To Kya Gham Lyrics In Urdu

مدینہ جو دل میں نہاں ہے تو کیا غم
زمیں بھی اگر آسمـاں ہے تو کیا غم

دہکتا رہے آفتابِ قیامت
جو ان کا کرم سائباں ہے تو کیا غم

دوا بھی ہے یہ ہر مرض کی شفا بھی
ترا نام وردِ زباں ہے تو کیا غم

جو مانگیں گے پائیں گے پاتے رہیں گے
سلامت ترا آستاں ہے تو کیا غم

الجھتے رہیں میری کشتی سے طوفاں
حبیبِ خدا پاسباں ہے تو کیا غم

تمہاری نظر میں ہیں جیسے بھی ہیں ہم
زمانہ اگر بدگماں ہے تو کیا غم

نہیں ہے نہ ہو کوئی غمخوار اپنا
وہ رحمت لقب مہرباں ہے تو کیا غم

ترے نام سے سب مجھے جانتے ہیں
یہی میرا نام و نشان ہے تو کیا غم

سرِ حشر بھی داد پائیں گے خالد
جو نعتِ نبی حرزِ جاں ہے تو کیا غم

Leave a Comment