ya rasoolallah tere dar ki fazaon ko salam

ya rasoolallah tere dar ki fazaon ko salam

gumbad e khazra ki thandi thandi chao ko salaam

Masjeed e nabvi ke subho aur shamo ko salaam.
Ya Nabi tere ghulamo ke ghulamo ko salaam.

Jo madine ki gali kucho mein dete hai sadaa.

un fakiro rahgiro aur gadao ko salaam.

Walehaana jo tawafe roza e aqdas kare.
mast o bekhud karti un hawao ko salaam.

Jo padha karte hai rozo shab tere darbaar mein.

pesh karta hai Zahuri  un salaamo ko salaam

 

 

Leave a Reply

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.

%d bloggers like this: