Soya Hua Naseeb Tha Bedar Ho Gaya Naat Lyrics
Soya Huaa Naseeb Tha Bedaar Ho Gaya
Jab Khwaab Men Huzoor Ka Deedaar Ho Gaya
Wo Aadmi Bahisht Ka Haqdaar Ho Gaya
Jo Bhi Mere Nabi Ka Wafaadaar Ho Gaya
Dekha Hai Jis Ne Aankh Se Rauza Rasool Ka
Wo Aadmi Bahisht Ka Haqdaar Ho Gaya
Us Ki Zaroor Hogi Madine Men Haazri
Jo Mustafa Ke ‘Ishq Men Beemaar Ho Gaya
Islaam Ko Lahu Ki Zaroorat Padi To Phir
Asgar Bhi Teer Khaane Ko Tayyaar Ho Gaya
Bole ‘Umar Ki Mera Iraada Kuchh Aur Tha
Nazren Mili Huzoor Se To Pyaar Ho Gaya
Bole Bilaal Pehle Main Adna Gulaam Tha
Jab Mil Gae Huzoor To Sardaar Ho Gaya
Dozakh Ki Aag Us Ko Jalaaegi Kis Tarah
Mera Rasool Jis Ka Taraf-Daar Ho Gaya
Jab Se Qadam Mujaahid-E-Millat Ke Pad Gae
Us Roz Se Odisha Bhi Gulzaar Ho Gaya
Padhne Laga Hai Jab Se Raza Khaan Ka Kalaam
Uncha Nadeem Faizi Ka Me’yaar Ho Gaya
Soya Hua Naseeb Tha Bedar Ho Gaya Naat Lyrics
सोया हुआ नसीब था बेदार हो गया
जब ख़्वाब में हुज़ूर का दीदार हो गया
वो आदमी बहिश्त का हक़दार हो गया
जो भी मेरे नबी का वफ़ादार हो गया
देखा है जिस ने आँख से रौज़ा रसूल का
वो आदमी बहिश्त का हक़दार हो गया
उस की ज़रूर होगी मदीने में हाज़री
जो मुस्तफ़ा के ‘इश्क़ में बीमार हो गया
इस्लाम को लहू की ज़रुरत पड़ी तो फिर
असग़र भी तीर खाने को तय्यार हो गया
बोले ‘उमर कि मेरा इरादा कुछ और था
नज़रें मिली हुज़ूर से तो प्यार हो गया
बोले बिलाल पहले मैं अदना ग़ुलाम था
जब मिल गए हुज़ूर तो सरदार हो गया
दोज़ख़ की आग उस को जलाएगी किस तरह
मेरा रसूल जिस का तरफ़-दार हो गया
जब से क़दम मुजाहिद-ए-मिल्लत के पड़ गए
उस रोज़ से ओड़ीशा भी गुलज़ार हो गया
पढ़ने लगा है जब से रज़ा ख़ान का कलाम
ऊँचा नदीम फ़ैज़ी का मे’यार हो गया
शायर:
नदीम रज़ा फ़ैज़ी
ना’त-ख़्वाँ:
नदीम रज़ा फ़ैज़ी
Poet:
Nadeem Raza Faizi
Naat-Khwaan:
Nadeem Raza Faizi