WOH SUAY LA LAZAAR PHIRTE HAIN NAAT LYRICS || Barkate Raza

Wo Sue Lalazar Phirte Hain ek behad hi mashhoor aur roohani Naat-e-Paak hai jise Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Khan ne tehreer kiya hai.
Is muqaddas kalam me Tajdar-e-Madina ﷺ ki bargah-e-akeedat, unki rehmat aur unke mazar-e-mubaarak ki fazilat ko nihayat hi fashi o baleegh andaz me pesh kiya gaya hai.
Aaiye is barqat bhari Naat Sharif ke mukammal lyrics ko Roman, Hindi aur Urdu zabaan me nihayat adab ke sath padhte hain.

Naat Information Details
Naat Title Wo Sue Lalazar Phirte Hain
Poet / Writer Aala Hazrat Imam Ahmad Raza Khan Alaihirrahmh
Category Naat-e-Rasool ﷺ
Naatkhawan / Reciter Multiple Naatkhawans

Naat Lyrics in Roman

Wo Sue Lalazar Phirte Hain
Tere Din Aye Bahaar Phirte Hain

Jo Tere Dar Se Yaar Phirte Hain
Dar Ba Dar Yun Hi Khwaar Phirte Hain

Aah Kal Aish To Kiye Hum Ne
Aaj Woh Be Karaar Phirte Hain

Unke Imaan Se Donon Baaghon Par
Khaile Lailo Nahaar Phirte Hain

Har Charaghe Mazaar Par Qudsi
Kaise Parwana Waar Phirte Hain

Us Gali Ka Gada Hoon Main Jisme
Maangte Tajdaar Phirte Hain

Jaan Hain Jaan Kya Nazar Aaye
Kyun Adu Girde Gaar Phirte Hain

Phool Kya Dekhu Meri Aankhon Mein
Dashte Taiba Ke Khaar Phirte Hain

Laakhon Qudsi Hain Kaame Khidmat Par
Laakhon Girde Mazaar Phirte Hain

Wardiyaan Bolte Hain Harkaare
Pehra Dete Sawaar Phirte Hain

Rakhiye Jaise Hain Khanazaad Hain Hum
Mol Ke Aibdaar Phirte Hain

Haaye Gaafil Woh Kya Jagah Hai Jahan
Paanch Jaate Hain Chaar Phirte Hain

Baaye Raste Na Ja Musaafir Sun
Maal Hai Raah-Maar Phirte Hain

Jaag Sunsaan Ban Hai Raat Aayi
Gurg Bahre Shikaar Phirte Hain

Nafs Ye Koi Chaal Hai Zaalim
Jaise Khaase Bijaar Phirte Hain

Koi Kyun Pooche Teri Baat Raza
Tujhse Kutte Hazaar Phirte Hain

Naat Lyrics in Hindi

वो सू-ए-लाला ज़ार फिरते हैं
तेरे दिन ऐ बहार फिरते हैं

जो तेरे दर से यार फिरते हैं
दर-बदर यूं ही ख्वार फिरते हैं

आह! कल ऐश तो किए हमने
आज वो बेकरार फिरते हैं

उनके इमा से दोनों बागों पर
ख़ैल-ए-लैल-ओ-निहार फिरते हैं

हर चराग़-ए-मज़ार पर क़ुदसी
कैसे परवाना-वार फिरते हैं

उस गली का गदा हूं मैं जिसमें
मांगते ताजदार फिरते हैं

जान हैं जान क्या नज़र आए
क्यों अदू-गिर्द-ए-ग़ार फिरते हैं

फूल क्या देखूं मेरी आंखों में
दश्त-ए-तैबा के ख़ार फिरते हैं

लाखों कुदसी हैं काम खिदमत पर
लाखों गिर्द-ए-मज़ार फिरते हैं

वर्दियां बोलते हैं हरकारे
पहरा देते सवार फिरते हैं

रखिए जैसे हैं ख़ानाज़ाद हैं हम
मौल के ऐबदार फिरते हैं

हाय ग़ाफ़िल वो क्या जगह है जहां
पांच जाते हैं चार फिरते हैं

बाएं रस्ते न जा मुसाफ़िर सुन
माल है राह मार फिरते हैं

जाग सुनसान बन है रात आई
गुर्ग बहर-ए-शिकार फिरते हैं

नफ़्स ये कोई चाल है ज़ालिम
जैसे खासे बिजार फिरते हैं

कोई क्यों पूछे तेरी बात रज़ा
तुझसे कुत्ते हज़ार फिरते हैं

Naat Lyrics in Urdu

وہ سُوئے لالہ زار پِھرتے ہیں
تیرے دِن اے بہار پِھرتے ہیں

جو تِرے در سے یار پِھرتے ہیں
در بدر یُوں ہی خوار پِھرتے ہیں

آہ کل عیش تو کیے ہم نے
آج وہ بے قرار پِھرتے ہیں

ان کے اِیما سے دونوں باگوں پر
خیلِ لیل و نہار پِھرتے ہیں

ہر چراغِ مزار پر قُدسی
کیسے پروانہ وار پِھرتے ہیں

اُس گلی کا گدا ہوں میں جس میں
مانگتے تاجدار پِھرتے ہیں

جان ہیں جان کیا نظر آئے
کیوں عَدو گِردِ غار پِھرتے ہیں

پُھول کیا دیکھوں میری آنکھوں میں
دشتِ طیبہ کے خار پِھرتے ہیں

لاکھوں قُدسی ہیں کام خدمت پر
لاکھوں گِردِ مزار پِھرتے ہیں

وردیاں بولتے ہیں ہرکارے
پہرہ دیتے سوار پِھرتے ہیں

رکھیے جیسے ہیں خانہ زاد ہیں ہم
مَوْل کے عیب دار پِھرتے ہیں

ہائے غافِل وہ کیا جگہ ہے جہاں
پانچ جاتے ہیں چار پِھرتے ہیں

بائیں رستے نہ جا مسافِر سُن
مال ہے راہ مار پِھرتے ہیں

جاگ سنسان بن ہے رات آئی
گُرگ بہرِ شِکار پِھرتے ہیں

نفس یہ کوئی چال ہے ظالم
جیسے خاصے بِجار پِھرتے ہیں

کوئی کیوں پُوچھے تیری بات رضاؔ
تجھ سے کتّے ہزار پِھرتے ہیں

Leave a Comment