NAMAAZ KE WAQT | Din wa raat me kul kitni namaaze farz hai?

NAMAAZ KE WAQT | Din wa raat me kul kitni namaaze farz hai?

 

NAMAAZ KE WAQTON KA BAYAN:

SAWAAL: Din wa raat me kul kitni namaaze farz hai ?

JAWAAB: Din wa raat me kul paanch namaaze farz hai, Fajr, Zohar, Asr, Magrib aur Isha.

SAWAAL: Fajr ka waqt kab se kab tak hai ?

JAWAAB: Ujaala hone se fajr ka waqt shuru hota hai aur suraj nikalne se pehle tak rehta hai lekin khoob ujaala hone par padhna mustahab hai.

SAWAAL: Zohar ka waqt kab se kab tak hai ?

JAWAAB: Zohar ka waqt suraj dhalne ke baad shuru hota hai aur theek dopahar ke waqt kisi cheez ka jitna saaya hota hai uske alawa ussi cheez ka dugna saaya hojaaye toh zohar ka waqt qatm hojaata hai. Magar choote dino me awwale waqt aur bade dino me aaqiri waqt padhna mustahab hai.

SAWAAL: Asr ka waqt kab se kab tak hai ?

JAWAAB: Zohar ka waqt qatm ho jaane se Asr ka waqt shuru ho jaata hai aur suraj doobne se pehle tak rehta hai, magar asr me taaqir hamesha mustahab hai lekin na itni taaqir ki suraj ke tikiya me zaardi aajaaye.

SAWAAL: Magrib ka waqt kab se kab tak hai ?

JAWAAB: Magrib ka waqt suraj doobne ke baad se shuru ho jaata hai, aur uttar dakshin pehli huwi safedi ke gaayab hone se pehle tak rehta hai. Magar awwal waqt padhna mustahab aur taaqir makruh.

SAWAAL: Isha ka waqt kab se kab tak hai ?

JAWAAB: Isha ka waqt dakshin pehli huwi safedi ke gaayab hone se shuru hota hai aur subah ujaala hone se pehle tak rehta hai lekin tihaayi raat tak taaqir mustahab aur aadhi raat tak mubah aur aadhi raat ke baad makruh hai.

MAKRUH WAQTON KA BAYAN:

SAWAAL: Kya raat aur din me kuch waqt aise bhi hai jin me namaaz padhna jaayiz nahi ?

JAWAAB: Ji haan suraj nikalne ke waqt, suraj doobne ke waqt aur dopahar ke waqt, kisi qism ki koyi namaaz padhna jaayiz nahi. Haan agar uss din asr ki namaaz nahi padhi hai toh suraj doobne ke waqt padhle magar itni deir karna saqt gunah hai.

SAWAAL: Suraj nikalne ke waqt kitni deir namaaz padhna jaayiz nahi ?

JAWAAB: Jab suraj ka kanara zaahir ho uss waqt se lekar taqriban bees minute tak namaaz padhna jaayiz nahi.

SAWAAL: Suraj doobne ke waqt kab se kab tak namaaz padhna jaayiz nahi hai ?

JAWAAB: Jab suraj par nazar teharne lage uss waqt se lekar doobne tak namaaz padhna jaayiz nahi hai aur ye waqt bhi taqriban bees minute hai.

SAWAAL: Dopahar ke waqt kab se kab tak namaaz padhna jaayiz nahi ?

JAWAAB: Theek dopahar ke waqt taqriban chalees, pachaas minute tak namaaz padhna jaayiz nahi.

SAWAAL: Makruh waqt me namaaze janaaza padhna kaisa hai ?

JAWAAB: Agar makruh waqto me janaaza laaya gaya toh ussi waqt padhe koyi karahat nahi. Karahat uss surath me hai ki pehle se janaaza tayyar moujood hai aur taaqir ki yaha tak ki waqte karahat aagaya.(Bahare Shariyat, Aalamgeeri)

SAWAAL: Inn makruh waqto me Qur’aan shareef padhna kaisa hai ?

JAWAAB: Inn Makruh waqto me Quraan shareef na padhe toh behtar hai aur padhe toh koi harz nahi.(Anwarul Hadees)

Leave a Reply

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.

%d