Main Qadri Deewana Main Qadri Mastana Lyrics

Main Qadri Deewana Main Qadri Mastana Lyrics

 

 

Main Qaadri Hun Shukr Hai Rabb-E-Qadeer Ka
Daaman Hai Mere Haath Men Peeraan-E-Peer Ka

Ya Peer-E-Peeran ! Al-Madad
Ya Meer-E-Meeran ! Al-Madad
Ya Shaah-E-Jeelaan ! Al-Madad
Ya Gaus-Ul-Aa’zam ! Al-Madad

Deewaana Deewaana Deewaana
Deewaana Deewaana Deewaana

Main Qaadri Deewaana Main Qaadri Mastaana
Ya Gaus ! Faqeeron Ki Tum Laaj Nibha Jaana

Main Qaadri Deewaana Main Qaadri Mastaana
Main Qaadri Deewaana Main Qaadri Mastaana

Bagdaad Ki Galiyaan Hain Aur ‘Urs Ka Mela Hai
Langar Jo Yahan Dekha Ham Ne Kahin Dekha Na

Main Qaadri Deewaana Main Qaadri Mastaana
Main Qaadri Deewaana Main Qaadri Mastaana

Bagdaadi Faqeeron Ka Ye Haal Bhi Dekha Hai
Maahaul Faqeeraana Andaaz Hai Shaahaana

Main Qaadri Deewaana Main Qaadri Mastaana
Main Qaadri Deewaana Main Qaadri Mastaana

Jeelaan Ke Waali To Sakhiyon Ke Shahanshah Hain
Bhar Denge Tera Daaman Bagdaad Chale Jaana

Main Qaadri Deewaana Main Qaadri Mastaana
Main Qaadri Deewaana Main Qaadri Mastaana

Waliyon Ke Wali Aae Mere Gaus-E-Jali Aae
Meeran Ki Sawaari Hai Aankhon Ko Bichha Jaana

Main Qaadri Deewaana Main Qaadri Mastaana
Main Qaadri Deewaana Main Qaadri Mastaana

Mere Gaus Ke Lehje Men Raushan Hai Sharee’at Bhi
Har Baat Tareeqat Hai Kirdaar Juda-Gaana

Main Qaadri Deewaana Main Qaadri Mastaana
Main Qaadri Deewaana Main Qaadri Mastaana

Main Gyaarahwin Ki Mehfil Ghar Apne Sajaata Hun
Ye Tohfa Ujaagar Ka Manzoor Ho Jaanaana !

Main Qaadri Deewaana Main Qaadri Mastaana
Main Qaadri Deewaana Main Qaadri Mastaana

Poet:
Allama Nisar Ali Ujagar

Naat-Khwaan:
Syed Hassan Ullah Hussaini

 

 

 

 

मैं क़ादरी हूँ, शुक्र है रब्ब-ए-क़दीर का
दामन है मेरे हाथ में पीरान-ए-पीर का

या पीर-ए-पीराँ ! अल-मदद
या मीर-ए-मीराँ ! अल-मदद
या शाह-ए-जीलाँ ! अल-मदद
या ग़ौस-उल-आ’ज़म ! अल-मदद

दीवाना दीवाना दीवाना
दीवाना दीवाना दीवाना

मैं क़ादरी दीवाना, मैं क़ादरी मस्ताना
या ग़ौस ! फ़क़ीरों की तुम लाज निभा जाना

मैं क़ादरी दीवाना, मैं क़ादरी मस्ताना
मैं क़ादरी दीवाना, मैं क़ादरी मस्ताना

बग़दाद की गलियाँ हैं और ‘उर्स का मेला है
लंगर जो यहाँ देखा, हम ने कहीं देखा ना

मैं क़ादरी दीवाना, मैं क़ादरी मस्ताना
मैं क़ादरी दीवाना, मैं क़ादरी मस्ताना

बग़दादी फ़क़ीरों का ये हाल भी देखा है
माहौल फ़क़ीराना, अंदाज़ है शाहाना

मैं क़ादरी दीवाना, मैं क़ादरी मस्ताना
मैं क़ादरी दीवाना, मैं क़ादरी मस्ताना

जीलान के वाली तो सख़ियों के शहंशाह हैं
भर देंगे तेरा दामन, बग़दाद चले आना

मैं क़ादरी दीवाना, मैं क़ादरी मस्ताना
मैं क़ादरी दीवाना, मैं क़ादरी मस्ताना

वलियों के वली आए, मेरे ग़ौस-ए-जली आए
मीराँ की सवारी है, आँखों को बिछा जाना

मैं क़ादरी दीवाना, मैं क़ादरी मस्ताना
मैं क़ादरी दीवाना, मैं क़ादरी मस्ताना

मेरे ग़ौस के लहजे में रौशन है शरी’अत भी
हर बात तरीक़त है, किरदार जुदा-गाना

मैं क़ादरी दीवाना, मैं क़ादरी मस्ताना
मैं क़ादरी दीवाना, मैं क़ादरी मस्ताना

मैं ग्यारहवीं की महफ़िल घर अपने सजाता हूँ
ये तोहफ़ा उजागर का मंज़ूर हो, जानाना !

मैं क़ादरी दीवाना, मैं क़ादरी मस्ताना
मैं क़ादरी दीवाना, मैं क़ादरी मस्ताना

शायर:
अल्लामा निसार अली उजागर

ना’त-ख़्वाँ:
हाफ़िज़ ताहिर क़ादरी
सय्यिद हस्सानुल्लाह हुस्सैनी

 

Leave a Reply

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.

%d bloggers like this: