Is Qadar Kaun Muhabbat Ka Sila Deta Hai || Barkate Raza


Is Qadar Kaun Muhabbat Ka Sila Deta Hai Ahmad Nadeem Qasmi Sahab Ka Likha Hua Ek Nihayat Hi Roohani Aur Behad Maqbool Naat-E-Paak Hai. Is Khubsurat Ghazal-E-Naat Ko Shahenshah-E-Qawwali Ustad Nusrat Fateh Ali Khan Ne Apni Be-Misal Aawaz Me Padh Kar Hamesha Ke Liye Amar Kar Diya.

Naat InformationDetails
Naat TitleIs Qadar Kaun Muhabbat Ka Sila Deta Hai
Poet / WriterAhmad Nadeem Qasmi
CategoryNaat Sharif
Naatkhawan / ReciterNusrat Fateh Ali Khan
Book NameBarkate Raza Naat Book

Is Qadar Kaun Muhabbat Ka Sila Deta Hai Lyrics In Roman

Is Qadar Kaun Muhabbat Ka Sila Deta Hai
Uska Banda Hoon Jo Bande Ko Khuda Deta Hai

Uske Irshad Se Mujh Par Mere Asraar Khule
Ke Woh Har Lafz Mein Aaena Dikha Deta Hai

Wohi Sar Saaz Karega Mere Veeranon Ko
Aandhiyon Ko Bhi Jo Qirdar E Saba Deta Hai

Kadam Uthte Hain Mere Jaanib E Batha Jab Bhi
Ik Farishta Mujhe Shahpar Ki Hawa Deta Hai

Qasar O Aiwaan Se Guzar Jaata Hai Chup Chaap ‘Nadeem’
Dar Muhammad Ka Jab Aaye To Sada Deta Hai

Is Qadar Kaun Muhabbat Ka Sila Deta Hai Lyrics In Hindi

इस क़दर कौन मुहब्बत का सिला देता है
उसका बंदा हूँ जो बंदे को ख़ुदा देता है

उसके इरशाद से मुझ पर मेरे असरार खुले
के वो हर लफ़्ज़ में आईना दिखा देता है

वही सर सब्ज़ करेगा मेरे वीरानों को
आँधियों को भी जो किरदार-ए-सबा देता है

क़दम उठते हैं मेरे जानिब-ए-बत्हा जब भी
इक फ़रिश्ता मुझे शहपर की हवा देता है

क़सर-ओ-ऐवान से गुज़र जाता है चुप चाप ‘नदीम’
दर मुहम्मद का जब आए तो सदा देता है

Is Qadar Kaun Muhabbat Ka Sila Deta Hai Lyrics In Urdu

اس قدر کون محبت کا صلہ دیتا ہے
اس کا بندہ ہوں جو بندے کو خدا دیتا ہے

اس کے ارشاد سے مجھ پہ مرے اسرار کھلے
کہ وہ ہر لفظ میں آئینہ دکھا دیتا ہے

وہی سر سبز کرے گا مرے ویرانوں کو
آندھیوں کو بھی جو کردارِ صبا دیتا ہے

قدم اٹھتے ہیں مرے جانبِ بطحا جب بھی
اک فرشتہ مجھے شہپر کی ہوا دیتا ہے

قصر و ایوان سے گزر جاتا ہے چپ چاپ ندیمؔ
درِ محمدﷺ کا جب آئے تو صدا دیتا ہے

Leave a Comment