Hazrat Shaikh Siraaj-ud-deen Abdul Lateef Faarooqi Suharwardi Biography
Hazrat Shaikh Siraaj-ud-deen Abdul Lateef Faarooqi Suharwardi rahmatullāhi alaihi :
—————————
Aap ki wilaadat Patan (Gujarat) me hui.
Aap ke waalid ka naam Hazrat Shaah Jamaal hai.
Aap Hazrate Umar Faarooq radiy-Allāhu ta’ala anhu ki nasl se hain.
Aur Hazrat Makhdoom Husaam-ud-deen Chishti Manikpuri rahmatullāhi alaihi ke bhaanje Hazrat Shaikh Sadr-ud-deen Umar ki nasl se hain.
****************
Aap ek jayyaad Aalim o Faazil aur be-miṡaal Aarif e kaamil Buzurg the.
Hazrat Qutb e Aalam rahmatullāhi alaihi Patan se Ahmedabad tashreef e gaye is ke baad Hazrat ke farmaan par Aap Patan me makhlooq ki hidayat wa raahnumaai ka kaam bakhubi anjaam dete rahe aur ta’aleem wa faiz ata faraate rahe.
Hazrat Qutb e Aalam Aap se bahot mohabbat farmaate the. Jab kabhi Aap Patan se apne murshid Hazrat Qutb e Aalam ki mulaaqaat ke liye Ahmedabad tashreef laate to Aap ki tashreef aawri ki khabar dene waala agar musalmaan hota to Hazrat use eimaan ki salaamati ki khush khabri sunaate aur agar khabar dene waala koi gair muslim hota to Hazrat use sone ka ek sikka ataa farmaate.
Hazrat ne wisaal se pehle Aap ko apni mubarak topi ata farmai.
****************
20 Sha’abaan 877 Hijri (1473 A.D.) ke roz Aap ne apne mureed aur khaadime khaas Abdul Malik Ansaari se farmaaya ke “Jaao, Ahmad Jaha-shaah ko bula laao.” Jab Abdul Malik Ansaari Hazrat Jaha-shaah ki khidmat me haazir hue to us waqt woh namaaze Ishraaq ki padh rahe the. Jab namaaz se faarigh hue to Khaadim ne un ko Hazrat ka paighaam diya.
Hazrat Jaha-shaah foran apne ghar se rawaana ho kar Hazrat ki baargaah me haazir hue aur Salaam arz kar ke baith gaye. Aap un ka haath pakad kar Hujre me le gaye aur farmaaya “Miyan Sayyed! Aap se ek kaam hai. Agar Aap qubool kar len to behtar hoga.” Hazrat Jaha-shaah ne arz ki “Huzoor! Main Aap ke har hukm ko bajaa laane ke liye haazir hu.” Aap ne farmaaya “Mere intiqaal ke baad Aap, mere Farzand Sadr-ud-deen, aur Hazrat Jamaal-ud-deen Bhura, teeno mil kar mujhe Ghusl dena. Us jagah chautha koi aur shakhs maujood na ho. Namaaze janaaza padhne ke baad Aap un ke saath mujhe qabr me rakhna, lekin yaad rahe ke meri qabr me mera likha hua risaala ‘Muaddabe Burhaani’ zaroor rakhna. Maine apne Saahabzaade Sadr-ud-deen ko Qutbiyat ki ne’amat de di hai. Aap Sadr-ud-deen ko apni farzandi me qubool farmaana aur apna Khirqa e Khilaafat unhe dena aur Khirqa e Wisaal o Kamaal ataa karna.”
****************
4 Ramazaan 877 Hijri (1473 A.D.) ko maghrib se pehle Aap ne apne saahabzaade Sadr-ud-deen ko Hazrat Jaha-shaah ko bulaane ke liye bheja. Jab Hazrat Jaha-shaah aa gae to Aap ne un ke saath namaaz adaa ki. Witr ki namaaz ke aakhri Sajde me buland aawaaz se padha “Subbuhun Quddoosun Rabbuna wa Rabbul Malaaikati war Rooh.” Phir 3 martaba farmaaya “Ilāhi ahabbani fee hubbi aali Muhammadin wa amittan fee hubbi aai Muhammadin wahshurni fee zumrati khuddaamaane aali Muhammadin.”
Aur Phir intiqaal farmaaya.
Hazrat Sadr-ud-deen aur Hazrat Jamaal-ud-deen Bhura ne Aap ko musalle se utha kar takhte par sulaaya aur Aap ki wasiyat ke mutaabiq Ghusl diya aur Aap ko Kafan pehnaaya. Jab Aap ke chehra mubarak ko dekha to aisa mehsoos hua ke jaise hubahu Hazrat Qutb e Aalam rahmatullāhi alaihi hi hain.
Hazrat Makhdoom Jaha-shaah ne Namaaze janaza padhaai. Hazrat Jaha-shaah Qabr me utre aur Aap ke farzand Sadr-ud-deen aur Hazrat Jamaal-ud-deen Bhura upar rahe. Aap ko Qabr me letaaya lekin Aap ki wasiyat ke mutaabiq Aap ka likha hua risaala ‘Muaddabe Burhaani’ qabr ke andar rakhna bhul gaye. Aap ne qabr hi se ba aawaze buland farmaaya “Miyan Sayyed! Risaala ‘Muaddabe Burhaani’ nahi rakha?”
Jaldi se risaala laaya gaya aur Hazrat Jaha-shaah ne ‘Yaa Hayyu Yaa Qayyoom’ ka wird shuru kiya aur Hazrat Sadr-ud-deen ne ‘Ya Waahidu yaa Baaqi’ ka wird shuru kiya. Jab risaala qabr shareef me rakha gaya to puri qabr noor se bhar gai. Jab Aap ke chehra e paak par se kafan hata kar dekha gaya to Aap ke mubarak honth hil rahe the. Aur jab chehra e mubarak par kafan daal diya gaya to ghaib se aawaz aai ke “Mehboobulllāh ko ALLĀH ke hawaale kiya.”
****************
Aap Hazrat Qutb e Aalam Shaikh Sayyed Burhaan-ud-deen Abdullāh Bukhari rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.
Aap ke khalifa Hazrat Makhdoom Jaha-shaah rahmatullāhi alaihi hain.
****************
Aap ka wisaal 4 Ramazaan 877 Hijri (February 1473 A.D.) ko hua.
Aap ka mazaar Patan (Gujarat) me Khan Sarovar Darwaaza ke paas hai.
****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Shaikh Siraaj-ud-deen Abdul Lateef Faarooqi Suharwardi rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.