Hazrat Sayyed Muhammad Saeed Biography

Hazrat Sayyed Muhammad Saeed Biography

 

 

Hazrat Sayyed Muhammad Saeed rahmatullāhi alaihi :
—————-

 

 

 

Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Meeran Ji Shaah Bheekh, Qutb-e-zamaan.

****************
Aap ki wilaadat 1 Rajab 1046 Hijri (5 December 1636 A.D.) ko hui.

****************
Aap ke waalid ka naam Sayyed Yousuf aur waalida ka naam Bibi Malako hai.

Aap Husaini saadaat hain.
Aap ki waalida bhi Hazrat Zaid bin Imaam Zain-ul-Aabideen rahmatullāhi alaihi ki nasl se hain.

****************
Aap akṡar waqt ibaadat o riyazat aur mujaahida me masroof rehte.
Jo nazraana aata us me se khaadimo ke kharch ke liye nikaal kar baaqi apne peer o murshid ke khidmat me pesh karte.
Aap ki khaanqaah me aam langar jaari rehta tha.

****************
Karaamat :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) Ek martaba Aap chilla kashi kar rahe the. Aap ke peer ke hujre ki chhat kharaab ho gai. Sab mureedo ne chhat ki marammat ki lekin chhat theek nahi hui. Peer ne muskurakar farmaaya “Meeran Ji se chhat durust hogi.” Aap ko bulaaya gaya. Aap chilla se baahar aaye aur chhat durust karne lage. Aap ne ghaas ukhaadi, phir mitti aur paani daalkar chhat ko kutna shuru kiya. Aap jitni baar kut’te the har baar har zarb par ek maqaam zaahir hota tha.

(2) Ek martaba aap mauza Nundhan me tashreef le gaye. Yaha aap ka ek mureed tha. Us ka 10 saal ke ladke ka inteqaal ho gaya. Mureed ne apne bete ki laash ko ek kamre me rakh diya. Aap us mureed ke ghar tashreef laaye to jab aap ke saamne khaana laaya gaya to aap ne farmaaya “Tumhare ladke ko bulaao, main us ke saath khaana khaaunga.” Mureed ne kaha “Huzoor! Ladka kahi khel raha hoga. Kya pata kab aaye. Us ka intazaar bekaar hai.” Aap ne farmaaya “Jab tak woh ladka nahi aata main khaana nahi khaaunga.” Mureed ne majboor hokar arz kiya “Huzoor! Ladka to aap ke aane se do sa’at pehle mar gaya hai. Us ki laash kamre me rakhi hai.” Aap ne farmaaya “Kamre me jaakr dekho, ladka mara nahi hai, woh so raha hai. Use jagakar laao.” Mureed ne kamre me jaakr dekha to ladke ki saanse chal rahi thi. Use hilaaya to woh uth gaya aur apne baap ke saath baahr aakar Hazrat ka qadam bos hua.

****************
Aap Hazrat Sayyed Shaah Abul Ma’ali Chishti Ambethwi rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.
Aur Chishti Saabri silsila ke shaikh hain.

Aap ke khulfa :
(1) Hazrat Shaah Muhammad Baaqir rahmatullāhi alaihi
(2) Hazrat Shaah Nizaam-ud-deen rahmatullāhi alaihi
(3) Hazrat Sayyed Muhammad Saalim Tirmizi Ropdi rahmatullāhi alaihi
(4) Hazrat Sayyed Faazil rahmatullāhi alaihi
(5) Hazrat Sayyed Abdul Mo’min rahmatullāhi alaihi
(6) Hazrat Shaikh Ne’amtullāh rahmatullāhi alaihi
(7) Hazrat Miyan Shaah Aurang rahmatullāhi alaihi
(8) Hazrat Khwaja Muzaffar rahmatullāhi alaihi
(9) Hazrat Miyan Afzal rahmatullāhi alaihi
(10) Hazrat Shaah Lutfullāh Jalandhari rahmatullāhi alaihi.

****************
Aap ka wisaal 5 Ramazaan 1131 Hijri (22 July 1719 A.D.) ko hua.

Aap ka mazaar Gohram (Punjab) me hai.

****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Meeran Ji Shaah Bheekh Sayyed Muhammad Saeed rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle bait ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

Leave a Reply

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.

%d bloggers like this: