Yeh Ek Nihayat Hi Khoobsurat Aur Ruhani Naat-E-Pak Hai Jis Mein Huzoor S.A.W Ki Shaan, Khulafa-E-Rashideen Aur Ahle Bait Ki Azeem Azmat Ko Bayan Kiya Gaya Hai. Is Kalam Ke Har Misre Se Aqeedat Aur Muhabbat Ki Khushboo Aati Hai. Chaliye Is Mukammal Kalam Ke Lyrics Roman, Hindi Aur Urdu Script Mein Parhte Hain.
| Naat Information | Details |
| Naat Title | Unki Choukhat Ho To Kasa Bhi Pada Sajta Hai |
| Poet / Writer | Sarwar Hussain Naqshbandi |
| Category | Naat-e-Mustafa / Madh-e-Sahaba-o-Ahle Bait |
| Naatkhawan / Reciter | Sarwar Hussain Naqshbandi |
| Book Name | Barkate Raza Naat Book |
Unki Choukhat Ho To Kasa Bhi Pada Sajta Hai Lyrics In Roman
Unki Choukhat Ho To Kasa Bhi Pada Sajta Hai
Dar Bada Ho To Sawaali Bhi Khada Sajta Hai.
Shahinshahon Ke Muqaddar Me Kahan Zebayi
Jis Qadar Unki Ghulami Ka Kada Sajta Hai.
Ye Ghulami Kahin Kamtar Nahin Hone Deti
Unka Naukar Ho To Shahon Me Khada Sajta Hai.
Sarwar-E-Deen Ke Musalle Pe Khuda Janta Hai
Murtaza Peechhe Hon Siddiq Khada Sajta Hai.
Aise Aaqa Hoñ To Lazim Hai Ghulami Pe Ghuroor
Aisi Nisbat Ho To Phir Bol Bada Sajta Hai.
Kaan Me Hurr Ke Muqaddar Ne Ye Sargoshi Ki
Tu Nageena Hai Angoonthi Me Jada Sajta Hai.
Mola Shabbar Se Khuda Jane Sakhi Mehdi Tak
Gulshan-E-Zahra Ka Har Phool Bada Sajta Hai.
Dekh Kar Bole Ye Siddiq-O-Umar Taiba Meiñ
Dosh-E-Sarkar Pe Shabbir Pada Sajta Hai.
Mujhse Kehte Hain Yehi Ahle Mohabbat Sarwar
Naat Ka Naghma Tere Lab Pe Bada Sajta Hai.
Unki Choukhat Ho To Kasa Bhi Pada Sajta Hai Lyrics In Hindi
उनकी चौखट हो तो कासा भी पड़ा सजता है
दर बड़ा हो तो सवाली भी खड़ा सजता है।
शहंशाहों के मुक़द्दर में कहाँ ज़ेबाई
जिस क़दर उनकी ग़ुलामी का कड़ा सजता है।
ये ग़ुलामी कहीं कमतर नहीं होने देती
उनका नौकर हो तो शाहों में खड़ा सजता है।
सरवर-ए-दीन के मुसल्ले पे ख़ुदा जानता है
मुर्तज़ा पीछे हों सिद्दीक़ खड़ा सजता है।
ऐसे आक़ा हों तो लाज़िम है ग़ुलामी पे ग़ुरूर
ऐसी निस्बत हो तो फिर बोल बड़ा सजता है।
कान में हुर्र के मुक़द्दर ने ये सरगोशी की
तू नगीना है अंगूठी में जड़ा सजता है।
मौला शब्बर से ख़ुदा जाने सख़ी मेहदी तक
गुलशन-ए-ज़हरा का हर फूल बड़ा सजता है।
देख कर बोले ये सिद्दीक़-ओ-उमर तैबा में
दोश-ए-सरकार पे शबीर पड़ा सजता है।
मुझसे कहते हैं यही अहल-ए-मोहब्बत सरवर
ना’त का नग़्मा तेरे लब पे बड़ा सजता है।
Unki Choukhat Ho To Kasa Bhi Pada Sajta Hai Lyrics In Urdu
ان کی چوکھٹ ہو تو کاسہ بھی پڑا سجتا ہے
در بڑا ہو تو سوالی بھی کھڑا سجتا ہے ۔
شہنشاہوں کے مقدر میں کہاں زیبائی
جس قدر ان کی غلامی کا کڑا سجتا ہے ۔
یہ غلامی کہیں کمتر نہیں ہونے دیتی
ان کا نوکر ہو تو شاہوں میں کھڑا سجتا ہے ۔
سرورِ دیں کے مصلے پہ خدا جانتا ہے
مرتضیٰ پیچھے ہوں صدیق کھڑا سجتا ہے ۔
ایسے آقا ہوں تو لازم ہے غلامی پہ غرور
ایسی نسبت ہو تو پھر بول بڑا سجتا ہے ۔
کان میں حر کے مقدر نے یہ سرگوشی کی
تو نگینہ ہے انگوٹھی میں جڑا سجتا ہے ۔
مولا شبر سے خدا جانے سخی مہدی تک
گلشنِ زہرا کا ہر پھول بڑا سجتا ہے ۔
دیکھ کر بولے یہ صدیق و عمر طیبہ میں
دوشِ سرکار پہ شبیر پڑا سجتا ہے ۔
مجھ سے کہتے ہیں یہی اہل_ِ محبت سرورؔ!
نعت کا نغمہ تیرے لب پہ بڑا سجتا ہے ۔