Ab Hosh Kahan Baki Lyrics

Ab Hosh Kahan Baki Lyrics

 
Ab hosh kahan Baki mai tha kabhi farzana
Tha Dil mein kabhi Kaba ab hai ye Sanam khana
Hai Nargisi aankhon mein Wo range Tilismana
Bekhud kiye dete Hain andaz hijabana
Aa dil mein tujhe rakh lun hai jalwae JanaNa.
 
Bimare wafa per Ho ek Nazre muhibbana
Jo hai abhi gam khana Ban jaaye shifakhana
Ho mujhpe Dame aakhir, andaaze masihana
Itna to Karam karna ae nargise mastana
Jab Jaan labon per Ho Tum samne a Jana.
 
Zakhmon ko Hawa dekar ye dard badhaya hai
Aankhon Se Mohabbat Ka Kya Jaam pilaya hai
Tumne Bhi Mohabbat Ka ehsas dilaya hai
Duniya mein mujhe tumne jab apna banaya hai
Maheshar mein bhi keh dena ye hai Mera deewana.
 
Hon Naqshe Qadam inke mein sajde kiye Jaaon
Ho naam hasin lab pe Wo naam liye Jaaon
Main apni Mohabbat Ka izhaar Kiya Jaaon
Kya baat Ho meshar mein, main shikwe Kiye Jaaon
Tum Hans ke kahe jaao deewana hai deewana.
 
Nazron se jo badti hai kya tumne kabhi pi hai
Mujhko Jo pilaaoge batlao kahan ki hai
Sun lo ae Jahan walon aashiq ne sada Di hai
Peene ko to pi lunga per shart Zara si hai
Ajmer ka saqi ho Baghdad ka maikhana.
 
Kyon rehke base parda awaaz sunai thi
Khwabeeda si aankhon ki kyon nind udai thi
Main kaise kahoon Jana Jo aag lagai thi
Kyon aankh milai thi kyon aag lagai thi
Ab rukh ko chhupa baithe karke mujhe deewana.
 
Jo dahar mein jalwe Hain, jalwe Hain usi dar ke
Kanse Mein Mere Danish tukde Hain usi dar ke
Jo unse Hain wabasta pyase hai usi dar ke
Bedam Teri Qismat mein sajde Hain usi dar ke
Sajda Na samajh najdi sar deta Hoon nazrana.
 

Leave a Reply

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.

%d bloggers like this: