GHAIR MUMKIN HAI SANA-E-MUSTAFA Naat Lyrics

GHAIR MUMKIN HAI SANA-E-MUSTAFA Naat Lyrics

 

Ghair Mumkin Hai Sana-e-Mustafa
Khud Hee Waasif Hai Khuda-e-Mustafa

It Is Impossible In Reality, To Truly Praise Mustafa
His Praises Are Being Declared By The Creator of Mustafa

 

Dil Meiñ De Ya Rab’b Wilaa-e-Mustafa
Awr Ho Seene Meiñ Jaa-e-Mustafa

In My Heart O Allah! Grant Me The Special Love of Mustafa
And May My Heart Become, The Sacred Abode of Mustafa

 

Tere Pyaare Ka Meiñ Diwaana Banuñ
Ye Dua Hai Ay Khuda-e-Mustafa

May I Become Totally Absorbed In The Love of Your Beloved, O Allah
This Is My Supplication, O The Creator of Mustafa

Mustafa Haiñ Saari Khalqat Ke Liye
Saari Khalqat Hai Bara-e-Mustafa

For The Entire Creation, Is Mustafa
The Entire Creation Is, For The Sake of Mustafa

Dhoondte Haiñ Sab Raza Allah Ki
Chaahata Hai Haq Raza-e-Mustafa

All Are Seeking The Pleasure of Almighty Allah
Almighty Allah Wills The Pleasure of Mustafa

 

Kya Naseem e Khuld Khush Aaye Usay
Jis Ke Sar Meiñ Ho Hawa-e-Mustafa

Why Will He Be Excited By The Breeze of Jannah
In Whose Head Is Present, The Love of Mustafa

Rizq Kya Har Cheez Ke Qasim Haiñ Wo
Dayn-e-Rab’b Ki Hai ‘Ata-e-Mustafa

Not Just Sustenance, But He Distributes Everything From Allah
Whatever Is Granted By Allah, Is What Is Given By Mustafa

Reh Gaye Sidra Pe Jibreel-e-Ameeñ
‘Arsh Se Bhi Paar Jaa-e-Mustafa

Jibreel Ameen Was Left Behind At The Station of Sidra
When Even Beyond The Arsh, Traversed Mustafa

Dasht e Taiba Meiñ Bahaar-e-Khuld Hai
Jaan-e-Jannat Hai Sara-e-Mustafa

The Blossoms of Paradise Are Visible In The Desert of Taiba
The Soul of Jannat, Is The Blessed Abode of Mustafa

Muntazir Haiñ Jannateñ Us Ke Liye
Wird Hai Jis Ka Sana-e-Mustafa

Waiting For Him In Anticipation, Is Every Jannah
He, Whose Daily Litany Is The Praise of Mustafa

Meri Ummat, Meri Ummat, Bakhsh De
Hai Yahi Har Dam Dua-e-Mustafa

Forgive My Ummah, Forgive My Ummah
This Is Constantly The Invocation of Mustafa

 

Roz-e-Mahshar Un Ke Bandoñ Ke Liye
Raah-bar Hogi Zia-e-Mustafa

For His Servants On The Day of Qiyaamah
Throughout Their Path, Will Be The Light of Mustafa

 

Hukm-e-Haq Hoga Ke Jaaye Sab Se Qabl
Khuld Meiñ Har-Har Gada-e-Mustafa

Be The First To Enter, Would Be The Command From Allah
For Admission Into Paradise, For Every Slave of Mustafa

 

Pul Se Utreñ Un Ke Bande Be-Khatar
Rab’bi Sal’lim Hai Sada-e-Mustafa

Those Who Will Cross The Bridge Without Any Fear, His Slaves Are
‘O My Rab’b Grant Them Safe Passage’ Is The Call of Mustafa

 

Yuñ Pukaarega Munaadi Hashr Meiñ
‘Aasiyo Muzhda Wo Aaye Mustafa

The Caller Will Announce In This Way, On The Day of Qiyaamah
Glad-tidings O Sinners! Here Comes Mustafa

Apni Ummat Ko Ch’huraane Ke Liye
Hashr Meiñ Tashreef Laaye Mustafa

In Order To Secure The Release of His Ummah
On The Day of Reckoning, Will Arrive Mustafa

Jaañ-Kanee Ke Waqt Az Raah-e-Karam
Chehra-e-Anwar Dikhaaye Mustafa

In My Final Moments, Through Your Mercy O Mustafa
Please Show Me Your Beautiful Face, O Mustafa

 

 

Poochte Kya Ho Farishto Qabr Meiñ
Banda-e-Haq Huñ Gada-e-Mustafa

In My Grave, O Angels! What Are You Questioning Me Over
I Am The Servant of Allah And The Slave of Mustafa

Qabr-o-Mahshar Ka Yahi Hai Ek Jawaab
Banda-e-Haq Huñ Gada-e-Mustafa

There Is Only One Answer In The Grave & On The Day of Qiyaamah
I Am The Servant of Allah And The Slave of Mustafa

 

Mehr-e-Mahshar Mujh Pe Ho Jaayega Sard
Banda-e-Haq Huñ Gada-e-Mustafa

Cool Over Me Will Become, The Sun On The Day of Qiyaamah
I Am The Servant of Allah And The Slave of Mustafa

Kyuñ Daraayegi Mujhe Naar-e-Jaheem
Banda-e-Haq Huñ Gada-e-Mustafa

Why Will I Be Threatened, By Hell-Fire
I Am The Servant of Allah And The Slave of Mustafa

Do Qadam Meiñ Hogi Tai Raah-e-Siraat
Banda-e-Haq Huñ Gada-e-Mustafa

The Path of Siraat, I Will Cross In Two Steps, On Qiyaamah
I Am The Servant of Allah And The Slave of Mustafa

Zuhd-o-Taa’at Kuch Nahiñ Hai Mere Paas
Banda-e-Haq Huñ Gada-e-Mustafa

I Do Not Have With Me Any Devotional Acts Or Any Taqwa
I Am The Servant of Allah And The Slave of Mustafa

 

 

Roz-e-Mahshar Dhoop Meiñ Honge ‘Adu
Ham Gada Zer-e-Liwa-e-Mustafa

The Enemies Will Be Languishing In The Sun’s Heat On The Day of Qiyaamah
While We Slaves Will Be Under The Shade of The Banner of Mustafa

Chaahata Huñ Dil Se Ahmad Ki Raza
Mujh Se Raazi Ho Raza-e-Mustafa

I Desire From My Heart, The Pleasure of Ahmed e Mujtaba
Pleased With Me Should Be, The Pleasure of Mustafa

Hai Taman’na-e-JAMEEL-E-QAADIRI
Sar Ho Mera Awr Paa-e-Mustafa

 

It Is Jameel The Qaadiri’s Final Aspiration And Dua
My Head Should Be Resting At The Sacred Foot of Mustafa

Sharing Is Caring:

Leave a Comment