HAI KALAAM-E-ILAHI ME SHAMS-O-DUHA NAAT LYRICS
Qasam e Shab e taar me raaz yeh tha, ke Habeeb ki zulfe duta ki qasamTere Khulq ko HAQ ne azeem kaha, Teri khilq ko HAQ ne jameel kiya
Koee Tujh sa huwa hai na hoga Shaha, Tere Khaliqe husn o ada ki qasam
Woh Khuda ne hai martaba tujh ko diya, na kisi ko mile na kisi ko mila
Ke Kalaam e majeed ne khaee Shaha, Tere shehro kalamo baqa ki qasam
HAI KALAAM-E-ILAHI ME SHAMS-O-DUHA NAAT LYRICS
Tera masnade naaz hai Arshe baree, Tera mehrame raaz hai rooh e ameen
Tu hi Sarware har do jahaan hai shaha, Tera misl nahi hai Khuda ki qasam
Yehi ‘arz hai khaliq e Ard o sama, Woh Rasool hai Tera, mai bandah Tera
Mujhe unki jawaar me day woh jagah, ke hai Khuld ko jiski safa ki qasam
Tu hi bandaun pa karta hai lutf o ‘Ata, Tujhi pe bharosa hai Tujhi se dua
Mujhe Jalwah e Pak Rasool dikha, Tujhe apne hi izz o ‘Ala ki qasam
HAI KALAAM-E-ILAHI ME SHAMS-O-DUHA NAAT LYRICS
Mere gar chay gunah hai had se siwa, magar Un se ummed hai Tujh se rija
Tu Raheem hai Unka Karam hai, gawah woh Kareem hai Teri ‘Ata ki qasam
Yehi kehti hai bulbule baagh e jina, ke Raza ki tarha koee sehre bayaan
Nahi hind me wasif shahe huda, mujhe shaukhe tabae Raza ki qasam
Eidon Ki Hai Eid Aayi Naat Lyrics
Ek Ajab Lutf Is Tarah Jeene Mein Hai Naat Lyrics
Making Du’a for a brother in his absence – Naat Lyrics
Abu Darda رضي الله عنه narrates that Rasúlullãh ﷺ has said,
“There is no believing servant who makes Du’a for his brother in his absence, except that the Angels say:
(May) the same be for you (i.e may you also acquire what you requested Allãh for your brother).” (Muslim)
You are judged by your Taqwa – Naat Lyrics
Rasúlullãh ﷺ told Abu Dharr رضي الله عنه,
“Behold! Verily, You are not better than a red skinned or black skinned person, but rather only by virtue of Taqwa.”
(Ahmad)