Raushan Hue Hain Do Jahan Noor E Qadeem Aa Gaye || Barkate Raza

Allama Saim Chishti Alaihirrahmah Ka Likha Gaya Yeh Nihayat Hi Shandaar Aur Roohani Milad Naat Sharif Raushan Hue Hain Do Jahan Noor E Qadeem Aa Gaye Eid Milad Un Nabi Ke Mauqe Par Ek Azeem Nazrana Hai. Is Pyare Kalam Ke Zariye Pyare Aaqa Ki Amad Aur Unke Noor Ki Barkat Ka Nihayat Hi Haseen Zikr Kiya Gaya Hai.

Naat InformationDetails
Naat TitleRaushan Hue Hain Do Jahan Noor E Qadeem Aa Gaye
Poet / WriterAllama Saim Chishti
CategoryRabiul Awwal Naat
Naatkhawan / ReciterShahbaz Qamar Fareedi
Book NameBarkate Raza Naat Book

Raushan Hue Hain Do Jahan Noor E Qadeem Aa Gaye Lyrics In Roman

Raushan Hue Hain Do Jahan Noor E Qadeem Aa Gaye
Sabki Bharengi Jholiyan Mere Kareem Aa Gaye

Jalwa E Toor Aa Gaya Jholi Teri Mein Aamna
Dene Tujhe Salaamiyan Moosa Kaleem Aa Gaye

Gham Mein Kisi Ko Dekh Kar Hote Rahe Jo Ghamzada
Aaye Hain Aise Mehrbaan Aise Raheem Aa Gaye

Mehr E Sipehr E Ambiya Saare Jahan Ke Muqtada
Baad Az Khuda E Kibriya Sabse Azeem Aa Gaye

Jinke Liye Jahan Ko Laya Khuda Wajood Mein
Saari Khuda Ki Ne’Maten Leke Qaseem Aa Gaye

Daaman Bichha Ke Aasiyo Padhte Raho Salam Sab
Moti Karam Ke Baantne Durr E Yateem Aa Gaye

Jinke Banenge Muqtadi Aqsa Mein Saare Ambiya
Saim Woh Aaj Sahib E Lutf E Ameem Aa Gaye

Raushan Hue Hain Do Jahan Noor E Qadeem Aa Gaye Lyrics In Hindi

रौशन हुए हैं दो जहां नूर ए क़दीम आ गए
सबकी भरेंगी झोलियां मेरे करीम आ गए

जलवा ए तूर आ गया झोली तेरी में आमना
देने तुझे सलामियां मूसा कलीम आ गए

ग़म में किसी को देखकर होते रहे जो ग़मज़दा
आए हैं ऐसे मेहरबाँ ऐसे रहीम आ गए

मेह्र-ए सिपेह्र-ए अंबिया सारे जहां के मुक़तदा
बाद अज़ ख़ुदा ए किबरिया सबसे अज़ीम आ गए

जिनके लिए जहान को लाया ख़ुदा वजूद में
सारी ख़ुदा की नेअ़मतें लेके क़सीम आ गए

दामन बिछाके आसियों पढ़ते रहो सलाम सब
मोती करम के बांटने दुर्रे यतीम आ गए

जिनके बनेंगे मुक़्तदी अक्सा में सारे अंबिया
‘साइम’ वह आज साहिब-ए-लुत्फ़ ए अमीम आ गए

Raushan Hue Hain Do Jahan Noor E Qadeem Aa Gaye Lyrics In Urdu

روشن ہوئے ہیں دو جہاں نورِ قدیم آ گئے
سب کی بھریں گی جھولیاں میرے کریم آ گئے

جلوۂِ طور آگیا جھولی تری میں آمنہ
دینے تجھے سلامیاں موسیٰ کلیم آ گئے

غم میں کسی کو دیکھ کر ہوتے رہے جو غمزدہ
آئے ہیں ایسے مہرباں ایسے رحیم آگئے

مہرِ سِپِہرِ انبیاء سارے جہاں کے مقتداء
بعد از خدائے کبریا سب سے عظیم آگئے

جن کے لئے جہان کو لایا خدا وجود میں
ساری خدا کی نعمتیں لے کے قسیم آگئے

دامن بچھا کے عاصیو پڑھتے رو سلام سب
موتی کرم کے بانٹنے دُرِ یتیم آگئے

جن کے بنیں گے مقتدی اقصیٰ میں سارے انبیاء
صائم وہ آج صاحبِ لطفِ عمیم آگئے

Leave a Comment