Hai Ye Jo Kuch Bhi Jahaañ Ki Ronaq || Barkate Raza

Hazrat Maulana Jameel-Ur-Rahman Qadri Ka Likhha Hua Yeh Ek Nihayat Hi Shandaar Aur Imaan-Afza Naat Kalam-E-Azeem Hai.
Is Pyare Kalam Me Aaqa-E-Do-Jahan Hazrat Muhammad Mustafa Ki Azmat Aur Unke Noor Ki Ronaq Ka Bohat Hi Dilkash Zikr-E-Khair Kiya Gaya Hai.
Aaiye Is Barkat-Bhare Aur Ruhani Naat Kalam Ka Adab Ke Saath Mutala Karein.

Naat Information Details
Naat Title Hai Ye Jo Kuch Bhi Jahaañ Ki Ronaq
Poet / Writer Maulana Jameel-Ur-Rahman Qadri
Category Urdu Naat Lyrics
Naatkhawan / Reciter Al-Haaj Owais Raza Qadri
Book Name Qabaalah E Bakhshish

Hai Ye Jo Kuch Bhi Jahaañ Ki Ronaq Lyrics In Roman

Hai Ye Jo Kuch Bhi Jahaañ Ki Ronaq
Ya Nabi Sab Hai Tumhaari Ronaq

‘Arsh-O-Kursi Hai Tumheeñ Se Roshan
Farsh Par Bhi Hai Tumhaari Ronaq

Dekheñ Taiba Ko To Rizwaañ Keh Deñ
Ham Ne Dekhi Nahiñ Aisi Ronaq

Khuld-O-Aflaak Muzay’Yan Haiñ Sabhi
Phir Hai Taiba Ki Niraali Ronaq

Muskura Dijiye Ya Shaah Ke Ho
Do Jahaañ Meiñ Abhi Dooni Ronaq

Hoor-O-Ghilmaañ Malak-O-Jinn-O-Bashar
Hai Ye Sab Aap Ke Dam Ki Ronaq

Tum Nahiñ Thay To Nahiñ Tha Kuch Bhi
Tum Na Hote To Na Hoti Ronaq

Maiñ Huñ Mahboob-E-Khuda Ka Mad’Daah
Meri Turbat Pe Bhi Hogi Ronaq

Aik Din Chal Ke Jameel-E-Razvi
Dekhiye Un Ki Gali Ki Ronaq

Hai Ye Jo Kuch Bhi Jahaañ Ki Ronaq Lyrics In Hindi

है ये जो कुछ भी जहाँ की रौनक़
या नबी सब है तुम्हारी रौनक़

अर्श-ओ-कुर्सी है तुम्हीं से रौशन
फ़र्श पर भी है तुम्हारी रौनक़

देखें तैबा को तो रिज़वाँ कह दें
हम ने देखी नहीं ऐसी रौनक़

ख़ुल्द-ओ-अफ़्लाक मुज़य्यन हैं सभी
फिर है तैबा की निराली रौनक़

मुस्कुरा दीजिए या शाह कि हो
दो जहाँ में अभी दूनी रौनक़

हूर-ओ-ग़िल्माँ मलक-ओ-जिन्न-ओ-बशर
है ये सब आप के दम की रौनक़

तुम नहीं थे तो नहीं था कुछ भी
तुम न होते तो न होती रौनक़

मैं हूँ महबूब-ए-ख़ुदा का मद्दाह
मेरी तुर्बत पे भी होगी रौनक़

एक दिन चल के जमील-ए-रज़वी
देखिए उन की गली की रौनक़

Hai Ye Jo Kuch Bhi Jahaañ Ki Ronaq Lyrics In Urdu

ہے یہ جو کچھ بھی جہاں کی رونق
یا نبی سب ہے تمہاری رونق

عرش و کرسی ہے تمہیں سے روشن
فرش پر بھی ہے تمہاری رونق

دیکھیں طیبہ کو تو رضواں کہہ دیں
ہم نے دیکھی نہیں ایسی رونق

خلد و افلاک مزین ہیں سبھی
پھر ہے طیبہ کی نرالی رونق

مسکرا دیجیے یا شاہ کہ ہو
دو جہاں میں ابھی دونی رونق

حور و غلماں ملک و جن و بشر
ہے یہ سب آپ کے دم کی رونق

تم نہیں تھے تو نہیں تھا کچھ بھی
تم نہ ہوتے تو نہ ہوتی رونق

میں ہوں محبوبِ خدا کا مداح
میری تربت پہ بھی ہوگی رونق

ایک دن چل کے جمیلِ رضوی
دیکھیے ان کی گلی کی رونق

Leave a Comment