DUROOD SHARIF KI FAZILAT

DUROOD SHARIF KI FAZILAT•
******
HADEES
****
Hadees Sharif May Hain Ek Din Zibril-A-Amin Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Ki Khidmat May Haazir Hue Aur Kaha, Maine Aasmaano Per Ek Aisa Farishta Dekha Jo Takht Per Baitha Tha Aur 70000 Faishte Kataar (Line) Lagaye Uski Khidmat May Haazir The! Uske Har Saans Se ALLAH-TA’AALA Ek Farishta Paida Farmata Hain!
Abhi-Abhi Maine Use Tute Paron Ke Sath Kohe Kaaf May Rote Hue Dekha Hain! Jab Usne Mujhe Dekha To Kaha Tum ALLAH-TA’AALA Ke Huzoor Meri Shifarish Karo, Maine Kaha Tera Jurm Kya Hain?
Usne Kaha Mehraaj Ki Raat Jab Mohammad SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Ki Sawari Guzri To Main Takht Per Baitha Raha, Taazim Keliye Khada Nahi Hua, Isliye ALLAH-TA’AALA Ne Mujhe Is Jagah Is Ajaab May Mubtela Kerdiya Hain!
Zibril-A-Amin Ne Kaha Maine ALLAH-TA’AALA Ki Bargah May Ro-Ro Ker Uski Shifarish Ki, ALLAH-TA’AALA Ne Mujhse Farmaya Tum Usse Kaho Ki Yeh Mohammad (SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM) Per Durud Bheje!

Chunanche Us Farishte Ne Aap Per Durud Bheja To ALLAH-TA’AALA Ne Uski Is Bhool Ko Muaf Kerdiya Aur Uske Naye Per Bhi Paida Farma Diye!

“SUBHANALLAH”

(Mukashfatul Kulub Pg-134)


MUSA RAZA

Leave a Reply

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.

%d