Banda Milne Ko Kareeb Hazrat E Qadir Gaya Naat Lyrics
Banda Milne Ko qaribe Hazrat E Qadir Gaya Naat Lyrics
Bandah Milne Ko Qareeb-E-Hazrat-E-Qaadir Gaya,
Lam’ah-E-Baatin Me Gumne Jalwah-E-Zaahir Gaya.
Teri Marzi Paa Gaya Sooraj Phira Ulte Qadam,
Teri Ungli Uth Gayi Mah Ka Kaleja Chir Gaya.
Barh Chali Teri Ziya Andher Aalam Sey Ghatta,
Khul Gaya Gesu Tera Rahmat Ka Baadal Ghir Gaya.
Bandh Gayi Teri Hawa Saa Woh Mein Khaak Urne Lagi,
Barh Chali Teri Ziyaa Aatish Pe Paani Phir Gaya.
Teri Rahmat Sey Safi-Ullah Ka Beraa Paar Tha,
Tere Sadqe Sey Naji-Ullah Ka Bajraa Tir Gaya.
Teri Aamad Thi Key Baitullah Mujre Ko Jhuka,
Teri Haibat Thi Key Har But Thar Thara Kar Gir Gaya.
Momin Un Ka Kya Hua Allah Uska Ho Gaya,
Kaafir Un Sey Kya Phira Allah Hi Sey Phir Gaya.
Woh Key Us Dar Ka Hua Khalq-E-Khuda Us Ki Hui,
Woh Key Us Dar Sey Phira Allah Hi Sey Phir Gaya.
Mujh Ko Deewaana Bataate Ho Main Woh Hushiyaar Hoon,
Paaon Jab Tof-E-Haram Me Thak Gaye Sar Phir Gaya.
Rehmatul-Lil-’Aalameen Aafat Mein Hoon Kaisi Karoon,
Mere Mawla Main To Is Dil Sey Bala Mein Ghir Gaya.
Mein Tere Haathon Key Sadqe Kaisi Kankariyan Thee Woh,
Jin Sey Itne Kaafiron Ka Daf’atan Munh Phir Gaya.
Kyoon Janaab-E-Bu Hurairah Tha Woh Kaisa Jaam-E-Sheer,
Jis Sey Sattar Saahibon Ka Doodh Sey Munh Phir Gaya.
Waasta Pyaare Ka Aisa Ho Key Jo Sunni Marre,
Yoon Na Farmaayein Tere Shaahid Key Woh Faajir Gaya.
Arsh Par Dhoomein Machein Woh Momine Saaleh Mila,
Farsh Sey Maatam Uthe Wo Tayyib-O-Taahir Gaya.
Allah Allah Ye ‘Uloo-E-Khaas ‘Abdiyat-Raza,
Bandah Milne Ko Qareeb-E-Hazrat-E-Qaadir Gaya.
Thokarein Khaate Phiroge Unke Dar Par Par Raho,
Qaafila To Aay Raza Awwal Gaya Aakhir Gaya.
KI KI NA KITA YAAR NEY EIK YAAR WASTE NAAT LYRICS
Nabi e Muazzam Habib e Mukrram Lyrics
HAJIYO AAWO SHAHENSHAH KA ROZA DEKHO NAAT LYRICS
EK AJAB LUTF IS TARAH JEENE MEIN HAI NAAT LYRICS
LIKH RAHA HOON NAAT E-SARWAR NAAT LYRICS
Sabse Aula O Aala Hamara Nabi Lyrics
Banda Milne Ko Kareeb Hazrat E Qadir Gaya Naat Lyrics
Banda Milne Ko Kareeb Hazrat E Qadir Gaya Naat.j
Banda Milne Ko Kareeb Hazrat E Qadir Gaya Naat.j
Banda Qadir Ka Bhi Qadir Bhi Hai Abdul Qadir Naat Lyrics
Bandah Qaadir Ka Bhi Qaadir Bhi Hay Abdul Qaadir,
Sir-E-Baatin Bhi Hay Zaahir Bhi Hay Abdul Qaadir.
Mufti-E-Shar’a Bhi Hay Qaazi-E-Millat Bhi Hay,
Ilm-E-Asraar Sey Maahir Bhi Hay Abdul Qaadir.
Manba’a Faiz Bhi Hay Majma’a Afdaal Bhi Hay,
Meher-E-Irfaan Ka Munnawar Bhi Hay Abdul Qaadir.
Qutb-E-Abdaal Bhi Hay Mehwer -E-Irshaad Bhi Hay,
Markaze Daairah-E-Sir Bhi Hay Abdul Qaadir.
Salak-E-Irfaan Ki Ziya Hay Yahi Dur-E-Mukhtaar,
Fakhr-E-Ashbaah-Wa-Nazair Bhi Hay Abdul Qaadir.
Us Key Farmaan Hain Sab Shaareh Hukm-E-Shaare’,
Mazhare Naa Hi-O-Aamir Bhi Hay Abdul Qaadir.
Zee Tasarruf Bhi Hay Maazoon Bhi Mukhtar Bhi Hay,
Kaar-E-Aalam Ka Muddabir Bhi Hay Abdul Qaadir.
Rashk-E-Bulbul Hay Raza Laala-E-Sad Daagh Bhi Hay,
Aap Ka Waasif-O-Zaakir Bhi Hay Abdul Qaadir.
Bandah Milne Ko Qareeb E Hazrat E Qaadir Gaya Naat Lyrics
Bandah Milne Ko Qareeb-E-Hazrat-E-Qaadir Gaya,
Lam’ah-E-Baatin Me Gumne Jalwah-E-Zaahir Gaya.
Teri Marzi Paa Gaya Sooraj Phira Ulte Qadam,
Teri Ungli Uth Gayi Mah Ka Kaleja Chir Gaya.
Barh Chali Teri Ziya Andher Aalam Sey Ghatta,
Khul Gaya Gesu Tera Rahmat Ka Baadal Ghir Gaya.
Bandh Gayi Teri Hawa Saa Woh Mein Khaak Urne Lagi,
Barh Chali Teri Ziyaa Aatish Pe Paani Phir Gaya.
Teri Rahmat Sey Safi-Ullah Ka Beraa Paar Tha,
Tere Sadqe Sey Naji-Ullah Ka Bajraa Tir Gaya.
Teri Aamad Thi Key Baitullah Mujre Ko Jhuka,
Teri Haibat Thi Key Har But Thar Thara Kar Gir Gaya.
Momin Un Ka Kya Hua Allah Uska Ho Gaya,
Kaafir Un Sey Kya Phira Allah Hi Sey Phir Gaya.
Woh Key Us Dar Ka Hua Khalq-E-Khuda Us Ki Hui,
Woh Key Us Dar Sey Phira Allah Hi Sey Phir Gaya.
Mujh Ko Deewaana Bataate Ho Main Woh Hushiyaar Hoon,
Paaon Jab Tof-E-Haram Me Thak Gaye Sar Phir Gaya.
Rehmatul-Lil-’Aalameen Aafat Mein Hoon Kaisi Karoon,
Mere Mawla Main To Is Dil Sey Bala Mein Ghir Gaya.
Mein Tere Haathon Key Sadqe Kaisi Kankariyan Thee Woh,
Jin Sey Itne Kaafiron Ka Daf’atan Munh Phir Gaya.
Kyoon Janaab-E-Bu Hurairah Tha Woh Kaisa Jaam-E-Sheer,
Jis Sey Sattar Saahibon Ka Doodh Sey Munh Phir Gaya.
Waasta Pyaare Ka Aisa Ho Key Jo Sunni Marre,
Yoon Na Farmaayein Tere Shaahid Key Woh Faajir Gaya.
Arsh Par Dhoomein Machein Woh Momine Saaleh Mila,
Farsh Sey Maatam Uthe Wo Tayyib-O-Taahir Gaya.
Allah Allah Ye ‘Uloo-E-Khaas ‘Abdiyat-Raza,
Bandah Milne Ko Qareeb-E-Hazrat-E-Qaadir Gaya.
Thokarein Khaate Phiroge Unke Dar Par Par Raho,
Qaafila To Aay Raza Awwal Gaya Aakhir Gaya.
Bari Umeed Hai Sarkar Qadmon Mein Bulayenge Naat Lyrics
Bari Umeed Hai Sarkar Qadmon Mein Bulayenge
Karam Ki Jab Nazar Ho Gi Madine Hum Bhi Jayenge
Agar Jaana Madine Mein Huwa Hum Gham Ke Maaron Ka
Makeene Gumbad-E-Khazra Ko Haal-E-Dil Sunayenge
Kasam Allah Ki Ho Ga Woh Manzar Deed Ke Qabil
Qayamat Mein Rasulallah Jab Tashreef Layenge
Qayamat Tak Jagayenge Na Phir Munkar Nakeer Usko
Lahad Mein Wo Jisse Apna Rukh-E-Zaiba Dikhayenge
Gunahgaron Mein Khud Aa Aa Kar Shamil Parsaa Honge
Shafi-E-Hashr Jab Daaman-E-Rehmat Mein Chupayenge
Gham-E-Ishq-E-Nabi Se Hoga Jab Maamoor Dil Nayyar
Tere Zulmat Kade Mein Bhi Sitare Jagmagayenge
Batil Ke Jab Jab Badle Hai Tevar Naat Lyrics
Batil Ke Jab Jab Badle Hai Tevar
Aaya Hai Tab Tab Meri Zaban Par
Naara E Takbeer Allaho Akbar
Pyaare Nabi Ne Jina Sikhaya
Bakhuda Insan Hum Ko Banaya
Pehnaya Aklaq O Iman Ka Zevar
Naara E Takbeer Allaho Akbar
Khud Bhi Jiyo Jinedo Sabhiko
Iza Na Pahuchao Khud Se Kisiko
Islam Ka Yahi Darse Munauwar
Naara E Takbeer Allaho Akbar
Siddiq O Faruq O Usman O Haidar
Ashabo Azvajo Shabbir O Shabbar
In Sab Ka Ehsan Hum Sab Ke Upar
Naara E Takbeer Allaho Akbar
Baghdadi Mehkhana Chalta Rahega
Ajmeri Pyaala Chalakta Rahega
Noori Miyan Denge Barkati Sagar
Naara E Takbeer Allaho Akbar
Mizan Par Aaqa Hum Ko Bachaiyo
Daman Me Apne Hum Ko Chupaiyo
Itna Karam Ya Shafa E Mehshar
Naara E Takbeer Allaho Akbar
Rahe Khuda Me Ghar Ko Lutaye
Deen E Nabi Pe Sar Ko Kataye
Uqba Ki Daulat Lute Bhar Bhar
Naara E Takbeer Allaho Akbar
Sacche Sada Aqval Hamare
Side Sada Aamal Hamare
Tab Hoga Rab Meherban Hum Par
Naara E Takbeer Allaho Akbar
Batkhe Khufata Ne Muje Roze Pe Jane Naat Lyrics
Batkhe Khufata Ne Muje Roze Pe Jane Na Diya
Chashmo-Dil Sine Kaleje Se Lagane Na Diya
Aah ! Kismat Muje Duniya Ke Gamo Ne Roka
Aah Taqdir Ke Taybah Muje Jane Na Diya
Batkhe Khufata Ne Muje …………………………..
Panv Thak Jate Agar Panv Banata Sarko
Sar Ke Bal Jata Magar Zoaf Ne Jane Na Diya
Batkhe Khufata Ne Muje …………………………..
Sar To Sar Jan Se Jane Ki Muje Hasarat Hai
Maut Ne Haae Muje Jan Se Jane Na Diya
Batkhe Khufata Ne Muje …………………………..
Sarbate Did Ne Or Aag Laga Di Dil Mai
Ta-Pashe Dilko Barhaya Hai Buzane Na Diya
Batkhe Khufata Ne Muje …………………………..
Ab Kahan Jaaega Nakasha Tera Mere Dil Se
Pehne Rakhkha Hai Ise Dil Ne Gumane Na Diya
Batkhe Khufata Ne Muje …………………………..
Sajda Karta Jo Muje Iski Ijazat Hoti
Kya Karu Izan Muje Iska Khuda Ne Na Diya
Batkhe Khufata Ne Muje …………………………..
Mere Amal Ka Badala To Jahannam Hi Tha
Main To Jata Muje Sarkar(Saw) Ne Jane Na Diya
Batkhe Khufata Ne Muje …………………………..
Mere Amale Siyah Ne Kiya Jina Dubhar
Zahar Khata Tere Irshad Ne Khane Na Diya
Batkhe Khufata Ne Muje …………………………..
Nafase Badkar Ne Dil Par Ye Qayamat Tori
Amle Naik Kiya Bhi To Chhupane Na Diya
Batkhe Khufata Ne Muje …………………………..
Or Chamakati Si Gazal Koy Parho Aai Noori
Rang Apna Abhi Jamane Shoara Ne Na Diya
Batkhe Khufata Ne Muje …………………………..
Bekhud Kiye Dete Hain Andaaz E Hijabana Naat Lyrics
Bekhud Kiye Dete Hain Andaaz E Hijabana
Aa Dil Main Tujhay Rakhloon Aie Jalwa E Janana.
Kyu Aankh Milayi Thi, Kyoon Aag Lagayi Thee
Aab Rukh Ko Chupa Baithay Kar Kay Mujhay Deewana.
Zahid Meri Kismat Mein Sajday Hain Usi Dar Kay
Chuta Hai Na Chuthay Ga Sange Dar E Janana.
Kiya Lutf Ho Mehshar Mein Main Shikway Kiye Jaoon
Woh Haskay Kahay Jayein Deewana Hai Dewana.
Saaki Teray Aatay Hee Yeh Josh Hai Masti Ka
Sheshay Pay Gira Sheesha Pemanay Paymana.
Maloom Nahin Baydam Mein Kon Houn Aur Kiya Hoon
Youn Apnoon Main Apna Houn Baiganoon Mein Baygana.
Bhar Do Jholi Meri Ya Muhammad Naat Lyrics
Shah-E-Madeena Suno Ilteja Khuda Ke Liye
Karam Ho Mujh Pe Habeeb-E-Khuda Khuda Ke Liye
Huzoor Ghuncha-E-Ummeed Ab To Khil Jaaye
Tumhaare Dar Ka Gadaa Hoon To Bheek Mil Jaaye
Bhar Do Jholi Meri Ya Muhammad
Lautkar Main Na Jaaunga Khaali
Tumhaare Aastaane Se Zamaana Kya Nahin Paata
Koi Bhi Dar Se Khaali Maangne Waala Nahin Jaata
Bhar Do Jholi Meri Sarkaar-E-Madeena
Bhar Do Jholi Meri Taajdaar-E-Madeena
Tum Zamaane Ke Mukhtaar Ho Ya Nabi
Bekason Ke Madadgaar Ho Ya Nabi
Sab Ki Sunte Ho Apne Ho Ya Ghair Ho
Tum Ghareebon Ke Gham-Khwaar Ho Nabi
Bhar Do Jholi Meri Sarkaar-E-Madeena
Bhar Do Jholi Meri Taajdaar-E-Madeena
Hum Hain Ranj-O-Museebat Ke Maare Hue
Saqt Mushkil Mein Hain Gham Se Haare Hue
Ya Nabi Kuchh Khudaara Humein Bheek Do
Dar Pe Aaye Hain Jholi Pasaare Hue
Bhar Do Jholi Meri Sarkaar-E-Madeena
Bhar Do Jholi Meri Taajdaar-E-Madeena
Hai Mukhaalif Zamaana Kidhar Jaaein Hum
Haalat-E-Bekasi Kisko Dikhlaaye Hum
Hum Tumhaare Bhikaari Hain Ya Mustafa
Kiske Aage Bhalaa Haath Phailaayein Hum
Bhar Do Jholi Meri Sarkaar-E-Madeena
Bhar Do Jholi Meri Taajdaar-E-Madeena
Bhar Do Jholi Meri Ya Muhammad
Lautkar Main Na Jaaunga Khaali
Kuchh Nawaason Ka Sadqa Ataa Ho
Dar Pe Aaya Hoon Bankar Sawaali
Haq Se Paayi Wo Shaan-E-Kareemi
Marhaba Dono Aalam Ke Waali
Uski Qismat Ka Chamka Sitaara
Jis Pe Nazr-E-Karam Tum Ne Daali
Zindagi Bakhsh Ki Bandagi Ko
Aabroo Deen-E-Haq Ki Bachaali
Wo Muhammad Ka Pyara Nawaasa
Jisne Sajde Mein Gardan Kataali
Jo Ibn-E-Murtaza Ne Kiya Kaam Khoob Hai
Qurbaani-E-Hussain Ka Anjaam Khoob Hai
Khurbaan Ho Ke Fatema Zehra Ke Chain Ne
Deen-E-Khuda Ki Shaan Badhaayi Hussain Ne
Bakhshi Hai Jisne Mazhab-E-Islam Ko Hayaat
Jitni Azeem Hazrat-E-Shabbir Ki Hai Zaat
Maidaan-E-Karbala Mein Shah-E-Khush Khisaal Ne
Sajde Mein Sar Kataa Ke Mohammad Ke Laal Ne
Zindagi Bakhsh Di Bandagi Ko
Aabroo Deen-E-Haq Ki Bachaali
Wo Muhammad Ka Pyara Nawaasa
Jisne Sajde Mein Gardan Kataali
Hashr Mein Unko Dekhenge Jis Dam
Ummati Ye Kahengey Khushi Se
Aa Rahey Hain Wo Dekho Mohammad
Jinke Kaandhe Pe Kambli Hai Kaali
Mehshar Ke Roz Pesh-E-Khuda Hongey Jis Ghadi
Hogi Gunahgaaron Mein Kis Darjaa Bekali
Aate Hue Nabi Ko Jo Dekhenge Ummati
Ek Doosre Se Sab Ye Kahengey Khushi Khushi
Aa Rahey Hain Wo Dekho Mohammad
Jinke Kaandhe Pe Kambli Hai Kaali
Sar-E-Mehshar Gunahgaaron Se Purzish Jis Ghadi Hogi
Yaqeenan Har Bashar Ko Apni Bakhshish Ki Parhi Hogi
Sabhi Ko Aas Us Din Kambli Waale Se Lagi Hogi
Ke Aise Mein Mohammad Ki Sawaari Aa Rahi Hogi
Pukaarega Zamaana Us Ghadi Dukh Dard Ke Maaron
Na Ghabraao Gunahgaaron Na Ghabraao Gunahgaaron
Aa Rahey Hain Wo Dekho Mohammad
Jinke Kaandhe Pe Kambli Hai Kaali
Aashiq-E-Mustafa Ki Azaan Mein Allah Allah Kitna Asar Thha
Sachaa Ye Waaqiya Hai Azaan-E-Bilaal Ka
Ek Din Rasool-E-Paak Se Logon Ne Yun Kahaa
Ya Mustafa Azaan Ghalat Dete Hain Bilaal
Kahiye Huzoor Aapka Is Mein Hai Kya Khayaal
Farmaaya Mustafa Ne Ye Sach Hai To Dekhiye
Waqt-E-Sahar Ki Aaj Azaan Aur Koi De
Hazrat Bilaal Ne Jo Azaan-E-Sahar Na Di
Khudrat Khuda Ki Dekho Na Mutlaq Sahar Hui
Aaye Nabi Ke Paas Kuchh As’haab-E-Baasabaa
Ki Arz Mustafa Se Ay Shah-E-Ambiya
Hai Kya Sabab Sahar Na Hui Aaj Mustafa
Jibreel Laaye Aise Mein Payghaam-E-Kibriya
Pehle To Mustafa Ko Adab Se Kiya Salaam
Baad As Salaam Unko Khuda Ka Diya Payaam
Yun Jibraeel Ne Kahaa Khair Ul Anaam Se
Allah Ko Hai Pyar Tumhaare Ghulaam Se
Farmaa Raha Hai Aap Se Ye Rabb-E-Zuljalaal
Hogi Na Subha Dengey Na Jab Tak Azaan Bilaal
Aashiq-E-Mustafa Ki Azaan Mein Allah Allah Kitna Asar Thha
Arsh Waale Bhi Sunte Thhey Jisko
Kya Azaan Thi Azaan-E-Bilaali
Kaash Purnam Se Aaye Nabi Mein
Jeete Ji Ho Bulaawa Kisi Din
Haal-E-Gham Mustafa Ko Sunaaoon
Thhaam Kar Unke Rauze Ki Jaali
Bhar Do Jholi Meri Ya Muhammad
Lautkar Main Na Jaaunga Khaali
Bheek Ata Ae Nabi (Saw) Muhatasham Ho Naat Lyrics
Bheek Ata Ae Nabi (Saw) Muhatasham Ho
Meray Aaqa (Saw) Nigah E Karam Ho
Deed Ka Hun Talab Gaar Aqa
Hun Agar Che Gunah Gaar Aaka
Ik Jhalak Apni Sarkar Aaqa
Aab Dikha Do Na Ik Baar Aka
Iss Gunah Gaar Par Bhi Karam Ho
Mere Aaqa Nigahe Karam Ho
Choot Jaye Gunahon Ki Aadat
Rab Ki Dil Se Karoon Mein Ibadat
Aisi Kar De Tu Nazr E Inayat
Bas Tere Gham Main Maah E Risalat
Dil Tarapta Rahe Aankh Nam Ho
Meray Aaqa Nigahe Karam Ho Hai
Tamanna Meri Mere Dilbar
Dekh Lun Kash Har Saal Aa Kar
Teri Masjid Kay Mehraab O Minbar
Aur Roze Ka Pur Kaif Manzar
Phir Bayan Haal Ba Chashm E Nam Ho
Mere Aaqa Nigah E Karam Ho
Yaad Aata Hai Mujh Ko Woh Manzar
Jab Chala Tha Madine Se Dilbar
Muztarib Qalb Tha Aankh Thi Tar
Us Ghari ?Arz Ye Thi Zabaan Par
Baar Baar Aaoon Aisa Karam Ho
Mere Aaqa Nigah E Karam Ho
Arz Karta Obaid E Raza Hai
Jo Tere Dar Ka Adna Gada Hai
Mushkilon Mein Shaha Ye Ghira Hai
Tujh Se Imdad Yeh Chahta Hai
Door Iska Har Ik Runj O Ghum Ho
Mere Aaqa Nigah E Karam Ho
Hai Yaqeen ?Arz Meri Suno Ge
Laaj Lajpaal Meri Rakho Ge
Rahmatein Khaas Apni Karo Ge
Aaj Daman Mera Bhi Bharo Ge
Ya Nabi Taajdaar E Haram Ho
Mere Aaqa Nigah E Karam Ho
Bheeni Suhani Subh Mein Thandak Jigar Ki Hai Naat Lyrics
Bheeni Suhani Sub’h Mein Thandak Jigar Ki Hai
Kaliyaa(N) Khili Dilo Ki Hawa Ye Kidhar Ki Hai.
Khubti Huwi Nazar Mei Adaa Kis Sahar Ki Hai
Chubhti Huwi Jigar Mei Sadaa Kis Gajar Ki Hai.
Daaley Hari Hari Hai To Baaley Bhari Bhari
Kishte Amal Pari Hai Ye Barish Kidhar Ki Hai.
Hum Jaye Aur Qadam Se Lipat Kar Haram Kahey
Sounpa Khuda Ko Ye Azmat Kis Safar Ki Hai.
Hum Girdey Kaaba Phirte They Kal Tak Aur Aaj Wooh
Hum Par Nisaar Hai Ye Iradat Kidh’ar Ki Hai.
Kalik Jabee(N) Ki Sajdaaye Dar Se Chudaavogey
Mujh Ko Bhi Le Chalo Ye Tamanna Hajar Ki Hai.
Dooba Huwa Hai Shouq Mei Zam Zam Aur Aankh Se
Jhaale Baras Rahey Hai Ye Hasrat Kidhar Ki Hai.
Barsa Ke Jaane Walo Pa Ghouhar Karu Nisaar
Abrey Karam Se Arz Ye Mizaabey Zar Ki Hai.
Aagooshe Shouq Kholey Hai Jin Ke Liye Hateem
Woh Phir Ke Dekhte Nahi Ye Dhun Kidhar Ki Hai.
Haa’n Haa’n Rahey Madina Hai Ghafil Zara Tu Jaag
Wo Paav Rakhne Waley Ye Jaa Chashmo Sar Ki Hai.
Waaru Qadam Qadam Pa Kay Har Dam Hai Jaane Nao
Ye Raahey Jaa(N) Fiza Mere Moula Ke Dar Ki Hai.
Ghadiya Gini Hai Barso Ke Ye Shubh Ghadi Phiri
Marmar Ke Phir Ye Sil Mere Seene Se Sar Ki Hai.
Allaho Akbar Apne Qadam Aur Ye Khaakey Pak
Hasrat Malai’ka Ko Jahaan Waz’ye Sar Ki Hai.
Mea’raj Ka Sama Hai Kaha Pahonchey Zae’roo
Kursi Se Onchi Kursi Usi Pak Ghar Ki Hai.
Ushhaq Rouza Sajdey Mei Suye Haram Jhukey
Allah Jaanta Hai Ke Niyyat Kidhar Ki Hai.
Ye Ghar Ye Dar Hai Uska Jo Ghar Dar Se Paak Hai
Muzhdah Ho Be-Gharo Kay Salaa Achchey Ghar Ki Hai.
Mehboobe Rabbe Arsh Hai Is Sabz Qubba Mei
Pahlu Mei Jalwa Gah Ateeqo Umar Ki Hai.
Chaye Malaika Hai Lagaatar Hai Durood
Badley Hai Pahrey Badli Mei Barish Durar Ki Hai
Sa’dayn Ka Qiraan Hai Pahluye Maah Mei
Jhurmut Kiye Hai Taarey Tajalli Qamar Ki Hai.
Sattar Hazaar Subh Mei Sattar Hazaar Shaam
Yun Bandagiye Zulfo Rukh Aatho Pahar Ki Hai.
Jo Ek Baar Aye Dobara Na Ayenge
Rukhsat Hi Bargah Se Bas Is Qadar Ki Hai.
Tadpa Karey Badal Ke Phir Aana Kaha Naseeb
Bey Hukm Kab Majaal Parinde Ko Par Ki Hai.
Ay Waye Beikasiye Tammana Ke Ab Ummeed
Din Ko Na Shaam Ki Hai Na Shab Ko Sahar Ki Hai
Ye Badliya(N) Na Ho To Karooro(N) Ki Aas Jaye
Aur Bargaahe Marhamate Aaam Tar Ki Hai.
Masoom Ko Hai Umr Mei Sirf Ek Bar Bar
Aasi Padey Rahe To Sila Umr Bhar Ki Hai.
Zinda Rahe To Haazriye Baargaah Naseeb
Mar Jaye To Hayaate Abad Aysh Ghar Ki Hai.
Moflis Aur Aisey Dar Se Phirey Be-Ghani Huve
Chandi Har Ek Tarah To Yaha Gadiya Gar Ki Hai.
Jaana Pe Takiya Khaak Nihali Hai Dil Nihaal
Han Be-Nawa’o Khoob Ye Sorat Guzar Ki Hai.
Hai Chatro Takht Saya-E Dewaaro Khaake Dar
Shaho Ko Kab Naseeb Ye Dhaj Karro Far Ki Hai.
Iss Paak Ku Mei Khaak Ye Basar Sar-Ba-Khaak Hai,
Samjhe Hai Kuch Yahi Jo Haqiqat Basar Ki Hai.
Kyo Taajdaaro! Khwaab Mei Dheki Kabi Ye Shai
Jo Aaj Jholiyo Mei Gadhayaane Dar Ki Hai.
Jaaru-Kasho Mei Chehre Likhey Hai Mulook Ke
Wo Bhi Kaha Naseeb Faqat Naam Bhar Ki Hai.
Taiba Mei Mar Ke Thande Chaley Jaav Aankhey Bandh
Seedhi Sadak Ye Shahre Shafa’t Nagar Ki Hai.
Aasi Bhi Hai Chahitey Ye Taiba Hai Zahido!
Makka Nahi Ke Jaanch Jaha Khair O Shar Ki Hai.
Shaane Jamaal Taiba Jana Hai Naf’a Mahaz
Wus’at Jalale Makka Mei Soodo Zar Ki Hai.
Kaba Hai Beshak Anjum-Aara Dulhan Magar
Saari Bahar Dhulhano Mei Dulha Ke Ghar Ki Hai.
Kaba Dhulhan Hai Turbate At-Har Nayi Dulhan
Ye Rashk E Aftaab Wo Gairat Qamar Ki Hai.
Dono Bani Sajeeli Aneeli Bani Magar
Jo Pe’ Ke Paas Hai Wo Suhagan Kun’war Ki Hai.
Sar Sabze Wasl Ye Hai Siyaa Poshey Hijr Wo
Chamki Dupatto Se Hai Jo Haalat Jigar Ki Hai.
Ma Wo Shuma To Kya Ke Khaleel E Jaleel Ko
Kal Dhekna Ki Unse Tamanna Nazar Ki Hai.
Apna Sharaf Dua Se Hai Baaki Raha Kabool
Ye Jaane Unke Haath Mei Kunji Asar Ki Hai.
Jo Chahey Unse Maang Ki Dono Jahaa’n Ki Khair
Zar Na-Khareeda Ek Kaneez Unke Ghar Ki Hai.
Roomi Ghulam Din Habshi Baandiya(N) Shab’e
Ginti Kaneez Zaado Mei Shaamo Sahar Ki Hai.
Itna Ajab Bulandiye Jannat Pe Kisliye
Dekha Nahi Ke Bheek Ye Kis Unchey Ghar Ki Hai.
Arshe Bari Pe Kyo Na Ho Firdous Ka Dimaagh
Utri Huvi Shabeeh Tere Baamo Dar Ki Hai.
Wo Khuld Jismei Utregi Abrar Ki Baraat
Adna Nichawar Uss Mere Dulha Ke Sar Ki Hai.
Amber Zamee(N), Abeer Huwa Mushke-Tar Gubaar
Adna Si Ye Shanaakhat Teri Rahguzar Ki Hai.
Sarkaar Hum Gawaro Mei Tarze Adab Kaha
Humko To Bas Tameez Yahi Bheek Bhar Ki Hai.
Maangenge Maange Jayenge Muh Maangi Payenge
Sarkar Mei Na Laa Hai Na Hajat Agar Ki Hai.
Uff Be-Hayayi’aa Ke Ye Muh Aur Tere Huzoor
Ha Tu Kareem Hai Teri Khu’ Dar Guzar Ki Hai.
Tujh Se Chupau Muh To Karu Kiske Saamne
Kya Aur Bhi Kisi Se Tawaqqo Nazar Ki Hai.
Jaavu Kaha Pukaru Kisey Kiska Muh Taku
Kia Pursish Aur Ja’ Bhi Sagey Be-Hunar Ki Hai.
Baab E At’a To Ye Hai Jo Bahka Idhar Udhar
Kaisi Kharaabi Uss Nagharey Dar-Ba-Dar Ki Hai.
Aabad Ek Dar Hai Tera Aur Tere Siwa
Jo Baargah Dekhiye Ghairat Khandar Ki Hai.
Lub Wa Hai Aankhey Bandh Hai Phayli Hai Jholiya
Kitne Maaze Ki Bheek Tere Paak Dar Ki Hai.
Ghera Andheriyo Ne Duh’ee Hai Chand Ki
Tanha Hu Kaali Raat Hai Manzil Khatar Ki Hai.
Kismat Mei Laakh Pech Ho Sau Bal Hazaar Kaj
Ye Saari Ghutthi Ik Teri Seedhi Nazar Ki Hai.
Aisi Bandhi Naseeb Khule Mushkiley Khuli
Dono Jaha Mei Dhoom Tumhari Kamar Ki Hai.
Jannat Na Dey Na Dey Teri Ruyat Ho Khair Se
Is Ghul Ke Aagey Kisko Hawas Bargho Bar Ki Hai.
Sharbat Na Dey Na Dey To Karey Baat Lutf Se
Ye Shahad Ho To Phir Kise Parwa Shakar Ki Hai.
Mai Khana-Zaad Kohna Hu Surat Likhi Huwi
Bando Kaneezo Mei Mere Madar Pedar Ki Hai.
Mangta Ka Haath Uth-Te Hi Daata Ki Dayn Thi
Doori Qubool O Arz Mei Bas Haath Bhar Ki Hai.
Sanki Wo Dekh Baad’e Shafat Ki De Hawa
Ye Aabru ‘Raza’ Tere Damaan E Tar Ki Hai
Bigare Huwe Bante Hain Kam Madine Me Naat Lyrics
Bagare Huwe Bante Hain Kam Madine Me
Mikate Hain Jaha Bhar Ke Aalam Madine Me
Bigare Huwe Bante Hain………………………………….
Aa Jao Gunahgaro Ne Khuf Chale Aao
Sarkar Ki Rahmat To Hain Aam Madine Main
Bigare Huwe Bante Hain………………………………….
E Hajiyo Ro Ro Kar Keh Dena Salam Unse
Le Jao Garibo Ka Pegaam Madine Me
Bigare Huwe Bante Hain………………………………….
Wo Sahfe Mahasar To Bulwake Gulamo Ko
Dete Hain Safaet Ka Inaam Madine Me
Bigare Huwe Bante Hain………………………………….
Darbar Me Jab Puhchu E Kasa Saha Us Dam
Didar Ka Ho Jae Inaam Madine Me
Bigare Huwe Bante Hain………………………………….
E Kasa Ke Ro Ro Kar Dam Tur Do Mai Kadmo Me
Ho Jae Mera Bilkher Anjam Madine Me
Bigare Huwe Bante Hain………………………………….
Jis Waqt Tarpakar Main Sarkar Lagu Girne
Bas Aap Muje Barhkar Le Tham Madine Me
Bigare Huwe Bante Hain………………………………….
Bigdi Bhi Banayenge Naat Lyrics
Bigdi Bhi Banain Ge
Jalwy Bhe Dekhain Ge
Ghabrao Na Deewano Sarkar Bulain Ge
Hum Masjid-E-Nabvi Key Dekhy Ge Minaroon Ko
Aur Gumbad-E-Khazran Key Purnoor Nazaroon Ko
Hum Ja Key Madina Phir Wapis Nahi Aay Ge
Mil Jay Ge Tabirein Eik Rooz To
Khawaboo Ki Gir Jay Gi Dewarein Sab
Dekhna Rahoo Ki Hum Roza-E-Aqdas Par Jab Ansoo Bahain Ge
Dil Ishq-E-Nabi Mey Tum Kuch Aur Tarapny Doo
Is Deed Ki Atish Ko Kuch Aur Bharkny Doo
Hum Tishna Dili Chal Kar Zam-Zam Sey Bojhay Ge
Jab Hashar Key Medan Mey Eik Hashar Bayan Ho Ga
Jab Fesla Ummat Ka Karny Ko Khuda Ho Ga
Ummat Ko Shahe Bataha Kamli Mey Chupain Ge
Lillah Mohammad Sey Rodad Meri Kehna
Ye Poch Key Aaqa Sey Ey Hajion Tum Ana
Ishrat Ko Dare Aqdas Kab Aap Bolain Ge
Bighari Banaao Makki Madani Naat Lyrics
Bighari Banaao Makki Madani, Dar Peh Bulaao Makki Madani
Iss Mey Muqadas Noorani, Ankho Ka Tara Makki Madani
Deed Teri Hai Eid Meri, Jalwa Dikhaao Makki Madani
Ham Hai Gunaho Mey Dobay Huway, Jeysay Hai Nibhaao Makki Madani
Mehshr Mai Ho Lab Peh Yahi,Ham Go Bachaao Makki Madani
Dootay Dilon Ki Daanis Hai, Naam Thumhara Makki Madani
Sadaqah Apnay Nawasown Ka, Dukhray Mitaao Makki Madani