Batta Hai Kainat Mein Sadqa Batool Ka Lyrics
Batta Hai Kaainaat Men Sadqa Batool Ka
Sultaan-E-Do-Jahaan Hai Baaba Batool Ka
Sach Hai Ki Meri Amma Bhi Un Ki Kaneez Hai
Mera Hai Baap-Daada Bhi Mangta Batool Ka
Rehti Hain Meri Dekh Lo Maujen Lagi Huin
Mujh Par Karam Huwa Hai Ye Kaisa Batool Ka
Shaami Baazaar-E-Shaam Men Hairaan The Khade
Quraan Padh Raha Tha Beta Batool Ka
Maula ‘Ali Ne Keh Diya Zahra Ki Shaan Men
Allah Hi Jaanta Hai Rutba Batool Ka
Nazron Se Main Ne Chooma Hai Chaukhat Ko Baar-Baar
Dekha Hai Main Ne Baarha Hujra Batool Ka
Ajmal Ki Hai Tauqeer Bhi Pehchaan Bhi Yahi
Adna Saa Ik Gulaam Hai Zahra Batool Ka
Batta Hai Kainat Mein Sadqa Batool Ka Lyrics
बटता है काइनात में सदक़ा बतूल का
सुल्तान-ए-दो-जहान है बाबा बतूल का
सच है कि मेरी अम्मा भी उन की कनीज़ है
मेरा है बाप-दादा भी मँगता बतूल का
रहती हैं मेरी देख लो मौजें लगी हुईं
मुझ पर करम हुवा है ये कैसा बतूल का
शामी बाज़ार-ए-शाम में हैरान थे खड़े
क़ुरआन पढ़ रहा था बेटा बतूल का
मौला ‘अली ने कह दिया ज़हरा की शान में
अल्लाह ही जानता है रुत्बा बतूल का
नज़रों से मैं ने चूमा है चौखट को बार-बार
देखा है मैं ने बारहा हुजरा बतूल का
अजमल की है तौक़ीर भी, पहचान भी यही
अदना सा इक ग़ुलाम है ज़हरा बतूल का
शायर:
यासीन अजमल चिश्ती
ना’त-ख़्वाँ:
महमूद-उल-हसन अशरफ़ी
रैहान क़ुरैशी
क़ारी शाहिद महमूद क़ादरी
- SHAB E BARAT MUBARAK PICTURES
- Shab e-Meraj (Isra Night) – 27th of Rajab -Significance in Islam
- Shah Turab ul Haq Qadri Best Taqreer
- Shahidi Kalam Lyrics – Muharram Manqabat and Salam Lyrics
- short islamic stories
- Sitemap
- surah alam nashrah in roman english
- Surah At-Tin full Arabic English text for reading