KYA LIKHUÑ ‘IZZ-O-‘ULAA-E-GHAUS-E-PAAK NAAT LYRICS

KYA LIKHUÑ ‘IZZ-O-‘ULAA-E-GHAUS-E-PAAK NAAT LYRICS

 

 

KYA LIKHUÑ ‘IZZ-O-‘ULAA-E-GHAUS-E-PAAK

 

Kya Likhuñ ‘Izz-o-‘Ulaa-e-Ghaus-e-Paak

Ho Nahiñ Sakti Sana-e-Ghaus-e-Paak

 

What Can I Write About The Nobility & Status of Ghaus e Paak

I Am Unable To Truly Recite The Praises of Ghaus e Paak

 

Shaah Kar De Chor Ko Ek Aan Meiñ

Maiñ Fida Tujh Par ‘Ata-e-Ghaus-e-Paak

 

In A Moment You Transformed A Thief Into A King

I Am Sacrificed Upon You, O Benevolence of Ghaus e Paak

 

Us Ke Qadmoñ Meiñ Salaateeñ Sar Jhuka-eñ

Apne Sar Par Le Jo Pa-e-Ghaus-e-Paak

 

The Kings Humbly Lower Their Heads, At His Feet

Who Takes Upon His Head, The Foot of Ghaus e Paak

 

Sab Ke Phaylay Haath Us Ke Saamne
Ho Gayi Jis Par ‘Ata-e-Ghaus-e-Paak

Everyone Stretches Their Hands Out Before Him
Upon Whom Has Descended, The Benevolence of Ghaus e Paak

Ya Khuda Bahr-e-Shaheed-e-Karbala
Ho Taraq’qi Par Wila-e-Ghaus-e-Paak

O Allah! Through The Blessings of The Martyr of Karbala
May There Be Progress, In The Allah Given Nearness of Ghaus e Paak

Kya ‘Ajab Ham Be-Kasoñ Ko Khwaab Meiñ
Chehra-e-Anwar Dikhaaye Ghaus-e-Paak

 

 

What Is So Surprising, If In The Dream of Us Helpless Ones
His Radiant Face Is Shown To Us, By Ghaus e Paak

 

Qabr Se Ut’thuñ To Ay Rab’b-e-Kareem
Mera Sar Ho Awr Pa-e-Ghaus-e-Paak

O My Most Generous Creator! When I Rise From My Grave
My Head Should Be, At The Sacred Feet of Ghaus e Paak

Ghaus-e-Azam Haiñ Ghulaamoñ Ke Liye
Ham Bhikaari Haiñ Bara-e Ghaus-e-Paak

Ghaus e Azam Is Here For Us Humble Slaves
We Are His Mendicants, Through The Blessings of Ghaus e Paak

Kaash Ham Se Roo Siyaahoñ Ko Kabhi
Apne Rauze Par Bulaaye Ghaus-e-Paak

O’ How We Wish, That Even Disgraced Ones Like Us
Will Some Day Be Invited, To His Shrine, By Ghaus e Paak

Kahiye Us Ko Mahr-e-Mahshar Kya Saataye
‘Laa Takhaf’ Jis Ko Sunaaye Ghaus-e-Paak

Tell Him, That The Sun On Judgement Day Will Not Harm Him
If ‘Fear Not’ Was Said To Him, By Ghaus e Paak

Dekhna Ham Qaadiriyoñ Par Karam
Hashr Meiñ Jis Waqt Aaye Ghaus-e-Paak

You Should Observe The Special Favour Upon Us Qaadiris
When On Judgement Day, Arrives Ghaus e Paak

Munkir Bad-Deeñ Ko Dozakh Ho Naseeb
Qaadiri Zer-e-Liwa-e-Ghaus-e-Paak

While Those Deviants Who Rejected, Will Be Destined To Hell
The Qaadiris Will Be Under, The Banner of Ghaus e Paak

Qaadiri Doolha Ka Daaman Hashr Meiñ
Haath Meiñ Ho Ay Khuda-e-Ghaus-e-Paak

The Sacred Mantle of The Qaadiri Groom On Reckoning Day
Should Be In Our Hands, O Creator of Ghaus e Paak

 

Naaz Hai Gar Zaahidoñ Ko Zuhd Par
Ham Ko Kaafi Hai Dua-e-Ghaus-e-Paak

If The Gnostics Are Gushing Over Their Piety
Sufficient For Us, Is The Dua of Ghaus e Paak

Naam Lewoñ Ki Taman’na Hai Yahi
Tere Dar Par Maut Aaye Ghaus-e-Paak

Your True Devotees Have Only One Desire
They Should Die At Your Sacred Court, Ghaus e Paak

Poochte Kya Ho Farishto Qabr Meiñ
Mujh Ko Kehte Haiñ Gada-e-Ghaus-e-Paak

What Are You Questioning Me About In The Grave, O Angels!
I Am Already Well-Known As The Beggar of Ghaus e Paak

Ham Pe Barsa De Khuda Ke Waaste
Ek Bharan Abr-e-Sakha-e Ghaus-e-Paak

For The Sake of Allah, Please Do Shower Upon Us
A Shower From The Generous Cloud of Ghaus e Paak

Khol De Lil’laah Mushkil Ki Girah
Maiñ Fida Band-e- Qaba-e-Ghaus-e-Paak

For Allah’s Sake, Undo The Knot of My Hardships
I Am Sacrificed Upon The Robe Strap of Ghaus e Paak

Kis Tarah Wo Raah Bhat’keñ Dahr Meiñ
Raah-e-Haq Jis Ko Dikhaaye Ghaus-e-Paak

How Can They Ever Deviate From The Path In This World
When They Have Been Guided To The Right Path, By Ghaus e Paak

Kyuñ Na Ho Mahboob-e-Subhani Laqab
Hai Pasand-e-Haq Ada-e-Ghaus-e-Paak

Why Should ‘Mahboob e Subhani’ Not Be Your Title?
When Beloved To Allah, Is The Manner of Ghaus e Paak

 

Us Raza Ka Hai JAMEEL-E-QAADIRI
Hai Raza Jis Ki Raza-e-Ghaus-e-Paak

Jameel The Qaadiri Belongs To That Raza
In Whose Pleasure Is The Pleasure of Ghaus e Paak

Sharing Is Caring:

Leave a Comment