Asghar e besheer noha lyrics

Asghar e besheer noha lyrics

 

Asghar-e-Be-Sheer Jaisi Qabar Hai Abbas Ki Lyrics In Urdu and Roman Urdu

اصغرِؑ بے شیر جیسی قبر ہے عباسؑ کی

Ro Rahi Hain Soch Kar Ummul Baneen Ye Aaj Bhi.
Asghar-e-Be-Sheer Jaisi Qabar Hai Abbas Ki.

Rashk Karti Thi Main Aaks-e-Haider-e-Karar Par.
Paon Khat Daite The Oss ke Baith Kar Rahwar Par.
Haye Mere Shair Ki Ye Kaisi Halat Ho Gayi.

Mar Ke Bhi Oss Ne Nibhaya Mujh Se Jo Wada Kiya.
Apne Baite Ki Wafa Par Fakhar Hai Mujh Ko Bara.
Ab Nahi Asghar Ki Maa Se Kuch Mujhe Sharmindagi.

Baap Ke Badle Musalmano Ne Baite Se Liye.
Sar Juda Tan Juda Bazo Hai Shair Ke.
Aap Ki Tasveer Tukre Ho Gayi Hai Ya Ali.

Koan Lar Sakta Tha Oss Se Kis Mein Tha Itna Jigar.
Sunti Hoon No Lakh Ne Mara Hai Oss Ko Ghair Kar.
Lash Bhi Oss Ki Salamat Dasht Mein Rehne Na Di.

Kya Qad-o-Qamat Thi Oss Ki Ye Osse Maloom Tha.
Aik Gathri Mein Simat Kar Kaise Qasim Aa Giya.
Um-e-Farwa Janti Hai Kya Hai Meri Be Kasi.

Kab Samata Tha Meri Chadar Mein Tu Aye Mere Lal.
Kar Diya Hai Zalimo Ne Ye Tere Lashe Ka Hal.
Hai Mere Sar Ki Rida Bhi Teri Turbat Se Bari.

Keh Ke Ye Abbas Karta Hai Wo Ashkon Se Wozu.
Darti Hoon Jari Na Ho Phir Oss Ki Aankhon Se Lahu.
Samne Abid Ke Youn Kehti Nahi Hoon Main Kabhi.

Ro Keh Karti Hai Salam Oss Ko :TAKALLUM: Karbala.
Fatima Zahra Se Maa Baite Ne Ki Aise Wafa.
Madar-e-Abbas Ki Turbat Bhi Hai Tooti Hoi

Poet: :Mir Takallum Mir:
Noha Khowan: :Mir Hassan Mir:
Noha Volume: :Mir Hassan Mir 2015-16:

#AsghareBeSheerJaisi
#NohayLyrics

 

 

 

Sharing Is Caring:

Leave a Comment