Azan Ka Tarika | Azan Kaise Dein aur Azan Ka Jawab Kaise Dein

Masjid ke bahari hisse mein oonchi jagah par Qibla (क़िबला) ki taraf munh karke khada ho aur kaano ke surakhon mein kalime ki ungliyan (index fingers) daal kar buland aawaz se “Allahu Akbar, Allahu Akbar” kahe. Phir zara thehar kar “Allahu Akbar, Allahu Akbar” kahe.

Phir zara thehar kar do martaba “Ashhadu al-la ilaha illallah” kahe. Phir do martaba thehar-thehar kar “Ashhadu anna Muhammadar-Rasoolullah” kahe.

Phir dahini (right) taraf munh pher kar do martaba “Hayya ‘alas-salah” kahe. Phir baayein (left) taraf munh karke do martaba “Hayya ‘alal-falah” kahe. Phir Qibla ki taraf munh kar le aur “Allahu Akbar, Allahu Akbar” kahe. Phir ek martaba “La ilaha illallah” kahe.


Fajr Ki Azan Ka Tarika (Fajr Azan Method)

Maslah: Fajr ki azan mein ‘Hayya ‘alal-falah’ ke baad do martaba “Assalatu khairum-minan-naum” (नमाज़ नींद से बेहतर है) bhi kahe, kyunki yeh mustahab hai.

Azan ke baad pehle Durood Shareef padhein, phir azan dene wala aur azan sunne wale sab milkar azan ke baad ki dua padhein.


Azan Ka Jawab Kaise Dein? (Azan Ka Jawab)

Jab azan sunein to azan ka jawab dene ka hukm hai. Azan ke jawab ka tarika yeh hai ki azan kehne wala (Moazzin) jo kalima kahe, sunne wala bhi wahi kalima dohrae.

  • Hayya ‘alas-salah aur Hayya ‘alal-falah ke jawab mein:

    “La hawla wa la quwwata illa billahil-‘aliyyil-‘azeem” kahe. (Behtar yeh hai ke dono kahein).

  • Fajr ki azan mein jab Moazzin “Assalatu khairum-minan-naum” kahe, to jawab mein:

    “Sadaqta wa bararta wa bil-haqqi nataqta” kahe.

Maslah (Durood aur Angoothon ko Choomna):
Jab Moazzin “Ashhadu anna Muhammadar-Rasoolullah” kahe, to sunne wale ko Durood Shareef padhna chahiye. Aur mustahab yeh hai ke apne angoothon (thumbs) ko bosa (kiss) dekar aakhon se lagaye aur kahe: “Qurratu ‘aini bika ya Rasoolallah”(Ref: Raddul Muhtar, Jild 1, Safa 268, Misr)

Azan ke Jawab se Jude Zaroori Masail:

  1. Khutbah ki Azan: Khutbah ki azan ka jawab zuban se dena muqtadiyo (namaziyon) ko jaiz nahi hai. (Ref: Durre Mukhtar, Jild 1, Safa 268)

  2. Junub (Ritual Impurity): Junub (jis par ghusl farz ho) bhi azan ka jawab de sakta hai.

  3. Inke Liye Jawab Nahi: Haiz (menses) aur nifas (postnatal bleeding) wali aurat par, jima’a (intimacy) mein mashgool shakhs par, aur peshab-pakhana (toilet) karne wale par azan ka jawab dena nahi hai. (Ref: Durre Mukhtar, Safa 265)


Salat-o-Salam Padhna (Tasweeb)

Azan aur Iqamat ke darmiyan mein “Assalatu wassalamu alaika ya Rasoolallah” ya is qism ke doosre kalimaat namaz ke elaan-e-saani ke taur par buland aawaz se pukarna jaiz balki mustahab hai. Isko sharee’at ki istelah mein “Tasweeb” (तसवीब) kehte hain.

Tasweeb Maghrib ke ilawa baqi namazon mein mustahab hai. Tasweeb ke liye koi khaas kalimat sharee’at mein muqarrar nahi hain, balki us shehar mein jin lafzon ke sath tasweeb kehte hon, un lafzon se tasweeb kehna mustahab hai. (Ref: Fatawa Alamgiri, Jild 1, Safa 53)


Iqamat Ka Tarika (Iqamat Rules)

Iqamat bilkul azan hi ki tarah hai, magar chand baaton mein farq hai:

  • Azan ke kalimat thehar-thehar kar kahe jate hain, jabki Iqamat ke kalimat jaldi-jaldi kahe jate hain (darmiyan mein sakta na karein).

  • Iqamat mein ‘Hayya ‘alal-falah’ ke baad do martaba “Qad qamatis-salah” (क़द का-म-तिस्सलात) bhi kahein.

  • Azan mein aawaz bohot buland karne ka hukm hai, magar Iqamat mein aawaz sirf itni oonchi ho ki masjid mein haazir tamam logon tak pahunch jaye.

  • Iqamat mein kaano ke andar ungliyan nahi daali jayengi.

  • Azan masjid ke bahar padhne ka hukm hai, jabki Iqamat masjid ke andar padhi jayegi.

Maslah (Imam ka aage badhna):
Agar Imam ne khud Iqamat kahi, to “Qad qamatis-salah” ke waqt aage badh kar musalla par chala jaye. (Ref: Durre Mukhtar, Raddul Muhtar)
Iqamat mein bhi ‘Hayya ‘alas-salah’ aur ‘Hayya ‘alal-falah’ ke waqt dahini aur baayin taraf munh pherein. (Ref: Durre Mukhtar)

Maslah (Khade hone ka waqt):
Iqamat hote waqt agar koi shakhs masjid mein aaye, to use khade hokar intezar karna makrooh hai, balki use chahiye ke baith jaye. Jab Mukabbir ‘Hayya ‘alal-falah’ kahe, us waqt khada ho. Jo log pehle se masjid mein baithein hain, woh bhi baithein rahein aur jab ‘Hayya ‘alal-falah’ kaha jaye, us waqt khade hon. Yehi hukm Imam ke liye bhi hai. (Ref: Fatawa Alamgiri, Safa 53)

Aaj kal aksar jagah yeh hota hai ki jab tak Imam khada na ho jaye, us waqt tak Iqamat nahi kahi jati. Yeh tarika khilaf-e-sunnat hai. Allah Ta’ala sabhi ko sunnat par sahi tarike se amal karne ki taufiq ata farmaye.

Iqamat Ka Jawab:
Iqamat ka jawab dena mustahab hai. Iqamat ka jawab bhi azan hi ke jawab ki tarah hai, bas farq itna hai ke “Qad qamatis-salah” ke jawab mein yeh kahein:

“Aqa-mahallahu wa ada-maha ma damatis-samawatu wal-ard” (Ref: Fatawa Alamgiri, Safa 54)


How to Give Adhan for Fajr Prayer (Arabic & English Translation)

  • Allahu akbar (4 times)
    Translation: Allah is the greatest.

  • Ashhadu an la ilaha illallah (2 times)
    Translation: I testify that there is no god but Allah.

  • Ashhadu anna Muhammadar Rasoolullah (2 times)
    Translation: I testify that Muhammad is Allah’s messenger.

  • Hayya ‘alas-salah (2 times) — Turn face slightly to the right.
    Translation: Come to prayer.

  • Hayya ‘alal-falah (2 times) — Turn face slightly to the left.
    Translation: Come to success.

  • Assalatu khairum-minan-naum (2 times) — Only in Fajr.
    Translation: Salat is better than sleep.

  • Allahu akbar (2 times)
    Translation: Allah is the greatest.

  • La ilaha illallah (1 time)
    Translation: There is no god but Allah.


Azan Ka Jawab Kaise Dein? (Most Asked Q&A)

Q1: “Hayya ‘alas-salah” aur “Hayya ‘alal-falah” ke jawab mein “La hawla wa la quwwata illa billah” kyun padha jata hai?

Jawab: Jab Moazzin pukarta hai “Aao namaz ki taraf, aao kamyabi ki taraf”, to iske jawab mein “La hawla…” padhne ka matlab yeh hai ki: “Burai se bachne ki taqat aur neki karne ki taqat sirf Allah hi ki taufiq se hasil hoti hai.” Hum jo bhi neki karte hain ya namaz ke liye masjid jate hain, woh sirf Allah ke fazl aur uski taufiq se hi mumkin hai.

Q2: Ek sath kai masjido se azan ki aawaz aaye to kis azan ka jawab dein?

Jawab: Sabse pehle jis azan ki aawaz aapke kaano mein padi ho, usika jawab dein. Ya phir jo masjid aapke ghar ke sabse kareeb ho, uski azan ka jawab dena chahiye.

Q3: Fajr ki azan ka jawab kaise dein?

Jawab: Jab Moazzin kahe “Assalatu khairum-minan-naum”, to sunne wale ko jawab mein “Sadaqta wa bararta” (यक़ीनन तुम ने सच कहा और बड़ा नेकी का काम किया) kehna chahiye.

Q4: Kya na-paki (impurity) ki halat mein azan ka jawab de sakte hain?

Jawab: Haan, bilkul de sakte hain. Na-paki ki halat mein Quran ki tilawat karna ya use chhuna mana hai, lekin uske ilawa jitne bhi zikr-o-azkar, durood shareef aur tasbeeh hain, unhe padha ja sakta hai.

Q5: Quran ki tilawat ke waqt azan shuru ho jaye to kya karein?

Jawab: Mustahab (pasandida) tarika yeh hai ki Quran Sharif band karke pehle azan ka jawab dein, aur azan mukammal hone ke baad dubara tilawat shuru karein.

Q6: Kya toilet ya bathroom mein azan ka jawab de sakte hain?

Jawab: Nahi, toilet ya bathroom mein azan ka jawab nahi dena chahiye.

Leave a Comment