aap hain bahaar ya nabi lyrics

aap hain bahaar ya nabi lyrics

 

aap hai.n bahaar, ya nabi !
dil ka hai.n qaraar, ya nabi !

hai.n rutbe aap ki wajah
jitne aae ambiya
aap hai.n saalaar, ya nabi !
dil ka hai.n qaraar, ya nabi !

aap hai.n bahaar, ya nabi !
dil ka hai.n qaraar, ya nabi !

chehre pe ho.n raunaqe.n
lab KHushi se khil uThe.n
kahu.n mai.n jitni baar, ‘ya nabi’
dil ka hai.n qaraar, ya nabi !

aap hai.n bahaar, ya nabi !
dil ka hai.n qaraar, ya nabi !

jab talak hai jaa.n me.n jaa.n
mile jo doosra jahaa.n
karu.n mai.n tujh se pyaar, ya nabi !
dil ka hai.n qaraar, ya nabi !

aap hai.n bahaar, ya nabi !
dil ka hai.n qaraar, ya nabi !

shafaa’ato.n ki KHair de
apni kamli ke tale
chhupaae.n KHaaksaar, ya nabi !
dil ka hai.n qaraar, ya nabi !

aap hai.n bahaar, ya nabi !
dil ka hai.n qaraar, ya nabi !

kahe na kyu.n ye Haidri
abu-bakar, ‘umar, Gani
‘ali bhi tere yaar, ya nabi !
dil ka hai.n qaraar, ya nabi !

aap hai.n bahaar, ya nabi !
dil ka hai.n qaraar, ya nabi !

Leave a Reply

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.

%d bloggers like this: