namaz e hajat ka tarika

NAMAAZE HAAJAT:

Abu daawood me hai Hazrate Huzaifa Radiyallaahu Ta’ala Anhu farmate hai ki jab Huzur Swallallaahu alaihi wa sallam ko koyi aham muamila peish aata toh aap uske liye doo ya chaar rakaat namaaz padhte.

Hadees shareef me hai pehli rakaat me sure fatiha aur teen baar ayatal kursi padhe aur baaki teen rakaato me sure fatiha, qulhuwallaahu, qulaauzubi rabbil falaq aur qul aauzubi rabbinnaas ek ek baar padhe toh yeh aisi hai jaise shabe qadr me chaar rakaate padhi, mashaayiq farmate hai ki hamne yeh namaaz padhi aur hamari haajate(zarurate) poori huwi.

 

Leave a Reply

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.

%d