salatul tasbeeh ki namaz ka tarika

 

 

SALATUT TASBEEH:

Salatut tasbeeh me beinteha sawaab hai, baaz muhaqqiqeen farmaate hai ki uski buzurgi sunkar tark na karega magar deen me susti karne waala hadees shareef me hai ki Huzur Swallallaahu alaihi wa sallam ne Hazrate Abbas Radiyallaahu Anhu se farmaya ki “Aye chacha agar tum se ho sake toh salatut tasbeeh roz ek baar padho, agar roz na ho sake toh har jum’a ko ek baar padho aur yeh bhi na ho sake toh har mahine me ek baar padho aur yeh bhi na ho sake toh har saal me ek baar padho aur yeh bhi na ho sake toh umr me ek baar padho”. Iss namaaz ki tarkeeb sunne Tirmizi me Hazrate Abdullah ibne Mubaarak se iss tarah mazkoor hai ki takbeer tehrima ke baad sana padhe phir pandrah(15) baar yeh tasbeeh padhe – “SUBHANALLAAHI WALHAMDU LILLAHI WALA ILAHA ILLALAAHU WALLAAHU AKBAR” phir Taouz, Tasmiya, Sure Fatiha aur Surat padh kar dass baar upar waali tasbeeh padhe phir ruku kare aur ruku me dass baar padhe phir ruku se sar uthaaye Tasmia-wa-Tehmeed ke baad dass baar wahi tasbeeh padhe phir sajde ko jaaye aur usme dass martaba padhe phir sajda se sar uthaaye toh dass baar padhe phir dusre sajde me jaaye toh dass baar padhe. Iss tarah chaar rakaat padhe aur ruku wa sujood me “SUBHANA RABBIAL AZEEM” aur “SUBHANA RABBIAL AALA” kehne ke baad tasbeeh padhe.

 

Leave a Reply

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.

%d bloggers like this: