Fikar-e- Insan Par Teri Hasti Se Yeh Roshan Huwa Lyrics
Mirza Ghalib
Fikar-e- Insan Per Teri Hasti Se Ye Roshan Huwa
Hai Per-e-Muragh-e-Takhayul Ki Rasayi Ta Kuja
Tha Sarapa Rooh Tu, Bazm-e- Sukhan Pekar Tera
Zaib-E-Mehfil Bhi Raha, Mehfil Se Pinhan Bhi Raha
Deed Teri Aankh Ko Uss Husn Ki Manzoor Hai
Ban Ke Souz e-Zindagi Her Shay Mein Jo Mastoor Hai
Mehfil-e-Hasti Teri Barbat Se Hai Sarmayadar
Jis Tarah Naddi Ke Naghmon Se Sakoot-E-Kohsar
Tere Ferdous-e-Takhayul Se Hai Qudrat Ki Bahar
Teri Kisht-e-Fikar Se Ugte Hain Aalam Sabza War
Zindagi Muzmer Hai Teri Shaukhi-e-Tehreer Mein
Tab-E-Goyai Se Junbish Hai Lab-e-Tasveer Mein
Nutaq Ko So Naz Hain Tere Lab-e-Ejaz Per
Mehv-e-Hairat Hai Surayya Rifat-e- Parwaz Per
Shahid-e-Mazmoon Tassaduq Hai Tere Andaz Per
Khandazan Hai Guncha-e-Dilli Gul-e-Shiraz Per
Aah! Tu Ujhari Huwi Dilli Mein Aaramida Hai
Gulshan-e-Weimar* Mein Tera Humnawa Khawabida Hai
* Weimar : Germani Ka Mashoor Shayar Goethe Iss Jagha Madfoon Hai
Lutaf-e-Goyai Mein Teri Humsari Mumkin Nahin
Ho Takhayyul Ka Na Jab Tak Fikar-e-Kamil Hum Nasheen
Haye! Ab Kya Ho Gyi Hindustan Ki Ser Zameen
Ah! Ae Nazara Aamoz-e-Nigah-e-Nukta Been
Gaisuay Urdu Abhi Mannat Pazeer-e-Shana Hai
Shama Ye Sodai-e-Dilsozi-e-Perwana Hai
Ae Jahan Abad! Ae Gehwara-e-Ilam-o-Hunar
Hain Sarapa Nala-e-Khamosh Tere Baam-o-Der
Zarre Zarre Mein Tere Khabidah Hein Shamas-o-Qamar
Yun To Poshida Hain Teri Khak Mein Lakhon Gohar
Dafan Tujh Mein Koi Fakhar-e-Rozgar Aesa Bhi Hai?
Tujh Mein Pinhan Koi Moti Aab Dar Aesa Bhi Hai?