thay diyar e nau zameen o aasman mere liye Lyrics
Ehad-e-Tifli
the diyar e nau zameen o aasman mere liye
wussat e aaghaush e madar ek jahan mere liye
thi har ek junbish nishan e lutf e jaan mere liye
harf e be matlab thi khud meri zuban mere liye
dard, tiflee mein agar koi rulata tha mujhe
shorish e zanjeer e dar mein lutf aata tha mujhe
takte rehana haye! vo pehron talak suay qamar
vo phate badal mein be aawaz e paa uss ka safar
pochna reh reh ke uss ke koh o sehra ki khabar
aur vo herat darogh e muslahat aamaz per
aankh waqaf e deed thi, lab mayal e guftar tha
dil na tha mera, sarapa zauq e istafsar tha