Duniya Hai Ek Dasht Toh Gulzaar Aap Hain || Barkate Raza

Assalamu Alaikum. Aaj Hum Aap Ki Khidmat Mein Ustad Nusrat Fateh Ali Khan Sahab Ki Awaz Mein Padhne Waali Nihayat Hi Roohani Naat Shareef “Duniya Hai Ek Dasht Toh Gulzaar Aap Hain” Lekar Hazir Hue Hain. Humein Kamil Umeed Hai Ke Yeh Noorani Kalam Aap Ke Qalb Ko Ishq-E-Mustafa Se Bhar Dega.

Naat InformationDetails
Naat TitleDuniya Hai Ek Dasht Toh Gulzaar Aap Hain
Poet / WriterNabeel
CategoryNaat-E-Paak
Naatkhawan / ReciterNusrat Fateh Ali Khan
Book NameBarkate Raza Naat Book

Duniya Hai Ek Dasht Toh Gulzaar Aap Hain Lyrics In Roman

Duniya Hai Ek Dasht Toh Gulzaar Aap Hain
Duniya Hai Ek Dasht Toh Gulzaar Aap Hain

Iss Teergi Mein Qatra E Anwaar Aap Hain
Ye Bhi Sach Hai Ki Aapki Guftaar Hai Jabeen

Ye Bhi Hai Haq Ke Sahib E Kirdaar Aap Hain
O Aag Aftaab E Qayamat Ki Dhoop Mein

Mere Liye Toh Saaya E Deewaar Aap Hain
Mujhko Kisi Se Haajat E Chaaragari Nahin

Har Gham Mujhe Aziz Ke Ghamkhaar Aap Hain
Insaan Maal O Zar Ke Junoon Mein Hai Mubtila

Iss Hashar Mein ‘Nabeel’ Ko Darkaar Aap Hain
Iss Hashar Mein ‘Nabeel’ Ko Darkaar Aap Hain

Duniya Hai Ek Dasht Toh Gulzaar Aap Hain Lyrics In Hindi

दुनिया है एक दश्त तो गुलज़ार आप हैं
दुनिया है एक दश्त तो गुलज़ार आप हैं

इस तीरगी में क़तरा-ए-अनवार आप हैं
ये भी सच है कि आपकी गुफ़्तार है जबीं

ये भी है हक़ के साहिब-ए-किरदार आप हैं
ओ आग आफ़्ताब-ए-क़यामत की धूप में

मेरे लिए तो साया-ए-दीवार आप हैं
मुझको किसी से हाजत-ए-चारागरी नहीं

हर ग़म मुझे अज़ीज़ के ग़मख़्वार आप हैं
इन्सान माल-ओ-ज़र के जुनून में है मुब्तिला

इस हशर में ‘नबील’ को दरकार आप हैं
इस हशर में ‘नबील’ को दरकार आप हैं

Duniya Hai Ek Dasht Toh Gulzaar Aap Hain Lyrics In Urdu

دنیا ہے ایک دشت تو گلزار آپ ہیں
دنیا ہے ایک دشت تو گلزار آپ ہیں

اس تیرگی میں قطرہِ انوار آپ ہیں
یہ بھی سچ ہے کہ آپکی گفتار ہے جبیں

یہ بھی ہے حق کے صاحبِ کردار آپ ہیں
او آگ آفتابِ قیامت کی دھوپ میں

میرے لیے تو سایہِ دیوار آپ ہیں
مجھکو کسی سے حاجتِ چارہ گری نہیں

ہر غم مجھے عزیز کہ غمخوار آپ ہیں
انسان مال و زر کے جنون میں ہے مبتلا

اس حشر میں ’نبیل‘ کو درکار آپ ہیں
اس حشر میں ’نبیل‘ کو درکار آپ ہیں

Leave a Comment