Ehbaab Ki Soorat Ho Ke Aghyaar Ki Soorat Sufiana Shairi Ka Ek Behad Hi Dilkash Aur Maqbool Nuskha Hai Jis Mein Haqiqi Mohabbat Aur Tasawwuf Ke Gehray Rango Ko Nihayat Hi Sadgi Se Bayan Kiya Gaya Hai.
| Naat Information | Details |
| Naat Title | Ehbaab Ki Soorat Ho Ke Aghyaar Ki Soorat |
| Poet / Writer | Hazrat Wasif Ali Wasif |
| Category | Sufiana Kalam |
| Naatkhawan / Reciter | Various Reciters |
| Book Name | Unknown |
Ehbaab Ki Soorat Ho Ke Aghyaar Ki Soorat Lyrics In Roman
Ehbaab Ki Soorat Ho Ke Aghyaar Ki Soorat
Har Chehre Mein Aati Hai Nazar Yaar Ki Soorat
Jis Ankh Ne Dekha Tujhe Uss Ankh Ko Dekhun
Hai Iske Siwa Kya Tere Deedar Ki Soorat
Pehchaan Liya Tujhko Teri Sheesha Gari Se
Aati Hai Nazar Fann Se Hi Fankaar Ki Soorat
Sooorat Meri Ankhon Mein Samaayegi Na Koi
Nazaron Mein Bassi Rehti Hai Sarkaar Ki Soorat
Dil Haath Pe Rakha Hai Koi Hai Jo Khareede
Dekhun To Zara Main Bhi Khareedar Ki Soorat
Aye Mere Dil Ke Khareedar Kahan Jaata Hai
Muft Sauda Hai Arre Yaar Kahan Jaata Hai
Ashqon Ne Bayaan Kar Hi Diya Raaz E Tamanna
Ham Soch Rahe The Abhi Izhaar Ki Soorat
‘Wasif’ Ko Sarre Daar Pukaara Hai Kisi Ne
Inkaar Ki Soorat Hai Na Izhaar Ki Soorat
Hasrat E Khuld Nahi Aarzu E Hoor Nahi
Tere Jalwon Ke Siwa Kuch Mujhe Manzoor Nahi
Ehbaab Ki Soorat Ho Ke Aghyaar Ki Soorat Lyrics In Hindi
अहबाब की सूरत हो के अग़्यार की सूरत
हर चेहरे में आती है नज़र यार की सूरत
जिस आँख ने देखा तुझे उस आँख को देखूँ
है इसके सिवा क्या तेरे दीदार की सूरत
पहचान लिया तुझको तेरी शीशा गरी से
आती है नज़र फ़न से ही फ़नकार की सूरत
सूरत मेरी आँखों में समाएगी न कोई
नज़रों में बसी रहती है सरकार की सूरत
दिल हाथ पे रखा है कोई है जो खरीदे
देखूँ तो ज़रा मैं भी खरीदार की सूरत
ऐ मेरे दिल के खरीदार कहाँ जाता है
मुफ़्त सौदा है अरे यार कहाँ जाता है
अश्क़ों ने बयान कर ही दिया राज़-ए-तमन्ना
हम सोच रहे थे अभी इज़हार की सूरत
‘वासिफ़’ को सरे दार पुकारा है किसी ने
इन्कार की सूरत है न इज़हार की सूरत
हसरत-ए-ख़ुल्द नहीं आरज़ू-ए-हूर नहीं
तेरे जल्वों के सिवा कुछ मुझे मन्ज़ूर नहीं
Ehbaab Ki Soorat Ho Ke Aghyaar Ki Soorat Lyrics In Urdu
احباب کی صورت ہو کہ اغیار کی صورت
ہر چہرے میں آتی ہے نظر یار کی صورت
جس آنکھ نے دیکھا تجھے اس آنکھ کو دیکھوں
ہے اس کے سوا کیا تیرے دیدار کی صورت
پہچان لیا تجھ کو تیری شیشہ گری سے
آتی ہے نظر فن سے ہی فنکار کی صورت
صورت میری آنکھوں میں سمائے گی نہ کوئی
نظروں میں بسی رہتی ہے سرکار کی صورت
دل ہاتھ پہ رکھا ہے کوئی ہے جو خریدے
دیکھوں تو ذرا میں بھی خریدار کی صورت
اے میرے دل کے خریدار کہاں جاتا ہے
مفت سودا ہے ارے یار کہاں جاتا ہے
اشکوں نے بیان کر ہی دیا رازِ تمنا
ہم سوچ رہے تھے ابھی اظہار کی صورت
’واصف‘ کو سرِ دار پکارا ہے کسی نے
انکار کی صورت ہے نہ اظہار کی صورت
حسرتِ خلد نہیں آرزوئے حور نہیں
تیرے جلووں کے سوا کچھ مجھے منظور نہیں