Nana Hai Lajawab Nawasa Hai Lajawab Lyrics

Nana Hai Lajawab Nawasa Hai Lajawab Lyrics

 

Nana Hai Lajawab Nawasa Hai Lajawab lyrics

 

 

Nana hai lajawab nawasa hai lajawab

Donon Jahan mein aapka kumba hi lajawab.

 

Apne lahu se sincha Hai Islam ka chaman

Pyare Husain Tera Gharaana hai lajawab.

 

Uski misal laye zamane Mein dam nahin

Beti rasule Pak ki zehra hain lajawaab.

 

Khayber ka Kila hath se jinke phateh hua

Damad rasule Pak ka Haider hai lajawab.

 

Mukhtar e kaynaat Nahin Koi doosra

Yani Hassan Hussain ka Nana hai lajawab.

 

 

 

Tere to wasf aibe tanahi see Hain baree

Ahmad Raza ki naat ka Misra hai lajawab.

 

Wo peer jisko dekh Kar aaye khuda Ki yaad

Tajushariya ka Mere chehra hai Lajawab.

 

 

Sharing Is Caring:

Leave a Comment