Huzoor Mufti-e-Azam Hind, Shah Mustafa Raza Khan “Noori” Barelvi Alaihirrahma ka ye nihayat hi maqbool aur roohani kalam hai jo har momin ke dil ko josh-o-musarrat se bhar deta hai. Is naat-e-paak me sarkar-e-do-jahan ki aamad, unki rehmat aur unki bemisaal ataaon ko nihayat hi khoobsurat aur asardaar andaz me bayaan kiya gaya hai. Aaiye is pakiza kalam ke zariye sarkar-e-madina ki bargah-e-ali me apni sachi aqeedat aur mohabbat ka nazrana pesh karein.
| Naat Information | Details |
| Naat Title | Rusul Unhi Ka To Muzdah Sunane Aaye Hain |
| Poet / Writer | Mufti-e-Azam Hind Shah Mustafa Raza Khan Noori |
| Category | Naat-e-Rasool ﷺ / Kalam-e-Noori |
| Naatkhawan / Reciter | Multiple Reciters |
Naat Lyrics in Roman
Rusul Unhi Ka To Muzdah sunane Aaye Hai
Unhi Ke Aane Ki Khushiya Manane Aaye Hai
Firishte Aaj Jo Dhume Machane Aaye Hai
Unhi Ke Aane Ki Shadi Rachane Aaye Hai
Falak Ke Hur O Malak Geet Gaane Aaye Hai
Ki Do Jahan Me Ye Danke Bajane Aaye Hai
Ye Bhoole Bichdo Ko Raste Pe Laane Aaye Hai
Ye Bhoole Bhatko Ko Hadi Banane Aaye Hai
Chamak Se Apni Jahan Jagmagane Aaye Hai
Mahak Se Apni Ye Kunche Basane Aaye Hai
Naseem E Faiz Se Gunche Khilane Aaye Hai
Karam Ki Apni Bahaare Dikhane Aaye Hai
Yahi To Sote Huwo Ko Jagane Aaye Hai
Yahi To Rote Huwo Ko Hasane Aaye Hai
Unhe Khuda Ne Kiya Apne Milk Ka Maalik
Unhi Ke Qabze Me Rabb Ke Khazane Aaye Hai
Jo Chahenge Jise Chahenge Ye Use Denge
Kareem Hai Ye Khazane Lutane Aaye Hai
Rauf Aise Hai Ye Aur Raheem Hai Itne
Ki Girte Padto Ko Seene Lagane Aaye Hai
Sunoge “La” Na Zabaan E Kareem Se Noori
Ye Faiz O Jood Ke Dariya Bahane Aaye Hai
Naat Lyrics in Hindi
रसूल उन्हीं का तो मुज़दह सुनाने आए हैं
उन्हीं के आने की खुशियां मनाने आए हैं
फ़रिश्ते आज जो धूमें मचाने आए हैं
उन्हीं के आने की शादी रचाने आए हैं
फ़लक के हूर ओ मलक गीत गाने आए हैं
कि दो जहाँ में ये डंके बजाने आए हैं
ये भूले बिछड़ों को रस्ते पे लाने आए हैं
ये भूले भटकों को हादी बनाने आए हैं
चमक से अपनी जहाँ जगमगाने आए हैं
महक से अपनी ये कूचे बसाने आए हैं
नसीम-ए-फ़ैज से ग़ुंचे खिलाने आए हैं
करम की अपनी बहारें दिखाने आए हैं
यही तो सोते हुओं को जगाने आए हैं
यही तो रोते हुओं को हंसाने आए हैं
उन्हें ख़ुदा ने किया अपने मुल्क का मालिक
उन्हीं के क़ब्ज़े में रब्ब के ख़ज़ाने आए हैं
जो चाहेंगे जिसे चाहेंगे ये उसे देंगे
करीम हैं ये ख़ज़ाने लुटाने आए हैं
रऊफ़ ऐसे हैं ये और रहीम हैं इतने
कि गिरते पड़तों को सीने लगाने आए हैं
सुनोगे “ला” न ज़बान-ए-करीम से नूरी
ये फ़ैज़-ഓ-जूद के दरिया बहाने आए हैं
Naat Lyrics in Urdu
رسل انہیں کا تو مژدہ سنانے آئے ہیں
انہیں کے آنے کی خوشیاں منانے آئے ہیں
فرشتے آج جو دھومیں مچانے آئے ہیں
انہیں کے آنے کی شادی رچانے آئے ہیں
فلک کے حور و ملک گیت گانے آئے ہیں
کہ دو جہاں میں یہ ڈنکے بجانے آئے ہیں
یہ بھولے بچھڑوں کو رستے پہ لانے آئے ہیں
یہ بھولے بھٹکوں کو ہادی بنانے آئے ہیں
چمک سے اپنی جہاں جگمگانے آئے ہیں
مہک سے اپنی یہ کوچے بسانے آئے ہیں
نسیمِ فیض سے غنچے کھلانے آئے ہیں
کرم کی اپنی بہاریں دکھانے آئے ہیں
یہی تو سوتے ہوؤں کو جگانے آئے ہیں
یہی تو روتے ہوؤں کو ہنسانے آئے ہیں
انہیں خدا نے کیا اپنے ملک کا مالک
انہیں کے قبضے میں رب کے خزانے آئے ہیں
جو چاہیں گے جسے چاہیں گے یہ اسے دیں گے
کریم ہیں یہ خزانے لٹانے آئے ہیں
رؤف ایسے ہیں یہ اور رحیم ہیں اتنے
کہ گرتے پڑتوں کو سینے لگانے آئے ہیں
سنو گے “لا” نہ زبانِ کریم سے نوریؔ
یہ فیض و جود کے دریا بہانے آئے ہیں