Meer Sayyed Noor-ud-deen Mubarak Ghaznawi | Sayyed Noorud-deen Ghaznawi Biography
Alqaab :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Shaikh-ul-Islaam, Meer-e-Delhi.
Aap ke waalid ka naam Hazrat Abdullāh bin Sharf-ud-deen al-Husaini hai.
Aap Husaini saadaat hain.
Aap ne Hazrat Shaikh Shahaab-ud-deen Umar Suharwardi rahmatullāhi alaihi se ta’aleem haasil ki.
Phir Aap Baghdad se Delhi tashreef laaye.
Sultaan Shams-ud-deen Altamash ne Aap ko Delhi ke ‘Shaikh-ul-Islaam’ muqarrar kiya tha.
Aap ne ‘Deen Panaahi’ ke liye Sultaan ko 4 Qaanoon bataaye the :
(1) Kufr o Shirk (But-parasti) ko door karna chaahiye.
(2) Badkaari, ayyaashi aur gunaah ko rokna chaahiye.
(3) Shara’i qaanoon laagu karne ke liye nek aur muttaqi logo ko muqarrar karna chaahiye.
(4) Mulk me Adl o insaaf qaa’im rakhna chaahiye.
Aap Hazrat Shaikh Shahaab-ud-deen Umar Suharwardi rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.
Aap ne Hazrat Shaikh Muhammad Ajal Shirazi rahmatullāhi alaihi se bhi faiz haasil kiya hai.
Aap ke khalifa Hazrat Sayyed Najm-ud-deen Shaah Qalandar rahmatullāhi alaihi hain.
Aap ka wisaal 13 Rabi uṡ Ṡaani 632 Hijri (January 1235 A.D.) ko hua.
Aap ka mazaar Shamsi Hauz ke qareeb Mehrauli, Delhi me hai.
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Meer Sayyed Noor-ud-deen Mubarak Ghaznawi rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle bait ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.