Hazrat Aasif Ka Likhha Hua Yeh Ek Nihayat Hi Pur-Dard Aur Maqbool-E-Aam Kalam-E-Naat Hai.
Is Pyare Kalam Me Toote Hue Dil Ki Tadap Aur Madina-E-Munawwara Ki Baad-E-Saba Ka Bohat Khoobsurat Zikr Kiya Gaya Hai.
Aaiye Is Barkat-Bhare Aur Ruhani Naat Kalam Ka Nihayat Hi Adab Ke Saath Mutala Karein.

Naat Information Details
Naat Title Iss Toote Huye Dil Ki Pur-Dard Kahani Hai
Poet / Writer Hazrat Aasif
Category Urdu Naat Lyrics
Naatkhawan / Reciter Asad Raza Attari
Book Name Unknown

Iss Toote Huye Dil Ki Pur-Dard Kahani Hai Lyrics In Roman

Iss Toote Huye Dil Ki Pur-Dard Kahani Hai
Jo Sarwar-E-Aalam Ko Khud Jaake Sunaani Hai

Behta Meri Aankhon Se Har Waqt Jo Paani Hai
Ye Ishq-E-Muhammad Ki Ek Khaas Nishaani Hai

Aye Baad-E-Saba Ley Aa Kuch Khaak Madine Ki
Ye Khaak-E-Shifa Maine Aankhon Me Lagani Hai

Ho Lakh Gunahoñ Par, Nisbat Hai Madine Se
Har Baat Meri Mere Aaqa Ne Banaani Hai

‘Ma-Zaagh’ Ka Ghazala Hai, ‘Wash-Shams’ Ka Chehra Hai
Ek Mai Hi Nahi Shehdaa, Duniya Hi Deewani Hai

Be-Sood Hai Ye ‘Aasif’ Ye Dard Inhe Kehna
Ye Sarwar-E-Aalam Ko Ro Ro Ke Sunaani Hai

Iss Toote Huye Dil Ki Pur-Dard Kahani Hai Lyrics In Hindi

इस टूटे हुए दिल की पुर-दर्द कहानी है
जो सरवर-ए-आलम को ख़ुद जाके सुनानी है

बहता मेरी आँखों से हर वक़्त जो पानी है
ये इश्क़-ए-मुहम्मद की इक ख़ास निशानी है

ऐ बाद-ए-सबा ले आ कुछ ख़ाक मदीने की
ये ख़ाक-ए-शिफ़ा मैंने आँखों में लगानी है

हों लाख गुनाहों पर, निस्बत है मदीने से
हर बात मेरी मेरे आक़ा ने बनानी है

‘मा-ज़ाग़’ का ग़ज़ाला है, ‘वश-शम्स’ का चेहरा है
इक मैं ही नहीं शैदा, दुनिया ही दीवानी है

बे-सूद है ये ‘आसिफ़’ ये दर्द इन्हें कहना
ये सरवर-ए-आलम को रो रो के सुनानी है

Iss Toote Huye Dil Ki Pur-Dard Kahani Hai Lyrics In Urdu

اس ٹوٹے ہوئے دل کی پر درد کہانی ہے
جو سرورِ عالم کو خود جا کے سُنانی ہے

بہتا میری آنکھوں سے ہر وقت جو پانی ہے
یہ عشقِ محمد کی اک خاص نشانی ہے

اے بادِ صبا لے آ کچھ خاک مدینے کی
یہ خاکِ شفا میں نے آنکھوں میں لگانی ہے

ہوں لاکھ گناہوں پر، نسبت ہے مدینے سے
ہر بات میری میرے آقا نے بنانی ہے

‘ما زاغ’ کا غزالہ ہے، ‘والشمس’ کا چہرہ ہے
اک میں ہی نہیں شیدا، دنیا ہی دیوانی ہے

بے سود ہے یہ ‘آصفؔ’ یہ درد انہیں کہنا
یہ سرورِ عالم کو رو رو کے سُنانی ہے