Dile dardmand ki dastan na kahu ju tum se to kiya karu naat lyrics
Dile dardmand ki dastan
Dil e dard mand ki dastan na kahun ju tum se, to kiya karun
Tum hi ghamzadon ke ho qadr dan na kahun ju tum se to kiya karun
Mere haal par bhi raham karo main kahon ju arz wo sun tu lo
Mere baap maa se ho mehrban na kahun jo tum se to kiya karun
Dame naza aesi hey bebasi nahi sath dete hawas bhi
Mujeh chood jata he karwan na kahun ju tum se to kiya karun
Jo lahad me mujh se suwal ho tum hi aake us ka jawab do
Ye bahut hi saqt he imtehan na kahun ju tum se to kiya karun
Jo amir dekhe nabi idhar to kahun ye haton ko jod kar ke
Tadapte dil ko main neem jaan na kahun ju tum se to kiya karun