Badal Ya Fard Jo Kamil Hai Ya Ghous Lyrics
Badal yaa fard jo kaamil hay Yaa Ghaus
Tere hi dar sey mustakmil hay Yaa Ghaus
Jo teri yaad sey zaahil hay Yaa Ghaus
Wo zikrullah sey ghaafil hay Yaa Ghaus
Anas sayyaaf sey jaahil hay Yaa Ghaus
Jo tere fazl par saail hay Yaa Ghaus
Sukhan hain asfiyaa tu maghz e ma’ani
Badan hain auliya tu dil hay Yaa Ghaus
Agar wo jism e ‘irfaan hain to tu aankh
Agar woh aankh hain tu til hay Yaa Ghaus
Uloohiyyat nabuwwat key siwaa tu
Tamaam afzaal ka qaabil hay Yaa Ghaus
Nabi key qadmon par hay juz e nabuwwat
Keh khatm is raah mein haail hay Yaa Ghaus
Uloohiyyat hi Ahmad ney nah paayi
Nabuwwat hi sey tu ‘aatil hay Yaa Ghaus
Sahaabiyat huyi phir tabei’iyat
Bas aage Qaadiri manzil hay Yaa Ghaus
Hazaaron taabei’ sey toh fuzoon hay
Woh tabqa mujmalan faadhil hay Yaa Ghaus
Raha maidaan o shehrstaan e ‘irfaan
Tera ramna teri mehfil hay Yaa Ghaus
Yeh Chishti Soharwardi Naqshbandi
Har ek teri taraf maayil hay Yaa Ghaus
Teri chiriyaan hain tera daana paani
Tera mela teri mehfil hay Yaa Ghaus
Unhein tu Qaadri bai’at hay tajdeed
Woh haan khaati jo mustabdil hay Yaa Ghaus
Qamar par jaisey khur ka yoon tera qarz
Sab ahl e noor par faazil hay Yaa Ghaus
Ghalat kar dam toh waahib hay nah muqriz
Teri bakhshish tera naayil hay Yaa Ghaus
Koi kya jaane tere sar kaa rutba
Key talwa taaj e ahl e dil hay Yaa Ghaus
Mashaaikh mein kisi ko tujh pey tafzeel
Ba hukm e auliya baatil hay Yaa Ghaus
Jahaan dushwaar ho wahm e musaawaat
Yeh jur’aat kis qadar haayil hay Yaa Ghaus
Tere khuddaam key aagey hay ik baat
Jo aur aqtaab ko mushkil hay Yaa Ghaus
Use idbaar jo mudbir hay tujh sey
Woh zee Iqbaal jo muqbil hay Yaa Ghaus
Khuda key dar sey hay matrood o makhzool
Jo teraa taarak o khaazil hay Yaa Ghaus
Sitam kori wahaabi raafzi ki
Key hindu tak tera qaayil hay Yaa Ghaus
Woh kya jaanega fazl e Murtaza ko
Jo tere fazl ka jaahil hay Yaa Ghaus
Raza key saamne ki taab kis mein
Falak waar us pey tera zil hay Yaa Ghaus