Jo Nabi Ki Aal Se Door Hai Naat Lyrics
Jo nabi ki aal se door hai naat lyrics
Jo nabi ki aal se door hai naat lyrics
जो नबी की आल से दूर है
वो ज़रूरतों का ग़ुलाम है
जो क़रीब है वो ग़ुलाम भी
बा-ख़ुदा जहां का इमाम है
ये नमाज़ रोज़ा अज़ान सब
ये ह़यात हैं तो हुसैन से
जिसे उनके नाम से बैर है
उसे दोस्त कहना हराम है
मैं फ़िदा ए आले रसूल हूं
कोई पारसा है, हुआ करे
उसे अपने काम से काम है
मुझे अपने काम से काम है
मैं अली के दर का फ़क़ीर हूं
मेरे आगे कोई अमीर क्या
मेरी ठोकरो में यज़ीद है
मेरे लब पे ज़िक्रे इमाम है
मेरे दोस्तो मेरी शोहरतें
इसी कायनात में बांट दो
मैं ग़मे हुसैन में मस्त हूं
मेरा हर खुशी को सलाम है
ये नबी की आल है इसलिए
ये अली के शेर है इसलिए
जो ख़ुदा ने सबको दिया नहीं
मेरे पीर का वो मक़ाम है
Naat Khwan: Shakil Arfi
Jo nabi ki aal se door hai
Wo Zaruraton Ka Ghulam hai
Jo qareeb hai wo ghulam bhi
Ba-khuda jahan ka imam hai
Ye namaz roza azan sab
Ye hayaat hai, to hussain se
Jise unke naam se bair hai
Use dost kahna haraam hai
Main fida e aale rasool hun
Koi paarsa hai, hua kare
Usey apne kaam se kaam hai
Mujhe apne kaam se kaam hai
Main ali ke dar ka faqeer hun
Mere aage koi ameer kya
Meri thokaron me yazeed hai
Mere lab pe zikr e imam hai
Mere dosto meri shohratein
Isi kainat me baant do
Main ghame hussain me mast hun
Mera har khushi ko salam hai
Ye nabi ki aal hai isliye
Ye ali ke sher hain isliye
Jo khuda ne sabko diya nahin
Mere peer ka wo maqaam hai
Mein ali ke dar ka faqir hun lyrics in hindi
Mein ali ke dar ka faqir hun lyrics in english