- Mat kar khaak k putley pe gharoor-0-beniazi itni…
Khud ko khudi mein jhaank kr dekh tujh mein rakha kya hai! - Rashq karta hai falak aesi zameen par,
Jispe do chaar gharri zikr e khuda hota hai.. - Karam jab Aaall-e-Nabi ka shareek hota hai,
Bigar bigar ke har kaam theek hota hai.. - Roz gunaah karta hu’n, woh chupata hai Apni Rehmat se,
Mein majboor apni Aadat se, woh mash’hoor Apni Rehmat se… - Khudaa ko aik mantey hain lekin,
Khudaa ki aik tak nahin mantey.. - Hawaa khilaaf thi lekin chiraag bhi khoob jala,
Khuda bhi apne honey ke kya kya saboot deta hai.. - Wohi rakhe ga mere ghar ko balaaon se mehfooz,
Jo shajjar se ghaunslaa girne nahin deta.. - Yu’n to syed bhi ho, mirza bhi ho, afghan bhi ho,
Tum sabhi kuch ho, bataao to musalmaan bhi ho ? - Ajeeb Faiz Hai Aaqa (SAW) Apki Muhabbat Ka,
Durood Aap Pay Parhu’n Aur Khud Sanwar Jaaun.. - Youn to rehmat hy teri, Teray ghazab py haavi,
Phir bhi Mehshar men khudaya mera Parda rakhna.. - Na afsos hai tujhe sahab na koi sharmindagi hai,
Guzar rahi hai jo gunaahon mein yeh kesi zindagi hai.. - Meray Bachpan Ke Din Bhi Kya Khoob The,
Be-Namazi Bhi Tha Aur Be-Gunah Bhi… - Bachay bhi Ghareebi ko Samjhny lagay hain Shayed,
Ab Jaag bhi jaatay hain toh Sehhri Nahi Khatay…! - Is Khaak Ko Hidayat De Maula,
Uss Khaak Mein Milny Se Pehle.. - Nahin mein mohtaaj dunya ka ik tere siwa Ya Rab,
Mere sajde kabool karle meri saans ke tootne se pehle.. - Khuda k waste mujhko khuda hi rahne do…
Mazhab k naam par logon mere tukde na karo.. - Teri Bargah Mein Ay Khuda, Junhi Sar Ko Maine Jukha Diya,
Usi Waqt Teri Khudayi Ne, Mujhe pastiyon Se Utha Diya,
Main Zaleel Tha Main Haqeer Tha, Tere Dar ka Aik Faqeer Tha,
Tu Ne Aik Hi Sajday Mein, Mujhe Kya Se Kya Bana Diya,
Rag-e-Jaan Se Bhi Tu Qareeb hai,Tu Hi Likhta Sab K Naseeb Hai,
Jisay Chaha Pal - Teri Bargah Mein Ay Khuda, Junhi Sar Ko Maine Jukha Diya,
Usi Waqt Teri Khudayi Ne, Mujhe pastiyon Se Utha Diya,
Main Zaleel Tha Main Haqeer Tha, Tere Dar ka Aik Faqeer Tha,
Tu Ne Aik Hi Sajday Mein, Mujhe Kya Se Kya Bana Diya,
Rag-e-Jaan Se Bhi Tu Qareeb hai,Tu Hi Likhta Sab K Naseeb Hai,
Jisay Chaha Pal - Karbala Nasib Se Jana Nasib Ho
Pher Laut Kar Wahan Sa Na Ana Nasib Ho
Aisa DAR-E-HUSSAIN A.S Pe Sajda Ho Akhri
K Mujha Apna Sir Na Uthana Nasib Ho - Ho Ali Ke Naam Se Toofan Bhi Khauf Khate Hain
Jinhe Yakin Nahi Wo Doob Jate Hain
Farishte Qabr Me Kuch Aur Poochhte Hi Nahi
Zuban Pe Naam-E-Ali Sun Ke Laut Jate Hain - Banai Kya KHUDA Ne Sohni Surat MUHAMMAD Ki
Huye Aashiq Wo Jisne Dekh Li Surat MUHAMMAD Ki
Kamal-E-Husn-E-Yusuf Pr Faqt Ashiq Zulekha Thi
KHUDA Khud Jis Pe Ashiq Hy Wo Surat Hy MUHAMMAD Ki
Muslamano Ko Jab Janat K Darwazy Pe Rokengy
Hukum Hoga K Jany Do Ye Ummat Hy MUHAMMAD Ki - Momin K Liye To Jan-E-Hasti Hay NAMAZ
Iman Ki Aghosh Me Basti Hay NAMAZ
Milti Nahi Mehshar Me Kisi B Qeemat Par
O Zindagi Walon Parh Lo Abhi Sasti Hay Namaz - Phir Un Ki Gali Main Pohnchay Ga
Phir Sahu Kay Sajday Karay Ga
Is Dil Par Bharosa Kon Karay
Har Roz Musalman Hota Hay - Ager Alif Se Lo Insann Ali
Be Se Kamil-Burhan Ali
Te Se Tatheer Ki Jaan Ali
Se Se Saqlain Ki Shaan Ali
Har Makhfi Baat Ka Raaz Ali
Aur Jeem Se Pak Jawaz Ali
Makdoor Ali Taqdeer Ali
He Se Haq Ki Tasweer Ali
Khe Se Khatmul-Quran Ali
Aur Khaliqa Ka Shahkar Ali
Shazada-E-Husun-O-Jamal Ali
Re Se Rehbar Har Haal Ali
Wahid Ki Qasam Wajid Bhi Ali
Hai - Ager Alif Se Lo Insann Ali
Be Se Kamil-Burhan Ali
Te Se Tatheer Ki Jaan Ali
Se Se Saqlain Ki Shaan Ali
Har Makhfi Baat Ka Raaz Ali
Aur Jeem Se Pak Jawaz Ali
Makdoor Ali Taqdeer Ali
He Se Haq Ki Tasweer Ali
Khe Se Khatmul-Quran Ali
Aur Khaliqa Ka Shahkar Ali
Shazada-E-Husun-O-Jamal Ali
Re Se Rehbar Har Haal Ali
Wahid Ki Qasam Wajid Bhi Ali
Hai - Iss Shah Latif Ki Dharti Mein
Iss Amn-O-Pyar Ki Basti Mein
Mein Paida Hooa Iss Dharti Mein
Parwan Charha Iss Basti Mein
Khana Bhi Yahin Ka Khaya Hai
Pani Bhi Issi Dharti Ka Pya
Ab Marna Jeena Sub Kuch He
Iss Dharti Say Hi Jore Leya
Phir Mujh Say Door Kyon Rhetey Ho?
Kyon Mujh Ko Ghair Samajhtey Ho?
Mein Tum Say Alug, Tum Mujh - Ali Ke Saath Hai Zehra Ki Shaadi
Sabhi Kush Hai Khudai Bhi Khuda Bhi
Ali Ke Saath Hai Zehra Ki Shaadi
Larka Hai Khuda Ke Ghar Ka
Larki Hai Nabi Ke Ghar Ki
Woh Arzo Sama Ka Malik
Yeh Malka Behro Barki (Zami Rakhsa) Hai Rakhsa Asma Bhi
Ali Ke Saath Hai Zehra Ki Shaadi
Hyder Hai Kulle Ima
Aur Kulle Ismat Zehra
Is Sar - Quran Haathon Mein Leke Naabiinaa Ek Namaazii
Labon Pe Rakhataa Thaa
Donon Aankhon Se Chuumataa Thaa
Jhukaake Peshaanii Yuun Aqiidat Se Chhuu Rahaa Thaa
Jo Aayatien Parh Nahiin Sakaa
Un Ke Lams Mahasuus Kar Rahaa Ho
Main Hairaan Hairaan Guzar Gayaa Thaa
Main Hairaan Hairaan Thahar Gayaa Huun
Tumhaare Haathon Ko Chuum Kar
Chhuu Ke Apanii Aankhon Se Aaj Main Ne
Jo Aayatien Parh Nahiin - Aankhon Ko Ho Sakay To Zara Ashkbaar Rakh
Paiwastah Rah Shajar Se Ummeed-E-Bahar Rakh
Gham Se Jo Hai T-Alluq Usay Ustwaar Rakh
Rakhna Hi Hai Agar To Dil-E-Sogwaar Rakh
Sarchashma Terey Dil Main Muhabbat Ka Hai Agar
Sookhay Har Aik Hont Pe Aansoo Ki Dhaar Rakh
Aiy Maut Zindagi Ka Abhi Haath Main Hai Haath
Thamoonga Tera Haath Bhi, Tu Aitbaar Rakh
Dil - Chaand ki Pehli Dastak Pay,
CHaaNd MuBaRaK Kehtay Hain,
Sub Say Pehlay Hum Aap Ko,“RAMZAN MUBAARAK” kehtay hain.
Islamic Shayari
Dil To Kehta Hai Zindagi Ki Kahani Likhon,
Wo Kahani Mien Such Ki Zubani Likhon,
Apne Jazbat Ko Mien Sumandar Likhon,
Apni Sochon Ko Mojon Ki Rawani Likhon,
Kabhi Dil Ki Khushi Ka Muharak Likhon,
Kabhi Gham Ko Aankhon Se Behta Pani Likhon,
Us K Mananay Ko Us Ki Mohbbat Likhon,
Apne Rooth Jane Ko Apni Nadani Likhon,
Apni Jaan Ko Us Ki Aamanat Likhon,
Us K Naam Apni Ye Zindagani Likhon.
**********************************************************
Yaad Phir Mujh Ko Wo Aanay Laga
Jis Ki Her Baat Mehaz Khushboo Hay
Aap Say Tum,Tum Say Phir Tu Kehna
Baat Hi Baat Main Dil Ki Aarzoo Kehna
Meray Ihsas Pay Cha Gya Hay Yun
Mujh Ko Deewana Bana Gya Hay Yun
Her Taraf Uska Aks Hay Ab To
Jaisay Mujh Main Saman Gya Hay Wo
Uski Sergoshiyan Hain Chaaron Taraf
Aur Kuch Sunnay Ko Hay Na Kehnay Ko
**********************************************************
Bohat Mumkin He Dunya Cheen Le Mujh Se Teri Yaaden
Mazeed Ab Me Tere Gham Ki Hifazat Kar Nahi Sakta
Mujhe Azaad Kar Toq-E-Aseeri Bakhshne Wale
Me Zanjiron Me Elan-E-Bagawat Kar Nahi Sakta
Meri Mushkil Ye He K Mujh Ko Adakari Nahi Aati Mohsin
Haqiqi Insan Hn Rasmi Mohabbat Kar Nahi Sakta…!
**********************************************************
Wo Jo Meri Ankh Mein Rehta Tha Kajal Ki Tarha
Aj Kajal Jo Lagaya To Buhat Yaad Aya
Jis Ke Ane Se Sajati The Dar-O-Bam Khabi
Aaj Ghar Jo Sajaya To Buhat Yaad Aya
Kabhi Sajata Tha Phool Meri Zulfoon Mein
Aaj Apne Hatoon Se Sajaya To Buhat Yaad Aya
Har Eid Par Mitla Tha Us Ka Pyar Bhara Khat
Aaj Use Khat Jo Likha To Buhat Yaad Aya
**********************************************************
Shikwy B Hzaron Hain
Shikayat B Boht Hy
Is Dil Ko Mgr Us Se
Muhbat B Bht Hy
Ye B Ha Tmanna K
Usy Dil Se Bhula Den
Is Dil Ko Mgr Uski
Zrurat B Bht Hy
Aa Jata Ha Milne Jo
Tasawur Me Sar-E-Sham
Us Shakhs Ki Itni C
Inayat B Bht Hy
Dekhen To Zra P K JANA
Zehr-E-Mohabt
Kehty Hen IMDAD K Is
Zehr Me Lazat B Boht Hy
**********************************************************
Bichrna Chahta He Or Juda Hone Se Darta He
Wo Meri Qaid Me Reh Kar Riha Hone Se Darta He
Gali K Morr Tak Wo Dekhta Rehta He Chhup Chhup Kar
Palat Kar Dekh Loon To Samny Hony Se Darta He
Wo Khud Likhta He Tanhai Me Mera Naam Hathoon Par
Magar Jab Ru Ba Ru Aye To Mera Hony Se Drta He.
**********************************************************
Wo Kehta Ha Muhe Phoolon Se Pyar Hai,
Lekin Jab Pool Khilte Hain
To Wo Unían Tor Deta Hai..
Wo Kehta Hai Mujhe Barishon Se Pyar Hia…
Lekin Jab Barish Hoti Hai
To Wokamre Ma Bnd Ho Jata Hai..
Wo Kehta Hai Mujhe Hawaon Se Pyar Hai…
Lekin Jb Hawain Chalti Hain
To Wo Khirkian Bnd Kr Deta Hai…
Or Os Waqt Mujhe Dar Sa Laga Imdad…
Jab Os Ne Kaha Mujhe Tum Se Pyar Hai…
**********************************************************
Roothna Khafa Rehna Ye Wafa Nahi Hoti
Chahton Main Logon Se Kya Hata Nahi Hoti?
Sb Ko Aik Jaisa Kyun Tm Samajne Lagte Ho
Q K Sari Dunya To Bewafa Nahi Hoti,
Her Kisi Se Yaari Her Kisi Se Wady
Pyar Karny Walon Me Ye Ada Nahi Hoti,
Benaqab Chehre B Ek Hijab Rakte Hain
Sirf Saath Pardon Main To Haya Nahi Hoti….
**********************************************************
ZARA TEHAR JAO…
Chaman Pe Aa Pari Hai,
Zara Thahar Jao…
Saba Udas Khari Hai,
Zara Thahar Jao…
Suabato Ke Safar Par
Na Youn Rawana Ho,
Abhi To Dhoop Kari Hai,
Zara Tehar Jao…
Bikhar Gai Hain Wo Zulfein,
Udas Chehre Par Judiyon Ki Ghari Hai,
Zara Tehar Jao…
Abhi To Chand Ke Chahre Ka Noor Hai Taza,
Abhi To Raat Pari Hai,
Zara Tehar Jao…
Abhi To Subuha Ka Tara Nazar Nahi Aaya,
Abhi To Raat Bari Hai,
Zara Tehar Jao….
**********************************************************
Mery Berabt Khayalat Mein Kea Rakha Hy,
Main Tu Paghal Hon Meri Baat Mein Kea Rakha Hy.
Bandh Rakha Hy Teri Yaad Ne Maazi Se Mujhe,
Warna Guzry Huye Haalat Mein Kea Rakha Hy.
Tu Na Mil Paye Tu Or Khuda Se Kea Mangoo,
Tu Alag Ho Tu Meri “Zaat” Mein Kea Rakha Hy.
**********************************************************
Kab Tak Raho Ge Aakhir,
Yun Door Door Ham Se..?
Milna Parre Ga Aakhir,
Ek Din Zaroor Ham Se…
Daaman Bachanay Wale,
Ye Be-Rukhi Hai Kesi..?
Keh Do Agar Hua Hai,
Koi Kasoor Ham Se…
Ham Chheen Lain Ge Tum Se,
Ye Shan-E-Beniyazi…
Tum Mangte Phiro Ge,
Apna Gharoor Ham Se..
**********************************************************
Bheegti Hui Ankhon Ka Mnzr Na Mile Ga
Mjy Chhor K Mt Jao Kahin Mjhsa Na Mile Ga
Phir Yad Bht Aye Gi Zulfon Ki Ghanni Sham
Jb Dhoop Mey Koi Saaya Sr Pr Na Mile Ga
Ansu Ko Kbi Merey Qtra Na Smjhna
Aisa Tmhe Chahat Ka Smandar Na Mile Ga
Ls Khwab K Maahol Mey B Khwab Hain Ankhen
Jb Neend Bht Aye Gi Bistar Na Mile Ga
Ye Soch Lo Ab Akhri Saaya Hai Mohabt
Ls Drr Se Jo Utho Ge To Koi Drr Na Mile Ga
**********************************************************
Abb Kya Lekhain Hum Messege Main
Ab Lekne Ko Kya Baqi Hai
Aik Dil Tha Jo Woh Toot Gaya
Aab Toot Ne Ko Kya Baqi Hai
Aik Shaks Ko Humne Chaha Tha
Aik Rait Pe Naqash Banaya Tha
Woh Rait Tu Kab Ki Bikhar Gai
Woh Naqash Kahan Aab Baqi Hai
Hum Jin Ko Apni Nazmo Ka Unwan Banaya Karte Thay
Lafzo Ka Banake Taj Mahail Kagaz Pe Sajaya Karte Thy
Woh Hum Ko Aakele Choor Gaya Saab Rishto Say
Moo Moor Gaya Aab Raste Sare Sone
Hai Woh Pyar Kahan Aab Baqi Hai
Aab Kya Likhain Hum Messege Main????
**********************************************************
Khushboo Ki Tarah Meri Har Saans Mein
Pyar Apna Basaanay Ka Waada Karo
Rang Jitnay Tumhari Mohabbat K Hain
Meray Dill Mein Sjaanay Ka Waada Karo
Hai Tumhari Wafaaon Pe Mujko Yakeen
Phir B Dill Chahta Hai Meray Dil Nasheen
Youn Hee Meri Tasalli Ki Khatir Zara
Mujko Apna Bnaanay Ka Waada Karo
Sirf Lafzon Se Iqrar Hota Nahi
Ek Jaanib Se Hee Pyaar Hota Nahi
Main Tumhein Yaad Rakhnay Ki Khaon Qasam
Tum Mujko Na Bhulaanay Ka Waada Karo
**********************************************************
**********************************************************
Mohabbat Khwab Hoti Hai
Mohabbat Baat Hoti Hai
Agar Koi Pooch Baithay To
Mohabbat Raaz Hoti Hai
Machalti Hwi Umangon Ka
Suhana Sath Hoti Hai
Agar Koi Dhoondna Chahe To
Mohabbat Nayab Hoti Hai
Mohabbat Yun B Hoti Hai
Karb’e Zaat Hoti Hai
Mohabbat Phool Hai Shyad
Ghumoon Ki Dhool Hai Shayad
Kisi K Sath Hai Shayad
Chamkti Raat Hai Shayad
Mohabbat Pur Sukoon B Hai
Magar Betaab Hoti Hai
Agar Na Mile To
Mohabbat Azab Hoti Hai…….
**********************************************************
Rakhay Khuda Ne 2 Raastay Muje Aazmanay K Liey
Wo Chorr De Muje Ya Main Chorr Du Usay Zamaanay K Liey
Kesay Maang Luu RAB Se Usay Bhool Janay Ki Dua
Haath Uthtay Nahi Dua Mein Usay Bhool Janay K Liey
Nahi Kii Zindgi Mein Main Ne Koi B Naiki
Par Parhi Hain Chupp K Kuch NAMAZEIN Usay Paanay K Liey
Nahi Hai Tou Na Sahii Wo Qismat Mein Meri
Par Ik Moqa Tou De Aey RAB Usay Yeh Aansoo Dikhaanay K Liey!
**********************************************************
Dabi Dabi Si Wo Muskarahat
Labon Pa Apna Saja Saja K,
Wo Naram Lehja Main Baat Karna
Ada Sa Nazrain Jhuka Jhuka K,
Wo Aankh Teri Shararti Si
Wo Zulf Matha Pa Nachti Si,
Nazar Hatay Na Ek Pal Bi
Main Thak Gya Hon Hata Hata K,
Wo Tera Hathon Ki Unglion Ko
Milla Ka Zulfon Main Kho Sa Jana,
Haya Ko Chehray Pa Phir Sjana
Phool Chehra Khila Khila K,
Wo Hath Horon Ka Ghar Hon Jaisa
Wo Paon Paryon Ka Par Hon Jaisa,
Nahi Ha Teri Misal Jana,
Main Thak Gya Hon Bata Bata K…
**********************************************************
Kaun Kehtaa Hai Tujhe Mainay Bhulaa Rakhaa Hai
Terii Yaadon Ko Kaleje Say Lagaa Rakhaa Hai
Lab Pay Aahein Bhii Nahiin Aankh Mein Aansuu Bhii Nahiin
Dil Nay Har Raaz Mohabbat Kaa Chhupaa Rakhaa Hai
Tuuney Jo Dil Kay Andhere Mein Jalaayaa Thaa Kabhii
Vo Diyaa Aaj Bhii Siinay Mein Jalaa Rakhaa Hai
Dekh Jaa Aakay Mehaktay Huye Zakhmon Kii Bahaar
Mainay Ab Tak Tere Gulashan Ko Sajaa Rakhaa Hai
**********************************************************
Woh Nahi Mera Magar Us Se Muhabat Hai,To Hai.
Yeh Agar Rasmon Riwajhon Se Baghawat Hai, To Hai..
Sach Ko Mai Ne Sach Kaha, Jab Keh Diya To Keh Diya.
Ab Zamanay Ki Nazar Me Yeh Himaqat Hai, To Hai.
Dost Bn Kar Dushmano Ki Tarah Woh Satata Hai Mujhe.
Phir Bhi Us Pathar Dil Pay Marna Apni Fitrat Hai,To Hai.
Kab Kaha Mai Ne K Woh Mil Jaye Mujh Ko.
Us Ki Baahon Me Dam Nikle Itni Hasrat Hai,To Hai.
**********************************************************
Jis Kisi Ko Bhi Chaho Woh Bewafa Ho Jaata Hai
Sar Agar Jhukao To Sanam Khuda Ho Jaata Hai
Jabh Talak Kaam Aate Raho, Humsafar Kehlaate Raho
Kaam Nikal Jaane Par Humsafar, Koi Doosra Ho Jaata Hai
Gham Nahi Tha Humko Kabhi Zamaane Ki Ruswaaion Ka
Takleef Hoti Hai Jabh Koi Apna Khafa Ho Jaata Hai
Dil Ki Khalish Aksar Jaan Leva Ho Jati Hai Lekin
Dar-E-Dil Ek Hadh Ke Baad Dard-E-Dawa Ho Jaata Hai
Hara Bhara Hai Gulshan-E-Yaar, Yeh Bahar Ke Din Hai
Khizan Aane Par Dekho Ek Ek Patta, Kaise Juda Ho Jaata Hai
Yahi Sachchai Hai, Haqeeqat Hai, Yahi Dastoor-E-Zindagi Hai
Kuch Der Milte Hai Humraahi,Phir Aadmi Tanha Ho Jaata Hai
**********************************************************
Chalo tum chor do mujh ko
Main wapies lot jati hoon.
Tumhain
manzil mubarak ho.
Naya saathi mubarak ho.
Magar phir aey mere
humdam
mujhy itna to batla do…..?
K wapies kis taraf
jaon….?
Kahan se saath laye thay…?
Mujhay itna to samjha
do…?
Agar aisa nahi mumkin….
To muj ko is tarah
torro
K main yaksar bikhar jaon
Bhataknay
se to behtar hai
Tumharay pass marr jaon…..!!!!!!
**********************************************************
Asar dil per karay shikwa,
shikayat ho to aisi ho.!
Galay lag kar koi roye,
Nadamat ho to aisi ho.!
…
yehi mehsus ho jaisay
kai sadiyan guzari hain
faqat ek pal ki furqat mein,
Aziat ho to aisi ho..!!
mujhe kanta chubhay aur
us ki ankhon se lahu tapke,
talluq ho to aisa ho,
MUHABAT ho to aisi ho.
**********************************************************