Mere Nabi Mukarram
Woh husn mein bhi yakta
Woh sukhan mein bhi yakta
Farsh-o-zaman mein yakta
Mere Nabi mukarram
salle ala wassalam
kirdaar bemisali
guftaar bhi nirali
kandhey pe kamli kali
mere Nabi mukaram
salle ala wassalam
kehti hai Maa Nabi ki jab yeh shikam mein aaey
pathron ne di salaami, badal karein hai saey
qumri ne chonch kholi, mujh se yeh aakey boli
aaein ge teri jholi mere nabi mukarram
mere nabi mukarram, salle ala wassalam
Boli Haleema tera eh Amina yeh dilbar
dekha na ankh ne koi aysa haseen gohar
gham ka hua safaya jab choom ker uthaya
phir seenay se lagaya, mere nabi mukarram
mere nabi mukarram, salle ala wassalam
Abu Lahab ke hawari jo aaj bhonkte hein
khaakein bana ke apne hi mu pe phooktein hein
andhon ko kya pata hai, phookon se kab bhuja hai
ik noor ka diya hai mere nabi mukarram
mere nabi mukarram, salle ala wassalam
chodan sau saal pehle, Hassan (ibn thabit RA) ne kaha hai
altaf yeh zamana ussi misr pe khara hai
rabb ne nahi banaya na bhal aysa aya
na maa kisi ne chaya jesey nabi muarram
mere nabi mukarram, salle ala wassalam
Mutallib ko ik safar mein rahib ne yeh bataya
qainaat ko Khuda ne is ke liye banaya
sumjhun mein haal is ka, janu kamaal is ka
rakhna khayal is ka, mere nabi mukaaram
mere nabi mukarram, salle ala wassalam
Aadam ke liye fakhr yeh aali nasabi hai
Aadam ke liye fakhr yeh aali nasabi hai
Makki, Madani, Hashmi-o-Mutalabi hai
Pakeezah tar az arsh-o-sama, Jannat-o-firdaws
Aaraam geh paak rasool (salallahu alayhi wassalam) Arabi hai
Aahista qadam, neechi nigah, past sada ho
Khwabeedah yahan ruh-e-rasool-e-arabi hai
Ay za’ir-bayt nabwi yaad rahey yeh
Be-qa’idah yan junbish-e-lab be adabi hai
Kya shaan hai Allah ray Mehboob Nabi ki
Mehboob-e-Khuda hai woh jo mehboob-e-Nabi hai
Bujh jaey tere cheenton say ey abr-e-karam aaj
Jo aag mere seenay mein muddat se dabi hai
-Alamah Syed Sulaiman Nadwi RA
Namaz-e-Ishq talwaron ke saey mein ada karna
Musalmanon ka shewa hai Muhammad (Salallahu alayhi wassalam) se wafa karna
Namaz-e-Ishq talwaron ke saey mein ada karna
Humein imaan ka matlab bas itna hi samaj aya
Rasool-e-pak ki hurmat (honour) pe tan man dhan fida karna
Jisse katna nahi ata hai namoos-e-risalat per
badan pe bohj (burden) hai woh sar, utha ke bohj kya karna
Nisab-e-deen ka pehla baab hi ishq-e-risalat hai
maqam-e-Mustafa se hai jahan ko ashana karna
Raheem un sa Kareem un sa hua na taa-abad (eternity) hoga
ke unki shaan-e-rehmat hai buron se bhi bhala karna
Ragon mein khoon ki surat rawan unki muhabbat hai
yeh woh lafaani (indestructible) jazba hai, nahi mumkin fanaa karna
Kaha Quran ne Malik, Mala’ik ki yeh sunnat hai
Nabi ke naam-e-nami ko nazar salle ala karna
Sunehri khulq Ahmad se hui tareekh insaani
sitam seh kar sitamgar ki hidayat ki dua karna
Agar hubb-e-Nabi mein aazmaish ki ghari aaey
Dua Afzaal ki Mawla hamey sabit khara karna
Musalmanon ka shewa hai Muhammad (Salallahu alayhi wassalam) se wafa karna
Namaz-e-Ishq talwaron ke saey mein ada karna
Har ik maqsad mein Allah ko pukara tha, pukarein gey
Har ik maqsad mein Allah ko pukara tha, pukarein gey
Ussi ke samney sar ko jhukaya tha, jhukaein gey
Wohi Haazir wohi Naazir wohi Qaadir, wohi Naasir
Wohi mehboob hai Usko manaya tha, manaein gey
Wohi Ma’bood hai keh do, Wohi Masjood hai samjho
Wohi haajat rawa sab ko bataya tha, batein gey
Galazat kufr hai jano, najasat shirk hai yaaro
janaza bhut parasti ka nikala tha, nikalein gey
Faqat tawheed ka har dam, rahein gey aashiqo humdam
ussi tawheed ka danka bajaya tha, bajaein gey
Kahan ja’iz hai pyaaro Yaa Ali, Yaa Ghaws ka naara
Ilaahi Al-maddad naara lagaya tha, lagaein gey
Sharab-e-marifat pee hai, humein sunnat se ulfat hai
hamesha Uski zulfon ko sawara tha, sawarein gey
Na darte hai kisi se hum, na biktey hai, na jhuktey hai
bhari mehfil mein yeh naghma sunaya tha, sunaein gey
yeh sach hai Shaykh Jilani, Wali, Mehboob-e-Subhaani
magar is naam ka bakra na mana tha, na manein gey
Hai bid’at phool ki chadar mazaaron aur qabron per
gulon ka haar qabron per na dala tha, na dalein gey
RasoolAllah (Salallahu alayhi wassalam) bashar hai har jaga haazir nahi, Wallah
akabir ne yehi nuskha sikhaya tha, sikhaein gey
Agar rehtey ho duniya mein tujhe maloom yeh hoga
humesha hum ne loghon ko jagaya tha, jagaein gey
Humara kaam hai bas zakhm sehna fikr-e-ummat mein
buzurgon ne yehi bera uthaya tha, uthaein gey
Rasool-e-paak ka rutbah buland hai arsh-o-kursi se
dilon mein Unki sunnat ko sajaya tha, sajaein gey
Radha ke dil mein peyghambar ki sunnat se muhabbat hai
mashaikh ne ussi per khoon bahaya tha, bahein gey
– Mufti Radha-ul-Haqq DB
Na koi amal hai sunaney ke qabil
Na koi amal hai sunaney ke qabil
Na mun hai Tumharey dikhaney ke qabil
Lagatey hein us ko bhi seenay se Aqa (SAW)
Jo hota nahi mun laganey ke qabil
Shafa’at ke sadqe mein Jannat miley gi (inshaAllah)
Amal hein jahannam mein janey ke qabil
Teri har ada hai pyaari
Teri har ada hai pyaari, Teri shaan khaak sari
Teri zulf ambari per ho nisaar bekarari
Tere dar ki khaak roobi se mili humein musarat
Tere har zaman zameen mein hai ghulab jaisi nighat
Tere jalwa-e-haseen se, hai khumaar sab pe tari
Teri har ada hai pyaari, Teri shaan khaak sari
Tu hidayaton ka pekar, Tu hai rehmat-e-mujassam
Tu hai zindagi ka rehbar, Tu dukhey dilon ka marham
shab o roz yeh dua hai (dua of Nabi SAW) koi reh na jaey nari (jahannami)
Teri har ada hai pyaari, Teri shaan khaak sari
Tu sakhawaton ka markaz (center of generosity) tu hai ambiya ka khatim
Tu sharafaton ka ma’dan (mine of nobility) ho durood tujhpe har dam
Teri zaat unchi phir bhi, Teri shaan inke saari
Teri har ada hai pyaari, Teri shaan khaak sari
Tu satayeshon (praise) ke qabil, Tera zikr mera fann hai
mere dil ki dhadkanon mein shab o roz mu’jizam hai
Teri yaad ki jawani se dilon ki aabyari (irrigation)
Teri har ada hai pyaari, Teri shaan khaak sari
Zara dekh lo Madina yahan rehmaton ke badal
yeh tilawaton ki mehfil yeh ibadaton ki manzil
koi ro raha hai pyara hai durood lab pe jaari
Teri har ada hai pyaari, Teri shaan khaak sari
Mein kya kahun Sahaba shah-e-do jahan ke pyare
wohi yaar hai Nabi ke wohi deen ke sitare
hai buland unka rutbah, woh Quran ke the Qari
Teri har ada hai pyaari, Teri shaan khaak sari
Tera naam hai Muhammad (SAW) teri midhatein mera fann
ho nisar tujhe pe Aqa meri sha’iri ki dhadkan
hai Radha ki bas tamana tere deen pe jaan nisari
Teri har ada hai pyaari, Teri shaan khaak sari
Dil zakham zakham hai logho
Dil zakham zakham hai logho, koi hai jissey dikhaein?
koi hum nafas nahi hai, gham-e-jaan kissey sunaein?
yakayak (unexpected) jo cha gaee hai gham o dard ki ghataein (difficulties)
gaya kaun is jahan se ke badal gaee fizaein
utha sa’ibaan-e-shafqat (shelter of mercy), bari taiz dhoop dekhi
Nahi door door chahun (shade), kahan apna sar chupaein
Rah-e-zindagi ki monis, inhi mohsinon ki yaadein
shab-e-zeest ke sitary (stars in the darkness of life), woh khuloos (sincerity) ki duaein
woh rafaqaton ki raatein (nights of closeness), woh har ik se dil ki baatein
gaey daur ke woh kissey, humein yaad kyun na aaein
woh shuja’aton ke paaley, barey sabr-o-shukr waley
wohi hosley Hussaini (RA), wohi Zaid (RA) ki adaein
Ho naseeb jaam-e-Kausar, yeh Nafees ki dua hai
magar ik haseen tamana, ke huzoor khud pilaein
Dil zakham zakham hai logho, koi hai jissey dikhaein?
koi hum nafas nahi hai, gham-e-jaan kissey sunaein?
kesey doobey ga safeena mera?
Unki namoos se meri izzat hai
unki azmat mein meri azmat hai
sar buland apna unhi ke dam se
unka daman na chootey ga humse
Teri izzat ki qasam
waqt per jaey to hum
teri azmat ke liye
waardein jaan yeh hum
Unki midhat mein hai jeena mera
kesey doobey ga safeena mera?
dekh lo cheer ke seena mera
dil hai ulfat ka khazeena mera
Tears Falling like a down pour
Is there for me a way to travel swiftly towards Tayba,
To visit the tomb of the Hashimi Muhammad SAW?
That which has spread its fragrance under his protection
Has caused the pilgrims to convulse in the direction of Muhammad SAW
I went away bathed in tears, tears falling like a down pour,
Yearning towards that Prophet Muhammad SAW.
I swear by the Rahman, I possess not a single excellent trait,
I am only totally encompassed in the love of Prophet Muhammad SAW.
I give a description of the affliction of my longing for him which is plain to see
Truly for me there are no pleasures and joys in life without Muhammad SAW.
I have become exhausted yearning to hasten to his grave
For me there are no enjoyments without visiting that Master.
He is the sun of illumination, crown of guidance, the sea of generosity
Indeed there is no good except in following Muhammad SAW.
He is the downpour whose blessings encompass all creatures
Rather, the entire creation of Allah is less than Muhammad SAW.
If I had traveled to Tayba I would have obtained the object of my desires,
Being completely covered in the dust of the sandals of Muhammad SAW.
The grave of Ahmad SAW is plastered with fragrances
I am strengthened with the scent of the musk, the merits of Muhammad SAW.
The sun is nothing nor is the eclipse which distorts it,
There is no eclipsing the light of that Master.
The desire of my heart is to visit his house,
My tears overflows from the absence of that guide.
My tears pour forth when I remember his demise,
For I am consumed in the love of Prophet Muhammad SAW.
If it is said to me ‘Who fills you with longing among mankind?’
Then I will say, ‘I am passionately in love with Muhammad SAW.
Completely destroyed is the one who refuses to follow his path,
His torment will be prolonged here and likewise in the next life.
Arise with us and let us run to the sun of guidance,
Let us swiftly traverse the open dessert to visit the grave of Muhammad SAW.
Lets fasten our saddles tight towards the beauty of the Day of Standing,
Lets us role ourselves in the dust of that mosque in Tayba.
The fires of passion moves freely between our breast,
I am snatched away towards him with love and longing.
We have been sealed with his honor between the two worlds,
We are completely dissolved from devotion to Prophet Muhammad SAW.
His swords have cut the necks of the idolaters’
Who can contest the perfections of Muhammad SAW?
There is no intimacy except in visiting his grave,
There is no abundance except in proximity to Muhammad SAW
The height of the stars have set by means of his elevation,
Who can reach the exalted ranks of Muhammad SAW?
We tower above all creatures by means of his eminence,
We have become chieftains among them by the power of Ahmad SAW.
How many straying in darkness have been guided by him?
For his illuminations reside in the heart of every unifier.
The withdrawing of our tears have overflowed by his love,
The sins of our disobedience is wiped out by Muhammad SAW.
No person has come with the likeness of his character,
Who can encompass the miracles of Ahmad SAW?
Who can establish the amount of his signs,
Like the grains of sands are the number of the miracles of Muhammad SAW.
The Throne of the Lord of the worlds are apart of his forces,
There is no created being like the Prophet Muhammad SAW.
I am a Blind follower
Oh people do not denounce me for what i relate
I am a blind follower of what he who said “i am a guide” said
Indeed, i am a transgressor, i am impotent and i am ignorant
And yes i am a sinner, but i am also an ardent lover of Muhammad SAW
I am completely aware that i am not good
At extolling the best of all the worlds
However my love for him behooves me, so i let it spill out
It is not some distracting diversion from me, nor am i a comedian
And don’t laugh at my poem because i am impotent
For who is it that can properly innumerate the tributes of Muhammad SAW?
My sins are actually chains, and the chains are very heavy
So how can i truly stand up while I’m fettered and chained?
I am actually humiliated with faults and utterly veiled
Yet i hope for deliverance from all this by the rank of that master.
Ishq-e-nabi jo dil mein utarta chala gaya
Ishq-e-nabi jo dil mein utarta chala gaya
Sunnat ka noor rukh per bikarta chala gaya
Karta gaya mein mohsin-e-insaniyat ki naql
Ehsaan apne aap pe karta chala gaya
Jeeta raha mein ishq-e-nabi ke tufail mein
Ek ek adaa-e-husn pe marta chala gaya
Mehboob e qaenaat ki khushiyan ko sochkar
Mein gham ke raston se guzarta chala gaya
Parta raha mein subho masaa aap per durood
Zakhm-e-hayat aap hi bharta chala gaya
Danishwaron ko saunp ke farzai guftagu
Karne ke sarey kaam mein karta chala gaya
Sunnat ke aainey pe jo Ta’ib jami nigah
Karta raha singhaar, sanwarta chala gaya
Ishq-e-nabi jo dil mein utarta chala gaya
Sunnat ka noor rukh per bhikarta chala
Rakhey qadam jahan pe Aap, palkein bicha du
Rakhey qadam jahan pe Aap, palkein bicha du
yeh jaan teri zulf ke balon pe lutta du
Tera paseena mushk bhi amber bhi ho mera
Teri khaak-e-paak aankhon ka mein surma bana lu
Teri deen ke liye koi pathar mujhe marey
Merey Aqa (SAW) teri tarha usko bhi dua du
Agar mujhse koi poochey mera martaba kya hai
Mein khud ko tera adna sa ghulam bata du
Ya Rabb tu Haidri ko dikha roza-e-aqdas
Wahin jaa kar mein apni sari umar mita du
Rang laey gi kab meri aahein
Rang laey gi kab meri aahein
Phir Madinay ki janib ko jaaein
Jab nazar aaey woh sabz ghumbad
keh ke salley alaa jhoom jaaein
Jab huzoori ka alam ata ho
Unko afsana-e-gham sunaein
Ab na jana ho ghar humko wapas
Chupke chupke yeh mangey duaein
Tere dar per mera sar ho Ya Rabb
Jaan is tarha tujh per lutaein
Mujhko apna bana lo karam se
Multazim per yeh mangey duaein
Dono alam ki kya hai haqeeqat
Jitney alam ho tujh per lutaein
Sarey alam mein phir phir ke Ya Rabb
Tera dard-e-muhabbat sunaein
Tera dard-e-muhabbat suna kar
Sarey alam ko majnun banaein
Sarey alam ko mujnun bana kar
Merey Mawla tere geet gaaein
Lazzat-e-qurb pa kar teri hum
Lazzat-e-do-jahan bhool jaaein
dar ba dar dhoondta hai yeh Akhtar
ahle dard e muhabbat ko paaein
Ya Rabb-e-Muhammad (SAW) meri taqdeer jagade
Ya Rabb-e-Muhammad (SAW) meri taqdeer jagade
Sahra-e-Madina mujhe aankhon se dikha de
Rota hua jis waqt mein darbar pe phonchu
Us waqt mujhe jalwa-e-Mahboob dikha de
Ya Rabb-e-Muhammad (SAW) meri taqdeer jagade
Emaan pe de mawt Madinay ki gali mein
Madfan mera mahboob ke qadmon mein bana dey
Ya Rabb-e-Muhammad (SAW) meri taqdeer jagade
Qabil to nahi hu magar Tu apne karam se
Jannat mein padosi mujhe Aqaa (SAW) ka bana dey
Ya Rabb-e-Muhammad (SAW) meri taqdeer jagade
Siddiq ki Farooq ki khwaish bhi yehi thi
Mawla humey Mahboob ke pehloo mein sula dey
Ya Rabb-e-Muhammad (SAW) meri taqdeer jagade
dil ishq-e-Muhammad (SAW) mein tarapta rahey har dam
seenay ko madina mere Allah bana dey
Ya Rabb-e-Muhammad (SAW) meri taqdeer jagade
Peecha mera duniya ki muhabbat se chura dey
Ya Rabb mujhe deewana Muhammad (SAW) ka bana dey
Ya Rabb-e-Muhammad (SAW) meri taqdeer jagade
sahra-e-Madina mujhe aankhon se dikha dey
ya rabb e Muhammad meri taqdeer jagade
Raharawan-e-Hijaz se!
Mujh ko bhi sath janib-e-gulzar le chalo
Ae rehrawan-e-koocha-e-dildaar le chalo
Hain jis diyar-e-pak pe har aan rehmatein
peiham jahan hai baarish-e-anwaar le chalo
Zarray jahan ke hamr-e-mah-o-nujum hain
phoolon se bhi haseen hain jahan khaar le chalo
Ayega josh, shaan-e-kareemi ko dekh kar
Naiko! Tum apne sath gunahgaar le chalo
Tum ho buland bakht, na sarf-e-nazar karo
ho jaye mera bakht bhi bedaar le chalo
Beshak mata’-e-ishq-o-junoo hai tumhare pas
Rakhta hoon mein bhi deeda-e-khoonbaar le chalo
Roshan zameer qaflay walo! karam karo
Sath ek tera qalb-e-siahkaar le chalo
mein hoon ghareeq-e-behr-e-ma’asib baja, magar
mujh se na is tarah se ho bezaar le chalo
Mujh natawan-o-khasta-o-beemar per karam
Allah ho tumhara madadgar, le chalo
Kaante jo raah kay hain, hatata chalunga mein
Aye jo koye wadi-e-pur khaar le chalo
Mein tashna kaam-e-ishq hoon yaro madad karo
tum ho sharab-e-ishq se sarshaar le chalo
Bhari thi shab mareez pe lekin woh kat gayi
Ab ho rahe hain subha k asaar le chalo
-Hazrat Zaki Kaifi RA had planned for umra with his friends but for some reason he couldn’t travel with them. This poem is the reflection of his feelings.
-submitted by brother Syed Abdullah bin Masood
Nabi e akram
Nabi-e-akram, shafi-e-azam dukhey dilon ka payaam leylo
Tamaam duniya ke hum sataein, kharey huey hai salaam leylo
Shikasta kashti hai taiz dhara, nazar se roposh hai kinara
nahi koi nakhuda humara khabar to aali maqam leylo
Qadam qadam pe hai khawf-e-rahzan, zameen bhi dushman, falaq bhi dushman
zamana hum se hua hai badzan tumhi muhabbat se kaam leylo
kabhi takaza wafa ka humse, kabhi mazaq-e-jafaa hai humse
tamam duniya khafa hai humse khabar to khair ul anam leylo
yeh kaisi manzil pe agaey hai, na koi apna, na hum kisi ke
tum apne daman me aaj aqa tamam apne ghulam leylo
yeh dil mein armaan hai apne Tayyib, mazaar e aqdas mein ja kar ik din
sunau un ko mein haal e dil ka, kahun mein unse salaam leylo
– Qari Tayyib RH
za’ir-e-tayba ko hasrat se
Za’ir-e-tayba ko youn hasrat se takta reh gaya
Chal diye woh muskura kar mein sisakta reh gaya
Woh ke jeetay jee rasaye pa gaey manzil talak
Aur mein rah-e-takhayul mein bhatakta reh gaya
rooh-e-ushaaq e shah e batha tarapti reh gaee
Shawla e showq e hazoori youn bharakta reh gaya
yeh wafoor e ishq ki taqseer hai meri nahi
jane mein kya kya junoon main aaj bakta reh gaya
Uper uper hosilon ke barf rakhi thi magar
andar andar lawah e mahjoori pakta reh gaya
batinan soz e daroon ka hay asar aah oh fughaan
Zahiran to baagh mein bulbul chehekta reh gaya
bawajoode koshishe zabte gham e hijran Asar
Aap ke aankhon ka paimana chilakta reh gaya
zulf-e-sarkaar se jab chehra nikalta hoga
zulf-e-sarkaar se jab chehra nikalta hoga
phir bhala kesey koi chaand ko takta hoga
Eh Haleema yeh bata, tu ne to dekha hoga
kaise tujhse mera mehboob lipat ta hoga
qabil-e-rashk hai Siddiq woh aasoon tera
ghaar mein chehra-e-Anwar per jo girta hoga
tujh ko maloom kya Tayba se judai ka asar
shaam ko shams bhi rota hua dhalta hoga
Haakim us dil ko zara theys na phonche gi kabhi
yaad-e-sarkaar mein jo har pal tarapta hoga
Aap ki naatein mein likh likh ker sunaon aapko
Aap ki naatein mein likh likh ker sunaon aapko
kis tarha raazi karun kaisey manaon apko
Aapko raazi na ker paya to mar jaon ga mein
choti choti kirchiyan ban ker bhiker jaon ga mein
zindagi ka is tarah mujhko maza kya aye ga
dil siyahi ke bhawar mai doobta reh jaye ga
wasta dun aapko mein aap ke Hasnain ka
yaar ghaar-e-sor ka siddiqah-e-konain ka
Aap to dushman ke haqq mein bhi dua kartey rahey
bewafa loghon se bhi har dam wafa kartey rahey
Aap to rehmat hi rehmat hain jahanon ke liye
merey jaise be-amal aur be-thikano ke liye
Aapka hai roothna arz-o-samah ka roothna
arsh ka sarey jahano ke Khuda ka roothna
Aapki nazron sey jo girta hai mar jata hai woh
raakh ban ker apney qadmon mein bhiker jata hai woh
Is tarha to aadmi khud aadmi rehta nahi
saheb-e-imaan kya insaan bhi rehta nahi
Kaisey kaisey dushmanon per reham khaya aap ney
aag sey kitney hi loghon ko bachaya aap ney
Apney jooton apne saaye mein bhita dijiye mujhey
aapka nacheez khadim hu dua dijiye mujhey
Zindagi ki taiz lehron mein na beh jaon kahin
gird ban ker rastey hi mein na reh jaon kahin
Aapko khatoon-e-jannat aur Ali ka wasta
aapko Farooq-o-Usman-e-Ghani ka wasta
Zindagi ko ik bohat mushkil safr darpaish hai
aik mushkil imtehaan baar-e-digar darpaish hai
Soch mein dooba hua hu soch hi mein qaid hu
bebasi ghairey huey hai bebasi mein qaid hu
Toot tey jatey hain sarey aasrey jitney bhi hain
be-asar hai logh sab chotey bharey jitney bhi hain
Kis qadar kitna zaruri hai sahara aapka
meri qismat hi badal dey ga ishara aapka
Logh akser shahir-e-ashaab kehtein hain mujhey
unki khatir roz-o-shab beytaab kehtein hain mujhey
Be-amal hu maghfirat ka ik sahara hai zarur
aapka her ik sahabi jaan sey pyaara hai zarur
Meiney mukhtas kar li apni chasm-e-tar unke liye
muztarib rehta hu mein shaam-o-sehr unke liye
Mein na sarmud hu na majnun hu na mein mansoor hu
unka shahir aur unka banda-e-mazdoor hu
Meri khuwahish hai ke unki khoobian likhta rahun
shoq sey mein aasman ko aasman likhta rahun
Un ke sadqay aap mujh per meharbani kijiye
merey haal-e-zaar per Aaqa tawajja dijiye
Aapse rishta ghulami ka sada qaim rahey
khwajgi aur bandagi ki yeh fiza qaim rahey
Merey sar per mushkilon ka aasman girney ko hai
zarra-e-nacheez per koh-e-girah girney ko hai
Ghup andhairey mein khara hu ae hira ke aaftab
purza purza ho rahi hai meri khushiyun ki kitaab
Merey haqq mein apney Khaliq sey dua farmaiye
ae mere Aaqa karam ki inteha farmaiye
Dekhte hain to mujhey be-aasra kehtey hain logh
ehd-e-mazi ki koi bhooli sada kehtey hain logh
Kis tarha rokun mein is toofan aur sailaab ko
zehn sey kaise nikalun khofnak is khuwaab ko
Meri apni saans bhi ab to merey bus mein nahi
thak gaee hai chalte chalte ab meri loh-e-jabeen
Dekh ker dushwaar rahein zindagi ghabra gaee
merey ghar tak aatey aatey roshni ghabra gaee
Sabz gumbad ki taraf uthti hain nazrain baar baar
aapki rehmat ko daita hai sada yeh khaaksaar
Khaliq-e-arzo samah sey ab dua kijiye huzoor
meharban ho jaye mujh aasi pe ab Rabb-e-Ghafoor
Meri himmat sey ziada hai pareshani ka bhoj
mein utha sakta nahi apne tan-e-fani ka bhoj
rah pe chaltey huey ab dagmaga jata hu mein
saans leney per bhi ab to lerkhara jata hu mein
lab hila dijiye meri khatir dua ke wastey
reham fermadijiye mujh per khuda ke wastey
Aap ki naatein mein likh likh ker sunaon aapko
kis tarha raazi karun kaisey manaon apko
Habib-e-Khuda, Sarwar-e-Ambiyaa
Eh Habib-e-Khuda, sarwar-e-ambiyaa
Teri jood-o-sakhawat ki kya baat hai
Ban ke aya hai tu Rehmate do jahaan
Teri lutf-o-inayat ki kya baat hai
Chand tukrey hua, Suraj ulta chala
Jis ghari tera unko ishara mila
Pathoron ne bhi hai tera kalma parha
Tere amr-e-jalalat ki kya baat hai
Aasmaan ki taraf tu jo chehra kare
Rabb-e-kabah bhi qibleh ka rukh mor de
Hai raza mein teri tera Khaliq bhi khush
Teri Rabb se rafaqat ki kya baat hai
Mohtaram bhi bohat, mohtasham bhi bohat
Ambiyaa dosrey jo key bhejey gaey
Unpe emaan humara hai pukhta magar
Teri shaan-e-risalat ki kya baat hai
Masjide roz dekhey kaeen jaan bajaan
Woh haseen-o-manawar barey thay magar
Masjid-e-Mustafa, Roza-e-Mujataba
Tere husn-e-imarat ki kya baat hai
Huzoor ki aamad
Khoey tasawuraat kahani mein agaey
Raaz-e-janoon shagufta bayani mein agaey
Bhurey palat ke daur-e-jawani mein agaey
Dariya jo khushk the woh rawani mein agaey
Aur
Khuda ne apni shaan ka jalwa dikha diya
Sab khulq ko mila ke Muhammad SAW bana diya
Aur
Nazar ko husn… nazaron ko aitbaar mila
Tehzeeb-e-ishq ko… junoon ko hai waqar mila
Zameen ko rang milay… rang ko nikhaar mila
Kali ko apne tabassum pe ikhtiyaar mila
Kuch aysi shaan se woh jane-e-intezaar aya
Khizan ka daur gaya mausam-e-bahaar aya
Bahaar aai dafatan
Saji zameen ki anjuman
Patey karein ghanan ghanan
Chaley hawa sanan sanan
Aur Khuda ne sab farishton se sajdah kara diya
Phir noorion se khaak ka rutbah bhara diya
Assalaam Assalaam
Shahe zeeshan ko, shaan e Quran ko
Juzve emaan ko, Rabb ke mehmaan ko
Asalaam asalaam asalaam asalaam
To the magnificent king, to the majesty of the Quran
To the part of Eemaan, to the guest of Allah
peace be upon him
Haqq ke dildaar ko, shah-e-abraar ko
Mere sarkaar ko, sab ke ghamkhar ko
Asalaam asalaam asalaam asalaam
To the beloved of truth, to the leader of the righteous
To my cheif, to the remover of everybodys’ sorrow
peace be upon him
Unke ke atwaar ko, ala kirdaar ko
Narm guftaar ko, taiz raftaar ko
Asalaam asalaam asalaam asalaam
To his behavior, to his lofty character
To his soft speech, to his brisk walk
peace be upon him
Sabz dastaar ko, unke rukhsaar ko
Husn-e-mayaar ko, zulf-e-khamdaar ko
Asalaam asalaam asalaam asalaam
To his green imamah/turban, to his face
To the pinnacle of beauty, to his wavy hair
peace be upon him
Amina mai ko, Aap ki dai ko
Bhuri hamsai ko, har shanasai ko
Asalaam asalaam asalaam asalaam
To his mother Amina, to his wetnurse (Halimah Sadiah)
To the old lady neighbour, to each and every friend
peace be upon him
Maa ki mamtaon ko, jannati paaon ko
Pyaar ki chahon ko, ummati maaon ko
Asalaam asalaam asalaam asalaam
To the love of our mothers, to their feet beneath which lays paradise
To the shade of love, to the Mothers of the believers
peace be upon them
Ishq ke fakhr ko, ilm ke qasr ko
Pekar-e-sabr ko, bint Abu Bakr ko
Asalaam asalaam asalaam asalaam
To the pride of love, to the palace of knowledge
To the example of patience, to the daughter of Abu Bakr R.A (Aisha R.A)
peace be upon her
Naaz bardaar ko, unke ghamkhar ko
Char ke char ko, yani har yaar ko
Asalaam asalaam asalaam asalaam
To the pride of the dominator, to his comforters
All four out of four (four Caliphs), as in every friend
peace be upon them
Un ke dildaar ko, aaashiq-e-zaar ko
Zaanuey yaar ko yaar ko ghaar ko…
Asalaam asalaam asalaam asalaam
To his beloved one, to the one afflicted with his love
To the thigh of the friend (the thigh of Abu Bakr R.A which Nabi SAW rested upon in the cave), to the friend, to the cave
peace be upon him
Adl ki aab ko josh ki taab ko
Gohor-e-nayab ko Ibn Khattab ko
Asalaam asalama asalaam asalaam
To the pride(honour) of justice, to the zeal of endurance
To a rare gemstone, to the son of khattab (Umar R.A)
peace be upon him
Maal ko, jaan ko, daste faizaan ko
Ibn-e-Affaan ko, hazrat Usmaan ko
Asalaam asalaam asalaam asalaam
To his wealth, to his life, to his generous hands
to the son of Affaan, to hazrat Uthmaan R.A
peace be upon him
Taiz talwaar ko, fath-e-bardaar ko
Azm-e-karaar ko unke gharbaar ko
Asalaam asalaam asalaam asalaam
To the sharp sword, to the bearer of victory
To the willpower of Karar(Nick name of Hazrat Ali R.A), To his family
peace be upon them
Fikr-o-ehsaas ko, unke almaas ko
Ilm ki pyaas ko, Ibn-e-Abbas ko
Asalaam asalaam asalaam asalaam
To his thought and sense , To the diamond of RasoolAllah SAW
To the Thirst of Knoweldge , To Ibne Abass R.A
peace be upon him
Unke Jaanbaaz ko, ek damsaaz ko
Habshi andaaz ko, ujli awaaz ko
Asalaam asalaam asalaam asalaam
To his Veteran, To one helpmate
To his ethopian outlook (Bilal R.A), to his clear voice
peace be upon him
Ik Sukhandan ko, ik sanakhwan ko
Naat ki shaan ko yani Hassan ko
Asalaam asalaam asalaam asalaam
To one orator , to one praiser
To the pride (honour) of naat(praise), to Hazrat Hassaan (Ibn-e Thabit) R.A
peace be upon him
Shahe zeeshan ko, shaan e Quran ko
Juzve emaan ko, Rabb ke mehmaan ko
Asalaam asalaam asalaam asalaam
To the magnificent king, to the majesty of the Quran
To the part of Eemaan, to the guest of Allah
peace be upon him
JazakAllah khair to those people who helped with the translation
Jood-o-sakha
Jood o sakha (munificence and generosity) ki aadatein Aap pe khatm ho gaee
Husn e ataa ki daulatein Aap pe khatm ho gaee
Mehr o wafa ke baab ka aghaz (beginning) is tarha kya
Mehr o wafa ki azmatein Aap pe khatm ho gaee
Hamd o sanaey haqq yahan aysi hui na aaj tak
yani Khuda ki midhatein (praise) Aap pe khatm ho gaee
khushbooein sidq (sincerity) ki yun udhi jhoothon ko manana parha
sidq o safa (sincerity and purity) ki nikhatein (fragrance) Aap pe khatm ho gaee
Aysi hayaa ke naaz tha dosheezgi (virginity) ko Aap per
Sharam o haya ki rifatein Aap pe khatm go gaee
Chahey ga itni chaha se koi na rabb ko phir kabhi
Ahle wafa ki chahatein Aap pe khatm ho gaee
sawal yeh nahi
Sawal yeh nahi Aqa se kitni ulfat (affection) hai
Sawal yeh hai keh sunnat se kitni
raghbat(affinity) hai?
Sawal yeh nahi biddat qabih (evil) hai kitni
Sawal yeh hai ke sunnat mein kya qabaahat (deficiency) hai?
Sawal yeh nahi da’awey hamarey kitney hai
Sawal yeh hai ke da’awon mein kitni sadaqat (truth) hai?
Sawal yeh nahi Tayba hai kitni door abhi
Sawal yeh hai ke sunnat se kitni qurbat (nearness) hai?
Sawal yeh nahi hum kaisi naat partey hai
Sawal yeh hai ke parney mein kaisi niyyat hai?
Sawal yeh nahi seerat ka ilm hai kitna
Sawal yeh hai ke kis ki banai soorat hai?
Sawal yeh nahi hum un pe martey hai kitna
Sawal yeh hai ke jeenay mein bhi ita’at hai?
Ik Zaeefa Thi
Likha hai ik zaeefa thi ke jo Makkah mein rehti thi
wo in batoon ko sunti thi magar khamosh rehti thi
wo sunti thi Muhammad hai koi Hashim gharane mein
wo kehta hai Khuda bas ek hai saare zamaane mein
wo sunti thi Hubul ki, Laat ki tazleel karta hai
wo apne haq ke paimane ki youn tameel karta hai
wo sunti thi jo uske saath hai wo hai ghulaam uska
musalman ho hi jaata hai jo sunta hai kalaam uska
likha hai wo zaifa ek din Kabah mein ja pahunchi
Hubul ke paaon par sar rakh ke usne ye dua mangi
mein tujhko poojti hoon aur Khuda bhi tujhko kehti hoon
bada afsos hai jo aaj kal mein ranj sehti hoon
wo gham ye hai Muhammad hai koi Hashim gharane mein
wo kehta hai Khuda bas ek hai saare zamane mein
mita do uski hasti ko na le phir koi naam uska
jigar chalni hua jata hai sun sunkar kalaam uska
dua kar k uthi sajde se aur wo apne ghar aayi
samajti thi ye dil me ab meri ummeed bhar aayi
zaifa ko khushi thi ab Hubul bijli gira dega
Muhammad to Muhammad sathiyon ko bhi mita dega
magar kuch din guzarne par na jab ummed bar aayi
dua kar ke Hubul se apne dil me khoob pachtai
gharaz tarkeeb usne soch li ye khud hi ghar aa kar
k chodongi ye basti mein rahongi aur kaheen ja kar
gharaz ek din subah ko usne apni ek gathri li
nikal ke ghar se apne aur darwaze pe aa baithi
zaifa sochti thi ab koi mazdoor milta hai
usey yeh kya khabar thi ik khuda ka noor milta hai
fariza subh ka karke ada sarkare-do-aalam
chale jate the kabah ki taraf wo rehmat-e-aalam
Jalon mein aap to shams o qamar maloom hote the
paye tasleem sajde mein shajar maloom hote the
zaifa muntazir mazdoor ki baithi thi ghabrai
yakayak samne se chand si surat nazar aayi
zaifa ne kaha, “baita yahan aana bata kya naam hai tera.”
kaha, “mazdoor hoon amman bata kya kaam hai tera.”
kaha, “mazdoor hai gar tu, to chal gathri meri lekar,
mein khush kardongi aye mazdoor mazdoori teri dekar.”
ye sunkar Aapne gathri utha kar apne sar par li
zaifonki madad karna ye aadat thi peyambar ki
gharaz gathri ko lekar manzil e maqsood par aayi
kaha dil se ke ay dil ab teri ummed bhar aayi
kaha, “beta jo thi dil me tamanna ho gayi puri
Muhammad to Muhammad saathiyon se hogai duri.”
lagi dene jo mazdoori zaifa Aapko us dam
to farmane lage us dam huzur e sarware aalam,
“ye koi kaam hai amman mein lon ab jiski mazdoori.
koi gar aur khidmat hai to wo bhi mein karon puri.”
ye farmate hoye ki Aapne jane ki yeh tayyari
zaifa se ijazat chahte the rehmat e baari
zaifa ne kaha, “baita zara thairo chale jana.
mujhe ik baat kehni hai zara sunkar chale jana.
yaqeen jano ke ab Makkah mein jhagda hone wala hai.
mein samjhati hoon tujhko isliye to bhola bhala hai.
wo Makkah mein qabeela Hashmi naam o laqab wale.
wahi beta jo hain sardar Abdul Mutallib wale.
unheen mein ik jawan hain jo suna jata hai sahir hai.
ke is fan mein magar beta wo apne khoob mahir hai.
wo sar hota hai jiske dil mein ulfat boo ke rehta hai.
jo sunta hai kalaam uska wo uska ho ke rehta hai.
hamesha bach ke chalne usse bole koi naam uska.
nasihat hai yahi meri na sunna tu kalaam uska.”
Nabi budhiya ke dil mein noor-e-wahdat bharne wale the
nasihat sun rahe the jo nasihat karne wale the
zaifa ne kaha, “baita bhala kya naam hai tera?
tera aaghaz kya hai aur kya anjaam hai tera?
kaha Hazrat ne budhiya se, “tujhe kya naam batlaaon!
mein kya kaam batlaon mein kya anjaam batlaon!
mein banda hoon Khuda ka aur mein rasool uska hoon.
kaha gardan jhuka kar aapne mein hi Muhammad hoon.
mein hoon masoom duniya mein mera dushman zamana hai.
Khuda wahid hai aalam mein mujhe bas ye batana hai.
ye sunna tha ke bas aankhon se aansu ho gaye jaari
Nabi ke ishq ki ik chot si dil par lagi kaari
zaifa ne kaha, “beta karo mushkil meri aasaan,
mein aisi jeet ke sadqe mein aisi haar ke qurbaan.”
hua phir haal bar uske jo fazle izzat-e-bari
zaifa ki zubaan se khud bakhud kalma hua jari
Laa ilaha illal-lah. Muhammadur Rasoolullah
Naat kaise likhun
naat kaise likhun
naat kaise parhu
mere pyare nabi ki bari shaan hai
ek ayat nahi, aik surat nahi, un ki tareef mein sara quraan hai
zaat-e-aqdas pe likhne ki jurat nahi
ishq hai to phir is ki zaroorat nahi
arsh se khud hi uthrein ge alfaz agar
dil mein hubb e nabi aur emaan hai
app shams-ud-duha aap badr-ud-duja app noor-ul-khuda aap khair-ul-wara
app haqq ashna, aap mojaz numa
aap ka huqm khud rabb ka farman hai
unki chahat ko jisko maza mil gaya
lazat-e-do jahan se siwa mil gaya
hadd to yeh hai ke us ko khuda mil gaya
roz-e-mehshr wohi rabb ka mehman hai
mein khatakar banda hu unka shamim
woh khataposh hai woh raheem o kareem
baksh dein mujhko bhi e ghaffur ur raheem
aur bando pe bhi tera ehsaan hai
kis ka hai
ab raha dhane chala hai usse maloom nahi
kaun is ghar ka muhaffiz hai yeh ghar kis ka hai
ahle duniya to tasawwur bhi nahi kar sakte
noor ki samt(direction) chala hai jo safr kis ka hai
hai shikasta (broken) dar -o- deewar chatai bartan
phir bhi konain nichawar (qurban) hai yeh ghar kis ka hai
sari duniya ko sakhawat (generosity) ka sabq de lekin
peyt per bandh le pathar yeh jigar kis ka hai
teen sau teyran (313 – fighters at badr) tareekh bana dali hai
mehve hayrat (deeply suprised/shocked) hai jahan azm-e-safr kis ka hai
sari duniya mein sarafraaz (successful) hua hu Majid
sochta hu yeh duaon mein asar kis ka hai
jis pe mehboob-e-do alam
jis pe mehboob e do alam ki nazar ho jaey
woh bashr misl-e-abu bakr o umar hojaey
kash itna to duaon mein asr hojaey
zindagi meri madinay mein basr hojaey
kash ho jaey mere dil mein shahe deen ka qayam
dil mera dil nahin Allah ka ghar hojaey
kash likhawadey woh mujhse bhi qaseeda burda
naat likhna bhi agar mera hunr(skill) hojaey
jis ke sadqe
jis ke sadqe mein yeh hayyat mili
uskey hum sachey ummati ban jaein
deobandi barelvi se qabl kash hum sab muhammadi ban jaein
uski chashme karam jo ho jaey
mere dushman muqeed (bounded) ban jaein
eh khuda meri qawm ke bachey
khalid ibn waleed ban jaein