Ya Nabi Dekha Ye Rutba Naat Lyrics
YA NABI DEKHA YE RUTBA NAAT LYRICS
Ya Nabi Dekha Ye Rutba Aapki Naalein Ka
Arsh Ne Chooma Hai Talwa Aapki Naalein Ka
Aapki Khidmat Ka Mujhko Kaash Mil Jaata Sharaf
Baandhta Haathon Se Tasma Aapki Naalein Ka
Aapke Qadmon Ki Narmi Qalb Par Mehsoos Ki
Jab Bhi Mein Ne Naqsh Dekha Aapki Naalein Ka
Hashr Mein Jab Log Choomay Aapka Dust-e-Karam
Sab Say Chup Kar Loon Mein Boosa Aapki Naalein Ka
Roz-e-Mehshar Sar Pe Soraj Jab Sawaa Neezay Pe Ho
Aik Nezay Per Ho Saaya Aapki Naalein Ka
Jiss Se Aagay Jaayein Tou Jal Jaye Par Jibril Ke
Uss Se Aagay Jaana Dekha Aapki Naalein Ka
Taaj Kyun Na Bheek Maangay Aapki Naalein Ki
Taajwar Khaatay Hain Sadqa Aapki Naalein Ka
या नबी देखा ये रुत्बा आप की नालैन का / Ya Nabi Dekha Ye Rutba Aap Ki Nalain Ka | Ya Nabi Dekha Hai Rutba Aap Ki Nalain Ka
या नबी ! देखा ये रुत्बा आप की ना’लैन का
‘अर्श ने चूमा है तलवा आप की ना’लैन का
आप की ख़िदमत का मुझ को, काश ! मिल जाता शरफ़
बाँधता हाथों से तस्मा आप की ना’लैन का
आप के क़दमों की नर्मी क़ल्ब पर महसूस की
जब भी मैं ने नक़्श देखा आप की ना’लैन का
हश्र में जब लोग चूमें आप का दस्त-ए-करम
सब से छुप कर लूँ मैं बोसा आप की ना’लैन का
रोज़-ए-महशर सर पे सूरज जब सवा नेज़े पे हो
एक नेज़े पर हो साया आप की ना’लैन का
जिस से आगे जाएँ तो जल जाएँ पर जिब्रील के
उस से आगे जाना देखा आप की ना’लैन का
ताज क्यूँ न भीक माँगे आप की ना’लैन की
ताजवर खाते हैं सदक़ा आप की ना’लैन का
ना’त-ख़्वाँ:
बिलाल क़ादरी मूसानी
हाफ़िज़ अहमद रज़ा क़ादरी