Astaghfar ki Ahmiyat – Astaghfar karna kitna zaroori hai ?

Astaghfar ki Ahmiyat – Astaghfar karna kitna zaroori hai ?

۞ Bismillah-Hirrahman-Nirrahim ۞

✦ Hadith: Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya:
“Main Allah ki bargah me Astaghfar (Muafi Manga) karta hoon aur uski taraf ruju karta hoon din me 70 baar se bhi jyada.” [Bukhari, Vol:8, Book:75, Hadith no. 319]

Astaghfar ki Dua :

✦ Hadith: Rasool’Allah (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya –
Allah se Astaghfar (Apne Gunaaho Ki Muafi) ki sabse behtar Dua hai, “Allahumma Anta Rabbi La Ilaha Illa Anta, Anta Khalaqtani Wa Ana Abduka, Wa Ana ‘Ala Ahdika Wa Wa’dika Mastata’tu, A’udhu Bika Min Sharri Ma Sana’tu, Abu’u Laka Bini’matika ‘Alaiya, Wa Abu Laka Bidhanbi Faghfirli Innahu La Yaghfiru Adhdhunuba Illa Anta.”

Aage Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya –
“Agar koi Shakhs ye Dua yakeen ke sath din me parhe aur Shaam se pehle Intiqaal(Mout) kar jaye tou Jannat me jayega aur agar yakeen ke sath raat ko parhe aur Subah hone se pehle inteqal kar jaye tou Jannat me jayega.”

– Bukhari, Vol:8, Book:75, Hadith no. 318

Sharing Is Caring:

Leave a Comment