Mangte Hain Khade Tere Dar Par Naat Lyrics

Mangte Hain Khade Tere Dar Par Naat Lyrics

 

 

Mangte hain khade tere dar par ya Khwaja Moinuddin Hasan,
Ho jaaye karam ki ek nazar ya Khwaja Moinuddin Hasan…

Is sar ko jhuka paaye dushman ye uske bas ki baat nahin,
Jis par ho tere qadmon ki muhar ya Khwaja Moinuddin Hasan…

Ye dil main tamanna laker mai roze pe tumhare aaya hoon,
Ek roz chale aana ghar par ya Khwaja Moinuddin Hasan…

Jo kuch bhi mila ASHRAF ko wo tere dar ka uttaran hai,
Bas yunhi rahe saaya sar par ya Khwaja Moinuddin Hasan.

💐Razi’Alaahu Ta’ala Anhu💐

Sharing Is Caring:

Leave a Comment