hunar mein kaamil o Akmal Imam E Azam hain lyrics
hunar mein kaamil o Akmal Imam E Azam hain
sabhi aymah mein afzal imam e Azam hain
arab, ajam ke faqihon ko naaz hai un par
ataye Ahmed e mursal imam Azam hain
barhi hai chashm-e taffaquh ki roshni jis se
kathin salawon ke woh hal imam Azam
basharat shahe deen, vaarise uloom Ali
ziya e syed karbal imam Azam hain
imam Shafi un ki ataa se hain roshan
to shaikh maalik o Hanbal , imam Azam hain
Jamal ilm o hunar lajawab hai aisa
har aik pehlu se Ajmal imam Azam hain
muhaddisin ko danay un ki hai tasleem
Shaoor fun mein mukammal imam Azam hain
mamlaat o masail mein saib aqwaal
azeem qaazi o Faisal imam Azam hain
unhon ne di hamein, tehqeeq o justojoo ki rawish
froghِ fiqa ki mashal imam Azam hain
nah laskin ge ado hashar tak jawab un ka
daleel haq se mudlal imam Azam hain
bta gie hain woh sab kuch, usool hon ke faroo
ke den ki shrhِ Mufasil imam Azam hain
muqallidon ko naah gumraah kar sakay ga koy
ke rahnumai mein harpal imam Azam hain
kisi se GhAtt nah saken gi bulandion un ki
ik irtiqaye musalsal imam Azam hain
faridi! ab bhi chamakta hai unn ka mohar aloom
agarchay aankh se oojhal imam Azam hain