Madinah Deykhney Ki Aarazu Hai meray Seenay Mein Lyrics || Barkate Raza

Bargah E Risalat Maab Mein Hazri Aur Ziyarat E Madina Ki Khwahish Ko Bayaan Karti Ye Noorani Naat Dil Ko Noor Se Bhar Deti Hai. Is Kalam Mein Huzoor E Akram Ki Zaat E Mubaarak Se Bezubaan Mohabbat Aur Shafa’at Ki Ummeed Ka Khubsoorat Zikr Kiya Gaya Hai. Padhne Walon Ke Dilon Mein Madina Munawwara Ki Haazri Ka Shauq Bedaar Hota Hai.

Naat InformationDetails
Naat TitleMadinah Deykhney Ki Aarazu Hai Meray Seenay Mein
Poet / WriterHafiz Muhammad Abid
CategoryNaat Shareef
Naatkhawan / ReciterOwais Raza Qadri
Book NameBarkate Raza Naat Book

Madinah Deykhney Ki Aarazu Hai Meray Seenay Mein Lyrics In Roman

Madinah Deykhney Ki Aarazu Hai Meray Seenay Mein
Ilahi Woh Ghadi Aaey Keh Mein Pohonchun Madiney Mein

Hai Mukhda Wa-Duhah Ka Zulf Hai Wal-Layl Ki Teri
Ghulaab-O-Mushk Sey Barh Kar Hai Bu Teray Paseenay Mein

Karein Gey Mujh Sey Aasi Par Bhi Woh Lutf Ki Baarish
Nah Tha Yeh Qiyaas Mein Meray Nah Tha Meray Qareeney Mein

Makeen-E-Ghunbad-E-Khazra Bula Lo Apney Qadmon Mein
Teri Doori Key Nishtar Rowz-O-Shab Chubhtey Hein Seenay Mein

Hun Baada-E-Khwaar Abid Aur Mey Khanah Ho Woh Jis Mein
Ho Saaqi Saaqi Kauser Mazah Aajaaey Peenay Mein

Madinah Deykhney Ki Aarazu Hai Meray Seenay Mein Lyrics In Hindi

मदीना देखने की आरज़ू है मेरे सीने में
इलाही वो घड़ी आए के मैं पहुँचूँ मदीने में

है मुखड़ा वद्दुआ का ज़ुल्फ़ है वल्लैल की तेरी
गुलाब ओ मुश्क से बढ़ कर है बू तेरे पसीने में

करेंगे मुझ से आसी पर भी वो लुत्फ़ की बारिश
न था ये क़ियास में मेरे न था मेरे क़रीने में

मकीं ए गुंबद ए ख़ज़रा बुला लो अपने क़दमों में
तेरी दूरी के निश्तर रोज़ ओ शब चुभते हैं सीने में

हूं बादा ए ख़्वार आबिद और मय ख़ाना हो वो जिस में
हो साक़ी साक़ी ए कौसर मज़ा आ जाए पीने में

Madinah Deykhney Ki Aarazu Hai Meray Seenay Mein Lyrics In Urdu

مدینہ دیکھنے کی آرزو ہے میرے سینے میں
الہٰی وہ گھڑی آئے کہ میں پہنچوں مدینے میں

ہے مکھڑا والضحیٰ کا زلف ہے واللیل کی تیری
گلاب و مشک سے بڑھ کر ہے بو تیرے پسینے میں

کریں گے مجھ سے عاصی پر بھی وہ لطف کی بارش
نہ تھا یہ قیاس میں میرے نہ تھا میرے قرینے میں

مکیںِ گنبدِ خضریٰ بلا لو اپنے قدموں میں
تیری دوری کے نشتر روز و شب چھبتے ہیں سینے میں

ہوں بادہ خوار عابد اور مے خانہ ہو وہ جس میں
ہو ساقی ساقیِ کوثر مزہ آ جائے پینے میں

Leave a Comment