QADRI IZZ O RIFAT KI KYA BAAT HAI NAAT LYRICS

QADRI IZZ O RIFAT KI KYA BAAT HAI NAAT LYRICS

 

 

Qadri izz o rifat ki kya baat hai

Sarwar dee’n se nisbat ki kya baat hai

 

Marja e ahl e haq aasta’n hai tera

Dar ki noorani rangat ki kya baat hai

 

Gardan e Awliya par qadam hai tera

Teri noorani kiswat ki kya baat hai

 

Unke dar se bana duzd Rab ka wali

Ghous ki is inayat ki kya baat hai

 

Aapke dar ka karta hai kaaba tawaaf

Waah is jaah o hashmat ki kya baat hai

 

Manga qatra to darya ata kar diya

Unke jood o sakhawat ki kya baat hai

 

Tu hai shaida e Ghous ul wara aye “Tameem”

Marhaba teri qismat ki kya baat hai

 

➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖

Az qalam- Peerzada Syed Tameem Hussaini Ashrafi

Farzand e Sajjada Nasheen Bargah e Huzoor Qutbe Raichur

Sharing Is Caring:

Leave a Comment