Mirañ Muhiyyudin Shaikh Zamaani Lyrics || Barkate Raza


Ghaus-E-Azam Syedna Abdul Qadir Jilani Alayhir Rahmah Ki Bargah-E-Aqdas Mein Aqeedat-O-Muhabbat Se Bhari Yeh Ek Nihayat Hi Behad Khubsurat Manqabat Hai. Is Barkat Bhare Kalam Mein Hazrat Bedam Warsi Sahab Ne Ghaus-E-Pak Ke Roohani Maqamat Aur Unke Barkat-O-Lutf Ko Behad Shiri Lafzon Mein Bayan Kiya-Gaya-Hai. Aaiye Is Barkat Bhare Kalam Ke Mukammal Lyrics Roman, Hindi Aur Urdu Zabaan Mein Mulahiza Farmayein.

Naat InformationDetails
Naat TitleMiran Muhiyyudin Shaikh Zamani
Poet / WriterBedam Warsi
CategoryManqabat E Ghaus E Azam
Naatkhawan / ReciterAl-Haj Owais Raza Qadri
Book NameBarkate Raza Naat Book

Miran Muhiyyudin Shaikh Zamani Lyrics In Roman

Sartaj E Peeraan Qutb E Jahani
Miran Muhiyyudin Shaikh Zamani

Khizr E Tareeqat Shamm E Hidayat
Bahr E Haqeeqat Ganj E Ma’aani

Jaan E Payambar Jaan E Shabbar
Haidar Ke Dilbar Zehra Ke Jaani

Haathon Pe Qurban Uqda-Kushaayi
Sadqe Labon Par Mo’jiz Bayaani

Jood O Sakha Mein Lutf O A’taa Mein
Hamsar Tumhara Na Koi Saani

Ay Kaash Sunte Sarkar E Jeelaan
Meri Kahaani Meri Zubaani

Ay Rashk E Eesa Bedam Hai Bedam
Keeje Ilaaj-E-Dard E Nahaani

Miran Muhiyyudin Shaikh Zamani Lyrics In Hindi

सरताज-ए-पीरां क़ुतुब-ए-जहानी
मीरा मोहीयुद्दीन शैख़ ज़मानी

ख़िज़्र-ए-तरीक़त शम-ए-हिदायत
बह्र-ए-हक़ीक़त गंज-ए-मआनी

जान-ए-पयंबर जान-ए-शब्बर
हैदर के दिलबर ज़हरा के जानी

हाथों पे क़ुर्बां उक़्दा कुशाई
सदक़े लबों पर मो’जिज़ बयानी

जूद ओ सख़ा में लुत्फ़ ओ अता में
हमसर तुम्हारा कोई न सानी

ऐ काश सुनते सरकार-ए-जीलां
मेरी कहानी मेरी ज़ुबानी

ऐ रश्क-ए-ईसा बेदम है बेदम
कीजे इलाज-ए-दर्द-ए-नहानी

Miran Muhiyyudin Shaikh Zamani Lyrics In Urdu

سرتاجِ پیراں قطبِ جہانی
میراں محی الدین شیخ زمانی

خضرِ طریقت شمعِ ہدایت
بحرِ حقیقت گنجِ مآنی

جانِ پیمبر جانِ شبر
حیدر کے دلبر زہرا کے جانی

ہاتھوں پہ قرباں عقدہ کشائی
صدقے لبوں پر معجز بیانی

جود و سخا میں لطف و عطا میں
ہمسر تمہارا کوئی نہ ثانی

اے کاش سنتے سرکارِ جیلاں
میری کہانی میری زبانی

اے رشکِ عیسیٰ بیدم ہے بیدم
کیجے علاجِ دردِ نہانی

Leave a Comment