Ai Sultan-e Man Muinuddeeñ Hasan Lyrics

Ai Sultan-e Man Muinuddeeñ Hasan Lyrics

 

 

Qawwal : Nazir Ejaz Faridi

Khwaja Ji Maharaj Ji Jo Tum Bade Ghareeb Nawaz
Mohe Apna Kar Ke Raakhiyo Tohe Baañh Pakde Ki Laaj

 

Muinuddeen Wali-e Shah-e Iraq o Hijaaz
Teri Janab Meiñ Mahmood Se Hazaroñ Ayaz
Har Ek Simt Se Bas Aa Rahi Hai Ye Aawaaz
ManAm Ghareeb Dayaaro Tui Ghareeb Nawaz

 

Khwaja Piya Khwaja Piya Ya Mueen
Khwaja Piya Khwaja Piya Ya Mueen

 

Ya Ghareeb Nawaz
Bas Ik Nazar Ho Ek Nazar Ka Sawaal Hai

Khwaja Piya Khwaja Piya Ya Mueen
Khwaja Piya Khwaja Piya Ya Mueen

 

Mera Bigda Waqt Sañwaar De
Mere Khwaja Mujh Ko Nawaz Le
Teri ik Nigaah Ki Baat Hai
Meri Zindagi Ka Sawaal Hai

Khwaja Piya Khwaja Piya Ya Mueen
Khwaja Piya Khwaja Piya Ya Mueen

 

Tu Gada Nawaaz-e Aalam
Maiñ Gada Faqeer Tera
Main Faqeer Tera Maañgan
Laj Pal Tu Sakhi Hai

Khwaja Piya Khwaja Piya Ya Mueen
Khwaja Piya Khwaja Piya Ya Mueen

 

Ya Ghareeb Nawaz
Meri Taqdeer Khwaja Bana Dijiye
Meri Taqdeer Khwaja Bana Dijiye

 

Ya Ghareeb Nawaz
Dur Dur Karan Saheliyaañ Mainu
Maiñ Mud Mud Ke Dekhan Tainu

Meri Taqdeer Khwaja Bana Dijiye
Meri Taqdeer Khwaja Bana Dijiye

 

Sadqa Maula Ali De Bacheyañ Da

Meri Taqdeer Khwaja Bana Dijiye
Meri Taqdeer Khwaja Bana Dijiye

 

Ya Ghareeb Nawaz
Meri Taqdeer Khwaja Bana Dijiye
Sadqa Ganj-e Shakar Ka Nibha Lijiye

 

Khwaja Piya Khwaja Piya Ya Mueen
Khwaja Piya Khwaja Piya Ya Mueen

 

Teri Chaukhat Se Khwaja Kidhar Jaayeñge
Aap Ne Na Sañbhala To Mar Jayenge

Khwaja Piya Khwaja Piya Ya Mueen
Khwaja Piya Khwaja Piya Ya Mueen

 

Tere Dar Ke Siwa Koi Dera Nahiñ
Al Madad Ya Mueen Al Madad Ya Mueen

Khwaja Piya Khwaja Piya Ya Mueen
Khwaja Piya Khwaja Piya Ya Mueen

 

Tu Kuja Man Kuja Mere Khwaja Piya
Tu Salona Maiñ Nirdhan Hun Kis Kaam Ki

Khwaja Piya Khwaja Piya Ya Mueen
Khwaja Piya Khwaja Piya Ya Mueen

 

Dwaar Padi Hai Jag DhutKaari
Kirpa Keejo Main Balhaari
Koi Kisi Ka Koi Kisi Ka

Ai Sultan-e Man Muinuddeeñ Hasan
Mar Ke Na Chhoduñ Khwaja Maiñ Tera Daaman

Ai Sultan-e Man Muinuddeeñ Hasan

 

Koi Tujh Ko Hindal Wali Maanta Hai
Magar Maine Maana Hai

Ai Sultan-e Man Muinuddeeñ Hasan

 

Haañ, Dil Meiñ Chhoti Si Ik Kahaani Hai
Aap Sun Leñ To Meherbani Hai

Ai Sultan-e Man Muinuddeeñ Hasan

 

Bheek Doge To Khwaja Maiñ Ghar Jaauñgi
Warna Ye Kah Ke Chaukhat Pe Mar Jaauñgi

Ai Sultan-e Man Muinuddeeñ Hasan

 

Ai Sultan-e Man Muinuddeeñ Hasan
Mar Ke Na Chhoduñ Khwaja Maiñ Tera Daaman

 

Haañ, Pawe Ka Padi Aakhe Jag Saara

Ai Sultan-e Man Muinuddeeñ Hasan
Mar Ke Na Chhoduñ Khwaja Maiñ Tera Daaman

 

Kahe Aaj Koi Shirqi Hameñ Ya Biddati
Apna To Hajj-e Akbari Khwaja Ke Dar Ki Haaziri

Ai Sultan-e Man Muinuddeeñ Hasan
Mar Ke Na Chhoduñ Khwaja Maiñ Tera Daaman

….

Ya Ghareeb Nawaz
Mera Khyaal Rakhi Har Manzal Pe

Ai Sultan-e Man Muinuddeeñ Hasan
Mar Ke Na Chhoduñ Khwaja Maiñ Tera Daaman

 

Khwaja Tu Hi Mora Meet Hai
Khwaja Tu Hi Mora Meet Hai

Ya Ghareeb Nawaz
Yetthe Otthe Tori Jahaani

Khwaja Tu Hi Mora Meet Hai
Khwaja Tu Hi Mora Meet Hai

 

Ni Sayyiyo Haañ
Jithhe Lag Gayyañ Pakki Lag Gayyañ

Khwaja Tu Hi Mora Meet Hai
Khwaja Tu Hi Mora Meet Hai

 

Kabhi Us Ke Dar Kabhi Is Ke Dar
Maiñ Woh MaiKhwaar Nahi

Khwaja Tu Hi Mora Meet Hai
Khwaja Tu Hi Mora Meet Hai

 

Ya Ghareeb Nawaz
Ta Phad Pher Howañ Je Kar Bukrañ Maiñ

Khwaja Tu Hi Mora Meet Hai
Khwaja Tu Hi Mora Meet Hai

 

Khwaja Tu Hi Mora Meet Hai
Man Basi Tori Preet Hai

Mori Man Ki Nagariya Ke Sultan Ho
More Preetam Ho Sayyañ Ho Bhagwan Ho

Janam Janam Se Mora Hai Toh Se Bandhan
Ai Sultan-e Man Muinuddeeñ Hasan.

 

Khwaja Piya Tumhi Ko Laaj Hai
Tu Hi Mora Maharaj Hai

Kuchh Rahe Na Rahe Tujh Se Nisbat Rahe
Teri Chaukhat Ya Khwaja Salaamat rahe

Laaj Nibhana Mori Sadqa-e PanjTan
Ai Sultan-e Man Muinuddeeñ Hasan.

 

Ya Ghareeb Nawaz Muinuddin

Khwaja Mori Kya Auqat Hai
Tu Ne Hi Banayi Mori Baat Hai

Doobi Nayya Ko Tu Ne Kinara Diya
Tu Ne Girne Se Pahle Sahara Diya

Mori Sajda-Gaah Hai Tumhare Charnan
Ai Sultan-e Man Muinuddeeñ Hasan

 

Khwaja Piya Khwaja Ya Mueen
Khwaja Piya Khwaja Ya Mueen

Ya Mueen …

Sharing Is Caring:

Leave a Comment