Sher-e-Khuda Ke Sher Ka Tewar Nahi Jhuka Lyrics
शेर-ए-ख़ुदा के शेर का तेवर नहीं झुका / Sher-e-Khuda Ke Sher Ka Tewar Nahin Jhuka
शेर-ए-ख़ुदा के शेर का तेवर नहीं झुका
या’नी कहीं से नाम-ए-बहत्तर नहीं झुका
ताक़त लगा दी पूरी की पूरी यज़ीद ने
लेकिन मेरे हुसैन का इक सर नहीं झुका
ऐ शिम्र ! तू हुसैन को कैसे झुकाएगा
तुझ से तो एक छोटा सा असग़र नहीं झुका
आक़ा ने फिर कहा कि ‘अली को बुलाइए
आख़िर किसी से जब दर-ए-ख़ैबर नहीं झुका
दामन मिला है जब से मुझे अहल-ए-बैत का
उस रोज़ से कभी कहीं अज़हर नहीं झुका
ना’त-ख़्वाँ:
ग़ुलाम ग़ौस ग़ज़ाली
sher-e-KHuda ke sher ka tewar nahi.n jhuka
yaa’ni kahi.n se naam-e-bahattar nahi.n jhuka
taaqat laga di poori ki poori yazeed ne
lekin mere husain ka ik sar nahi.n jhuka
ai shimr ! tu husain ko kaise jhukaaega
tujh se to ek chhoTa saa asGar nahi.n jhuka
aaqa ne phir kaha ki ‘ali ko bulaaiye
aaKHir kisi se jab dar-e-KHaibar nahi.n jhuka
daaman mila hai jab se mujhe ahl-e-bait ka
us roz se kabhi kahi.n Azhar nahi.n jhuka
Naat-Khwaan:
Gulam Gaus Ghazali