Khwaja Ne Bulaya Mere Khwaja Ne Bulaya Manqabat Lyrics

Khwaja Ne Bulaya Mere Khwaja Ne Bulaya Manqabat Lyrics

Manqabat e Garib Nawaz

Khwaja ne bulaya mere Khwaja ne bulaya
Haal apna sunane ke liye fir chala aya

Khwaja ne bulaya mere Khwaja ne bulaya
Be yaar o madadgaar tha koi na sahara

Bas doobne wala hi tha ke paya kinara
Khwaja ke karam ne meri kashti ko ubhara

Isyan ke bhawar se mere Khwaja ne bachaya
Haal apna sunane ke liye fir chala aya

Khwaja ne bulaya mere Khwaja ne bulaya

Sagar pe ana daaro ne pehra jo lagaya
Paani na kisiko mile yeh huqm sunaya

Irshad usse Khwaja ke khadim ne sunaya
Bas huqm suna Kooze me saagar simat aya

Haal apna sunane ke liye fir chala aya
Khwaja ne bulaya mere Khwaja ne bulaya

Khwaja ki chati dhoom hai Ajmer nagar me
Paai hai Madine ki jhalak unke sheher me

Hota hai yeh mehsoos hai Taiba ke safar me
Barsaat me rehmat ki har ek shaks nahaya

Haal apna sunane ke liye fir chala aya
Khwaja ne bulaya mere Khwaja ne bulaya

Aabaad hai bharat ki zameen unke kadam se
Imaan ki daulat bhi mili unke karam se

Hai silsila Ajmer ka Taiba ke haram se
Mujhko mere Khwaja ne Madina bhi dikhaya

Haal apna sunane ke liye fir chala aya
Khwaja ne bulaya mere Khwaja ne bulaya

Wallah Dar e Khwaja se bat ta hai khazana
Aalam me hai mashoor sakhi unka gharana

Kyu gair se hum jaake kahe gham ka fasana
Darbar e Shahenshah se joh manga hai paya

Haal apna sunane ke liye fir chala aya
Khwaja ne bulaya mere Khwaja ne bulaya

Ye sach hai mai aasi hu nikamma hu bura hu
Mangta hun tera dar pe tere aan pada hu

Hojaye inaayat tere qadmon me khada hu
Karte ho karam sab pe ho apna ke paraya

Haal apna sunane ke liye fir chala aya
Khwaja ne bulaya mere Khwaja ne bulaya

Main phir se Madine ki dua maang raha hu
Baghdad bhi jaane ka visa maang raha hu

Yeh kisne kaha hadh se siwa maang raha hu
Jaisa hai sakhi waisi ata maang raha hun

Hoga bada ehsaan joh fir Taiba dikhaya
Haal apna sunane ke liye fir chala aya

Khwaja ne bulaya mere Khwaja ne bulaya

Tehreek e Sunni Dawat e Islami ko izzat
Miljaye mere Shah hamesha ki yeh khidmat

Ho naksh dilo par bhi teri Mohr e Mohabbat
Ho Shakir o Rizwan pe hamesha tera saaya

Haal apna sunane ke liye fir chala aya
Khwaja ne bulaya mere Khwaja ne bulaya

Hai faqr mujhe qadri chishti hu mai Raashid
In nisbato ke sadqe sabhi door ho haasid

Tehreek e Sunni Dawat e Islami ka qaasid
Akhtar Raza ke faiz se dar maine ye paaya

Haal apna sunane ke liye fir chala aya
Khwaja ne bulaya mere Khwaja ne bulaya

Leave a Reply

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.

%d bloggers like this: